Hai Nazar Mein Jamal-e-Habib-e-Khuda Jin Ki Tasweer Seene Mein Maujood Hai Naat Lyrics

 

है नज़र में जमाल-ए-हबीब-ए-ख़ुदा
जिन की तस्वीर सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम-ए-इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है

फूल खिलते हैं पढ़ पढ़ के सल्ले-‘अला
झूम कर कह रही है ये बाद-ए-सबा
ऐसी ख़ुश्बू चमन के गुलों में कहाँ !
जो नबी के पसीने में मौजूद है

छोड़ना तेरा तयबा गवारा नहीं
सारी दुनिया में ऐसा नज़ारा नहीं
ऐसा मंज़र ज़माने में देखा नहीं
जैसा मंज़र मदीने में मौजूद है

हम ने माना कि जन्नत बहुत है हसीं
छोड़ कर हम मदीना न जाएँ कहीं
यूँ तो जन्नत में सब है मदीना नहीं
और जन्नत मदीने में मौजूद है

वो अबू-बक्र, फ़ारूक़, ‘उस्मान, ‘अली
हैं ये सब उन के दीन-ए-मुबीं के फ़क़ीह
वो फ़क़ीहों के अफ़सर, शह-ए-अंबिया
वो शहंशाह मदीने में मौजूद है

ना’त-ख़्वाँ:
बरकतुल्लाह अशरफ़
कमालुद्दीन
एहसान तहमीद

 

hai nazar me.n jamaal-e-habeeb-e-KHuda
jin ki tasweer seene me.n maujood hai
jis ne laa kar kalaam-e-ilaahi diya
wo muhammad madine me.n maujood hai

phool khilte hai.n pa.Dh pa.Dh ke salle-‘ala
jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-saba
aisi KHushboo chaman ke gulo.n me.n kahaa.n
jo nabi ke paseene me.n maujood hai

chho.Dna tera tayba gawaara nahi.n
saari duniya me.n aisa nazaara nahi.n
aisa manzar zamaane me.n dekha nahi.n
jaisa manzar madine me.n maujood hai

ham ne maana ki jannat bahut hai hasee.n
chho.D kar ham madina na jaae.n kahi.n
yu.n to jannat me.n sab hai madina nahi.n
aur jannat madine me.n maujood hai

wo abu-bakr, faarooq, ‘usmaan, ‘ali
hai.n ye sab un ke deen-e-mubee.n ke faqeeh
wo faqeeho.n ke afsar, shah-e-ambiya
wo shahnshah madine me.n maujood hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *