kya shaan hai tumhari ahmed kabir rifai

 

Kya shaan hai tumhari Ahmed Kabeer Rifaayi
Kya shaan tune paayi Ahmed Kabeer Rifaayi

Daste karam ka bosa Tujh ko mila yaqeenan
Nahi ye suni sunaayi Ahmed Kabeer Rifaayi

Teri karaamaton ka Hai zahoor ab bhi aisa
Hairaan hai khudaayi Ahmed Kabeer Rifaayi

Use kya garaz ho Aaqa Shahi se Saltanat se
Jo kare teri gadaayi Ahmed Kabeer Rifaayi

Chaaro taraf se ghera Ranj o Alam ne mujh ko
Lillah karam duhaayi Ahmed Kabeer Rifaayi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *