ZINDAGI PHIR MUSKURAI NAAT LYRICS

Marhaba Marhaba,
Sarkar ki Aamad Marhaba
Dildaar ki Aamad Marhaba
Manthar ki Aamad Marhaba

Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Aamad e Mustafa Marhaba
Zindagi phir Muskurai

Noor wala aa gaya
Zulmaton ne maat khayi
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Aamina bibi ke ghar me
Noor ki barsat hai
Sa’at e Milad aayi
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Sidrah Waale Ki Qiyadat Me
Saalami ke Liye
Qudsiyon ke fauj aayi
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Gir Gaye Buth Sar Ke Bal
Aur Kasre Kisra kaanp utha
Shaamat e Shaitaan aayi
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Ab buthon se paak
karne waala mujhko aa gaya
Naat kaabe ne sunai
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Parchamon se, Kumkumon se
Ghar mohalle saj gaye
Aashiqon ki eid aayi
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Aye Khud shad shukr tera
Ki tune mujhe ataa
Shah ki middhat sarahi
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Jhoom uthi hai bazme middhat
Aaj tune aye Ubaid
Naat yeh kaisi sunai
Noor wala aa gaya
Aamad e Sarkar hai
Saare jhoom ke bolo
Marhaba Marhaba
Zindagi phir muskurai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *