Bagh e Jannat Kay Hain Behre Madha Khawan-e-AhleBait Lyrics
Bagh e Jannat Kay Hen Behre Madha Khwan e Ahle Bait
Tum Ko Muzda Nar Ka Ae dushmanan e Ahle Bait
Kis Zuban Se Ho Bayan Izz o Shan e Ahle Bait
Madha Go e Mustafa He Madha Khwan e Ahle Bait
Unki paki ka Khuda e Pak Karta He Bayan
Ayah e Tatheer se zahir He shan e Ahle Bait
Mustafa Izzat Badhane Kay Liye tazeem dein
He Buland Iqbal Tera Doodman e Ahle Bait
UnKay Ghar Be Ijazat Jibrael Ate Nahi
Qadr Wale Jante He Qadr o Shan e Ahle Bait
Ramz Ka maidan bana He jalwah gah e husn o ishq
Karbala Me Ho Raha He Imtihan e Ahle Bait
Phool Zakhmon Kay Khilaye He Hawa e Dost Ne
Khoon se seencha gaya He Gulsitan e Ahle Bait
Hoorein Karti He Aroosan e Shahadat ka singhar
Khuburu Dulha Bana He Har Jawan e Ahle Bait
Ho Gai Tehqeeq Eid e Deed Ab e Taigh Se
Apne Roze Kholte He Sa`iman e Ahle Bait
Jummah ka Din He Kitabein zeest ki Tay kar Kay Aj
Kheltein He Jan Per Shahezadgan e Ahle Bait
Ae Shabab e Fasl e Gul Yeh Chal Gayi Kaisi Hawa
Katt Raha He Lehlahata Boostan e Ahle Bait
Kis Shaqi Ki He Huqoomat Haye Kya Andher He
Din Dahade Lutt Raha He Karwan e Ahle Bait
Khushq Ho Ja Khakh Ho Kar Khakh Me Mil Ja Furat
Khakh Tujh Per Dekh Toh sukhi zaban e Ahle Bait
Khakh Per Abbas o Usman e Alambardar He
Be Kasi Ab Koun Uthaye Ga Nishan e Ahle Bait
Teri Qudrat Janwaron Taq Ab Se Sairab Hon
Pyas Ki Shiddat Me Tadpe Be Zaban e Ahle Bait
Qafilah Salar Manzil Ko Chale He Soonp Kar
Waris e Be Warisan Ko Karwan e Ahle Bait
Fatimah Kay Ladle Ka Akhri Deedar He
Hashr Ka Hangama Barpa He Mayan e Ahle Bait
Waqt e Rukhsat Kayh Raha He Khakh Me Milta Suhag
Lo Salam e Akhri Ae Bewgan e Ahle Bait
Abr e Faoj Dushmanan Me Ae Falaq youn doob Jaye
Fatimah ka Chand Mehr e Asman e Ahle Bait
Kis Maze Ki Lazzatein He ab e taigh e Yar me
Khakh o Khoon Me Laot te He Tishnagan e Ahle Bait
Bagh e Jannat chodh kar aye He Mehboob e Khuda
Ae Zahe qismat Tumhari Kushtgan e Ahle Bait
Hoorein be Pardah Nikal ayi He sar khole Hue
Aj Kaisa Hashr He Barpa Mayan e Ahle Bait
Koi Kyon Puche Kisi Ko Kya garaz Ae Bekasi
Aj Kaisa He Mareez e Neem Jan e Ahle Bait
Ghar Lutana Jan Dena Koi Tujh se Seekh jaye
Jan e Alam Ho Fida Ae Khandan e Ahle Bait
Sar Shaheedan e Muhabbat Kay He Nezon Per Buland
Aur Uoonchi Ki Khuda Ne Qadr o Shan e Ahle Bait
Daolat e deedar Payi Pak Janein bech kar
Karbala me Khoob hi Chamki Dukan e Ahle Bait
Zakhm Khane Ko Toh ab e Taigh Pine Ko Diya
Khoob Dawat ki Bula Kar dushmanan e Ahle Bait
Apna Saoda Bech Kar Bazar suna Kar gaye
Kaonsi Basti basayi Tajiran e Ahle Bait
Ahle Bait e Pak Se Gustakhiyan Be Bakiyan
La`natullahi Alaykum dushmanan e Ahle Bait
Listen
{sallallahu alayhi wa Sallam}
{radi allahu anhuma}