Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Naat Lyrics
Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai
हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर
उन की तस्वीर सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम-ए-इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है
हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर
उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम-ए-इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है
फूल खिलते हैं पढ़ पढ़ के सल्ले-‘अला
झूम कर कह रही है ये बाद-ए-सबा
ऐसी ख़ुश्बू चमन के गुलों में कहाँ !
जो नबी के पसीने में मौजूद है
हम ने माना कि जन्नत बहुत है हसीं
छोड़ कर हम मदीना न जाएँ कहीं
यूँ तो जन्नत में सब है मदीना नहीं
और जन्नत मदीने में मौजूद है
छोड़ना तेरा तयबा गवारा नहीं
सारी दुनिया में ऐसा नज़ारा नहीं
ऐसा मंज़र ज़माने में देखा नहीं
जैसा मंज़र मदीने में मौजूद है
ना’त-ख़्वाँ:
महमूद जे.
हाफ़िज़ कामरान क़ादरी
अलीशा कियानी
ham ne aankho.n se dekha nahin hai magar
un ki tasweer seene me.n maujood hai
jis ne laa kar kalaam-e-ilaahi diya
wo muhammad madine me.n maujood hai
ham ne aankho.n se dekha nahin hai magar
un ka jalwa to seene me.n maujood hai
jis ne laa kar kalaam-e-ilaahi diya
wo muhammad madine me.n maujood hai
phool khilte hai.n pa.Dh pa.Dh ke salle-‘ala
jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-saba
aisi KHushboo chaman ke gulo.n me.n kahaa.n
jo nabi ke paseene me.n maujood hai
ham ne maana ki jannat bahut hai hasee.n
chho.D kar ham madina na jaae.n kahi.n
yu.n to jannat me.n sab hai madina nahi.n
aur jannat madine me.n maujood hai
chho.Dna tera tayba gawaara nahi.n
saari duniya me.n aisa nazaara nahi.n
aisa manzar zamaane me.n dekha nahi.n
jaisa manzar madine me.n maujood hai