Mere Dil Ki Satah Par Hai Qadam Zahra Ke Bachchon Ka Naat Lyrics
Mere Dil Ki Satah Par Hai Qadam Zahra Ke Bachchon Ka | Mere Dil Ki Zameen Par Hai Qadam Zahra Ke Bachchon Ka
मेरे दिल की सतह पर है क़दम ज़हरा के बच्चों का
मेरी नस्लों पे है दस्त-ए-करम ज़हरा के बच्चों का
मेरे दिल की जमीं पर है क़दम ज़हरा के बच्चों का
मेरी नस्लों पे है दस्त-ए-करम ज़हरा के बच्चों का
ज़माने का कोई भी रंज उसे रुस्वा नहीं करता
सुकूनत पा ले जिस सीने में ग़म ज़हरा के बच्चों का
हज़ारों कोशिशें कर ली ज़माने ने झुकाने की
मुझे झुकने नहीं देता भरम ज़हरा के बच्चों का
नबी के दीन की ख़ातिर किए क़ुर्बां बहत्तर सर
भुलाएँ किस तरह एहसान हम ज़हरा के बच्चों का
हज़ारो दीदा-वर सदक़े ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर
तेरी नज़रों ने देखा है ‘अज़म ज़हरा के बच्चों का
ख़ुदा के फ़ज़्ल से इज़्न-ए-ज़ियारत का शरफ़ पाया
ज़हे-क़िस्मत मैं देख आया हरम ज़हरा के बच्चों का
गुलिस्तान-ए-पयंबर का हर इक गुल है गुल-ए-तनवीर
मुमासिल ही नहीं, रब की क़सम ! ज़हरा के बच्चों का
शायर:
तनवीर चिश्ती
नात-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी
हाफ़िज़ ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
ज़ोहैब अशरफ़ी
mere dil ki satah par hai qadam zahra ke bachcho.n ka
meri naslo.n pe hai dast-e-karam zahra ke bachcho.n ka
mere dil ki zamee.n par hai qadam zahra ke bachcho.n ka
meri naslo.n pe hai dast-e-karam zahra ke bachcho.n ka
zamaane ka koi bhi ranj use ruswa nahi.n karta
sukoonat paa le jis seene me.n Gam zahra ke bachcho.n ka
hazaaro.n koshishe.n kar li zamaane ne jhukaane ki
mujhe jhukne nahi.n deta bharam zahra ke bachcho.n ka
nabi ke deen ki KHaatir kiye qurbaa.n bahattar sar
bhulaae.n kis tarah ehsaan ham zahra ke bachcho.n ka
hazaaro deeda-war sadqe zameen-e-karbala tujh par
teri nazro.n ne dekha hai ‘azam zahra ke bachcho.n ka
KHuda ke fazl se izn-e-ziyaarat ka sharaf paaya
zahe-qismat mai.n dekh aaya haram zahra ke bachcho.n ka
gulistaan-e-payambar ka har ik gul hai gul-e-tanweer
mumaasil hi nahi.n, rab ki qasam ! zahra ke bachcho.n ka