Bagh e Jannat Kay Hain Behre Madha Khawan-e-AhleBait Lyrics

 

Bagh Jannat Ke Hain Behre Madha Khawan Ahelbait
Tum ko muzda naar ka, Ayi dushmanane Ahl e Bait
Unke ghar toh be ijazat
Jibrail aate nahi
Qadr waale jante hai
Qadr o shaan e Ahl e Bait

Unki paaki ka Khuda e Pak
Karta hai bayaan
Ayah e tatheer se
Zahir hai Shaan e Ahl e Bait

Ghar lutana jaan dena
Koi tujse seekh jaaye
Jaan e alam ho fida
Aye Khandan e Ahl e Bait

Ahl e Bait e Pak se
Ghustakhiya be bakiya
Lanatullahi Alaikum
Dushmanane Ahl e Bait

Be adab gustakh firqe
Ko suna de aye Hasan
Yu kaha karte hai aashiq
Dastaan e Ahl e Bait

 

Baag Jannat ke hein baher-e-Mad’ha khwane Ahle bait
Tumko muzda naar ka ae dushmanan-e-Ahle bait

Kis zaban se ho bayan Izzo Shaane Ahle bait
Mad’hago e Mustafa hai Mad’ha khwane Ahle bait

 

Unki paaki ka khuda e paak karta hai bayaan
Aaya-e-Tat’heer se zaheer hai shaane Ahle bait

Mustafa izzat badhane ke liye Tazeem dein
Hein buland Iqbal tera doodh maane Ahle bait

Apna sauda bech kar bazar suna kar gaye
Kaun si basti basai Taajiran e Ahle bait

Ramz ka maidaan bana hai Jalwagah e husno ishq
Karbala mein ho raha hai intehane Ahle bait

Fool zakhmon ke khilaye hein hawa-e-dost ne
Khoon se sincha gaya hai gulsitane Ahle bait

Hoorein karti hein Aroosane shahadat ka singar
Khubroo dul’ha bana hai har jawan e Ahle bait

Jumma ka din hai kitabein zist ki tay kar ke aaj
Khel te hein jaan par shehzad-gane Ahle bait

Ae shabab-e-fasle ghul Ye chal gayee kesi hawa
Kat raha hai leh-lahata bustan-e-Ahle bait

Kis shaqee ki hai hukumat haaye kya andher hai
Din dahade lut raha hai karwane Ahle bait

Khushk ho jaa khak ho kar khaak mein mil ja Furaat
Khaak Tuj par dekh toh sukhi zabanein Ahle bait

Khaak par Abbaso Usmaan-e-Alam bardar hein
Be kasi ab kaun uthaye’ga nishane Ahle bait

Teri kudrat janwar tak aabse sehraab hein
Pyas ki shiddat mein tadpe be zaban-e-Ahle bait

Kafila salaar manzil ko chale hein sonp kar
Waaris-e-be’warisaan ko karwan-e-Ahle bait

Fatima ke ladle ka aakhri deedar hai
Hashr ka hangama barpaa hai mayan-e-Ahle bait

Wakt-e-Akhir keh raha hai khak mein milta suhag
Lo salam-e-Akhari Ae dewgane Ahle bait

Kis maze ki lazzatein hein aabe tayg-e-Yaar mein
Khaak khoon mein laut te hein tishnagane Ahle bait

Baag-e-Jannat chhod kar aaye hein Mehboob-e-Khuda
Ae zahe kismat Tumhari pushtagane Ahle bait

Hoorein be’parda nikal aayee hein sar khole hue
Aaj kaisa hashr hai barpa mayan-e-Ahle bait

Koi kyun puchhe kisi ko kya garaz Aye be-kasee
Aaj kaisa hai mareez-e-neem jaane Ahle bait

Ghar lutana jaan dena koi Tujse sikhle
Jaan-e-Alam ho fida Aye khandan-e-Ahle bait

Sar Shahidan-e-Muhabbat ke hein naizon par buland
Aur unchi ki khuda ne kadro shaane Ahle bait

Daulat-e-Deedar payee paak jaanein bech kar
Karbala mein khub hi chamki dukan-e-Ahle bait

Zakhm khaane ko , Tu’aab-e-Tayg pine ko diya
Khub dawat ki bula kar Dushmanan-e-Ahle bait

Apna sauda bech kar bazar suna kar gaye
Kaun si basti basai Taajiran e Ahle bait

Ho gayi tehqeeq Eid-e-deed aab-e-Tayg se
Apne roze khaulte hein saeeman-e-Ahle bait

Ahle bait-e-Paak se gustakhiyan be’bakiyan
La’natullahi Alaykum dushmanan-e-Ahle bait

Be adab gustakh firke ko suna de Ae Hasan
Yun kaha karte hein Sunni Dastan-e-Ahle bait

 

Bagh Jannat Kay Hen Behre Madha Khwan e Ahle Bait

Tum Ko Muzda Nar Ka Ae dushmanan e Ahle Bait

 

Kis Zuban Se Ho Bayan Izz o Shan e Ahle Bait

Madha Go e Mustafa He Madha Khwan e Ahle Bait

 

Unki paki ka Khuda e Pak Karta He Bayan

Ayah e Tatheer se zahir He shan e Ahle Bait

 

Mustafa Izzat Badhane Kay Liye tazeem dein

He Buland Iqbal Tera Doodman e Ahle Bait

 

UnKay Ghar Be Ijazat Jibrael Ate Nahi

Qadr Wale Jante He Qadr o Shan e Ahle Bait

 

Ramz Ka maidan bana He jalwah gah e husn o ishq

Karbala Me Ho Raha He Imtihan e Ahle Bait

 

Phool Zakhmon Kay Khilaye He Hawa e Dost Ne

Khoon se seencha gaya He Gulsitan e Ahle Bait

 

Hoorein Karti He Aroosan e Shahadat ka singhar

Khuburu Dulha Bana He Har Jawan e Ahle Bait

 

Ho Gai Tehqeeq Eid e Deed Ab e Taigh Se

Apne Roze Kholte He Sa`iman e Ahle Bait

 

Jummah ka Din He Kitabein zeest ki Tay kar Kay Aj

Kheltein He Jan Per Shahezadgan e Ahle Bait

 

Ae Shabab e Fasl e Gul Yeh Chal Gayi Kaisi Hawa

Katt Raha He Lehlahata Boostan e Ahle Bait

 

Kis Shaqi Ki He Huqoomat Haye Kya Andher He

Din Dahade Lutt Raha He Karwan e Ahle Bait

 

Khushq Ho Ja Khakh Ho Kar Khakh Me Mil Ja Furat

Khakh Tujh Per Dekh Toh sukhi zaban e Ahle Bait

 

Khakh Per Abbas o Usman e Alambardar He

Be Kasi Ab Koun Uthaye Ga Nishan e Ahle Bait

 

Teri Qudrat Janwaron Taq Ab Se Sairab Hon

Pyas Ki Shiddat Me Tadpe Be Zaban e Ahle Bait

 

Qafilah Salar Manzil Ko Chale He Soonp Kar

Waris e Be Warisan Ko Karwan e Ahle Bait

 

Fatimah Kay Ladle Ka Akhri Deedar He

Hashr Ka Hangama Barpa He Mayan e Ahle Bait

 

Waqt e Rukhsat Kayh Raha He Khakh Me Milta Suhag

Lo Salam e Akhri Ae Bewgan e Ahle Bait

 

Abr e Faoj Dushmanan Me Ae Falaq youn doob Jaye

Fatimah ka Chand Mehr e Asman e Ahle Bait

 

Kis Maze Ki Lazzatein He ab e taigh e Yar me

Khakh o Khoon Me Laot te He Tishnagan e Ahle Bait

 

Bagh e Jannat chodh kar aye He Mehboob e Khuda

Ae Zahe qismat Tumhari Kushtgan e Ahle Bait

 

Hoorein be Pardah Nikal ayi He sar khole Hue

Aj Kaisa Hashr He Barpa Mayan e Ahle Bait

 

Koi Kyon Puche Kisi Ko Kya garaz Ae Bekasi

Aj Kaisa He Mareez e Neem Jan e Ahle Bait

 

Ghar Lutana Jan Dena Koi Tujh se Seekh jaye

Jan e Alam Ho Fida Ae Khandan e Ahle Bait

 

Sar Shaheedan e Muhabbat Kay He Nezon Per Buland

Aur Uoonchi Ki Khuda Ne Qadr o Shan e Ahle Bait

 

Daolat e deedar Payi Pak Janein bech kar

Karbala me Khoob hi Chamki Dukan e Ahle Bait

 

Zakhm Khane Ko Toh ab e Taigh Pine Ko Diya

Khoob Dawat ki Bula Kar dushmanan e Ahle Bait

 

Apna Saoda Bech Kar Bazar suna Kar gaye

Kaonsi Basti basayi Tajiran e Ahle Bait

 

Ahle Bait e Pak Se Gustakhiyan Be Bakiyan

La`natullahi Alaykum dushmanan e Ahle Bait

 

Bagh Jannat Ke Hain Behre Madha Khawan Ahelbait in Hindi

 

बाग़-ए-जन्नत के हैं बेहरे मदह़-ख़्वान-ए-अहल-ए-बैत
तुम को मुज़्दा नार का, ए ! दुश्मनान-ए-अहल-ए-बैत

किस ज़बां से हो बयान-ए-इज़्ज़-ओ-शान-ए-अहल-ए-बैत
मदह़-गो-ए-मुस्तफ़ा हैं मदह-ख़्वान-ए-अहल-ए-बैत

उनकी पाकी का ख़ुदा-ए-पाक करता है बयान
आया-ए-तत़हीर से ज़ाहिर है शान-ए-अहल-ए-बैत

मुस्तफ़ा इज़्ज़त बड़ाने के लिये तअ़ज़ीम दें
है बुलंद इक़बाल तेरा दूदमान-ए-अहल-ए-बैत

उन के घर तो बे-इजाज़त जिब्रईल आते नहीं
क़द्र वाले जानते हैं क़द्र-ओ-शान-ए-अहल-ए-बैत

फूल ज़ख्मों के खिलाए हैं हवा-ए-दोस्त ने
ख़ून से सींचा गया है गुल्सितान-ए-अहल-ए-बैत

अहल-ए-बैत-ए-पाक से गुस्ताख़ियां बे-बाकियां
लअ़नतुल्लाहि-अ़लयकुम दुश्मनान-ए-अहल-ए-बैत

बे-अदब गुस्ताख़ फ़िरक़े को सुना दे ए हसन
यूं कहा करते हैं सुन्नी दास्तान-ए-अहल-ए-बैत

 

 

باغ جنت کے ہیں بہرِ مدح خوان ِاہلبیت
تم کو مژدہ نار کا اے دشمنانِ اہلبیت

کس زباں سے ہو بیانِ عز و شانِ اہلبیت
مدح گوئے مصطفے ہے مدح خوانِ اہلبیت

ان کی پاکی کا خدائے پاک کرتا ہے بیاں
آیہء تطہیر سے ظاہر ہے شانِ اہلبیت

مصطفے عزت بڑھانے کے لیے تعظیم دیں
ہے بلند اقبال تیرا دودمانِ اہلبیت

ان کے گھر بے اجازت جبریل آتے نہیں
قدر والے جانتے ہیں قدر و شانِ اہلبیت

مصطفٰے بائع خریدار اس کا اللہ اشتری
خوب چاندی کر رہا ہے کاروانِ اہلبیت

رزم کا میدان بنا ہے جلوہ گاہِ حسن و عشق
کربلا میں ہو رہا ہے امتحانِ اہلبیت

پھول زخموں کے کھلائے ہیں ہوائے دوست نے
خون سے سینچا گیا ہے گلستانِ اہلبیت

حوریں کرتی ہے عروسانِ شہادت کا سنگار
خوبرو دولھا بنا ہے ہر جوانِ اہلبیت

ہو گئی تحقیقِ عید، دیدِ آبِ تیغ سے
اپنے روزے کھولتے ہیں صائمانِ اہلبیت

جمعہ کا دن ہے کتابیں زیست کی طے کر کے آج
کھیلتے ہیں جان پر شہزادگانِ اہلبیت

اے شبابِ فصلِ گل یہ چل گئی کیسی ہوا
کٹ ریا ہے لہلہاتا بوستانِ اہلبیت

کس شقی کی ہے حکومت ہائے کیا اندھیر ہے
دن دھاڑے لٹ رہا ہے کاروانِ اہلبیت

خشک ہو جا خاک ہو کر خاک میں مل جا فرات
خاک تجھ پر دیکھ تو سوکھی زبانِ اہلبیت

خاک پر عباس و عثمانِ علمبردار ہیں
بیکسی اب کون اٹھائے گا نشانِ اہلبیت

تیری قدرت جانور تک آب سے سیراب ہوں
پیاس کی شدت میں تڑپے بے زبانِ اہلبیت

قافلہ سالار منزل کو چلے ہیں سونپ کر
وارثِ بے وارثوں کو کاروانِ اہلبیت

فاطمہ کے لاڈلے کا آخری دیدار ہے
حشر کا ہنگامہ برپا ہے میانِ اہلبیت

وقتِ رخصت کہہ رہا ہے خاک میں ملتا سہاگ
لو سلامِ آخری اے بیوگانِ اہلبیت

ابرِ فوجِ دشمناں میں اے فلک یوں ڈوب جائے
فاطمہ کا چاند مہرِ آسمانِ اہلبیت

کس مزے کی لذ تیں ہیں آبِ تیغِ یار میں
خاک و خوں میں لوٹتے ہیں تشنگانِ اہلبیت

باغ جنت چھوڑ کر آئے ہیں محبوبِ خدا
اے زہے قسمت تمھاری کشتگانِ اہلبیت

حوریں بے پردہ نکل آئی ہیں سر کھولے ہوئے
آج کیسا حشر ہے برپا میانِ اہلبیت

کوئی کیوں پوچھے کسی کو کیا غرض اے بیکسی
آج کیسا ہے مریض نیم جانِ اہلبیت

گھر لٹانا جان دینا کوئی تجھ سے سیکھ جائے
جانِ عالم ہو فدا اے خاندانِ اہلبیت

سر شہیدانِ محبت کے ہیں نیزوں پر بلند
اور اونچی کی خدا نے قدر و شانِ اہلبیت

دولتِ دیدار پائی پاک جانیں بیچ کر
کربلا مین خوب ہی چمکی دوکانِ اہلبیت

زخم کھانے کو تو آبِ تیغ پینے کو دیا
خوب دعوت کی بلا کر دشمنانِ اہلبیت

اپنا سودا بیچ کر بازار سونا کر گئے
کونسی بستی بسائی تاجرانِ اہلبیت

اہلِ بیتِ پاک سے گستاخیاں بے باکیاں
لعنۃ اللہ علیکم دشمنانِ اہلبیت

بے ادب گستاخ فرقے کو سنا دو اے حسؔن
یوں کہا کرتے ہیں سنی داستانِ اہلبیت​

 

 

Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika

Alwida Zainab Sa Noha Lyrics

Wa Museebata Noha Lyrics

Aaghaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka Lyrics

Faqat Ali Hai Noha Lyrics

Hai pyari zaat hai aur naam pyara Fakhre Azhar ka Lyrics

Allahumma Salle Ala Muhammadin Naat Lyrics

I am Hussaini I am Hussaini

Salute to you my Hussain, salute to you my Hussain

US HUSAIN IBE HAIDAR PE LAKHO SALAM LYRICS

{sallallahu alayhi wa Sallam}

{radi allahu anhuma}

baagh’ jannat ke hain bahar madah khawan Ahley beeet
tum ko Musda naar ka ae dshmnan ehley beeet

kis zuba se ho bayan izz o shan-e Ahley beeet
madah go mustafa hai madah khawan Ahley beeet

unn ki paki ka خداے pak karta hai bayan
aayea tatheer se zahir hai shan-e ehley beeet

mstfe? izzat badhaane ke liye tazeem den
hai buland Iqbal tera dudman ehley beeet

unn ke ghar mein be ijazat jibrael atay nahi
qader walay jantay hain qader o shan-e ehley beeet

mstfe? بائع khredar uss ka Allah اشتری
khoob chandi kar raha hai karwan-e ehley beeet

Razm ka میداں bana hai jalva gahِ husn وعشق
karbalaa mein ho raha hai imthehaan ehley beeet

phool zakhamo ke khilaye hain ہواے dost ne
khoon se siencha gaya hai gulsitan ehley beeet

hooren karti hai عروسان shahadat ka singaar
khubaru dolha bana hai har jwanِ ehley beeet

ho gayi tehqeeq aydِ deed aabِ tegh se
–apne rozay kholtey hain صائمان ehley beeet

jummay ka din hai kitaaben zeist ki tay kar ke aaj
khailtay hain jaan par شہزادگان ehley beeet

ae Shabab fasal Gul yeh chal gayi kaisi sun-hwa
kat raha hai لہلہاتا ostan ehley beeet

kis شقی ki hai hukoomat haae kya andher hai
din d_harhe Lut raha hai karwan-e ehley beeet

khushk ho ja khaak ho kar khaak mein mil ja furaat
khaak tujh par dekh to SOOKHI zbanِ ehley beeet

khaak par abbas o Usmaan ilm bardaar hain
be kisi ab kon uthaiye ga nshanِ ehley beeet

teri qudrat janwar tak aabb se sairaab hon
pyaas ki shiddat mein tarpe be zbanِ ehley beeet

qaafla salaar manzil ko chalay hain saump kar
varsِ be وارثاں ko karwan-e ehley beeet

fatima ke ladle ka aakhri deedar hai
hashar ka hungama barpaa hai Mayan ehley beeet

waqt e rukhsat keh raha hai khaak mein milta suhaag
lo salam aakhri ae بیوگان ehley beeet

aَbr fouj dushmanaan mein ae fallak yun doob jaye
fatima ka chaand mohar Aasman ehley beeet

kis mazay ki lazite hain aabِ tegh yaar mein
khaak o khoo mein lottay hain تشنگان ehley beeet

baghِ jannat chore kar aaye hain MEHBOOB kkhuda
ae زہے qismat tumhari کشتگان ehley beeet

hooren be parda nikal aayi hain sir khole hue
aaj kaisa hashar hai barpaa Mayan ehley beeet

koi kyun pouchye kisi ko kya gharz ae be kisi
aaj kaisa hai mareez name jaan-e ehley beeet

ghar lutana jaan dena koi tujh se seekh jaye
jaan-e aalam ho fida ae khandanِ ehley beeet

sir shaheedan mohabbat ke hain naizon par buland
aur onche ki kkhuda ne qader o shan-e ehley beeet

doltِ deedar payi pak jaanen beech kar
karbalaa mein khoob hi chamki dokaan ehley beeet

zakham khanay ko to aabِ tegh peenay ko diya
khoob dawat ki bulaa kar dshmnan ehley beeet

apna soda beech kar bazaar sona kar gaye
kon si bastii basai taajaran ehley beeet

ehley beeet pak se گستاخیاں be باکیاں
لعْنہ اﷲ علیْکمْ dshmnan ahal beeet

be adab gustaakh firqa ko suna day ae حسنؔ
yun kaha karte hain sُnni dastanِ ehley beeet

zouqe naat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *