Un Ki Bhi Shafaa’at Mere Sarkaar Karenge Naat Lyrics

 

 

उन की भी शफ़ा’अत मेरे सरकार करेंगे
जो रौज़ा-ए-सरकार का दीदार करेंगे

मैं क़ब्र में कह दूँगा फ़रिश्तों से कि जाओ
अब जो भी करेंगे, मेरे सरकार करेंगे

बीमार हूँ मैं, ‘आबिद-ए-बीमार के दर का
और मेरी दवा ‘आबिद-ए-बीमार करेंगे

रमज़ान में हो जाए जो आक़ा का इशारा
हम लोग मदीने में ही इफ़्तार करेंगे

जब उम्मती रो रो के पुकारेंगे नबी को
सरकार कहाँ ऐसे में इंकार करेंगे !

जो ऊँगली उठाएगा बरेली के रज़ा पर
उस का तो इलाज अज़हरी सरकार करेंगे

अख़लाक़ की तलवार हमें दी है नबी ने
क्या ले के हम अब लोहे की तलवार करेंगे

घेरा है बलाओं ने मेरे घर को, मुझे भी
अब दूर इने सय्यिद-ए-सालार करेंगे

शादाब ! यही नात के अश’आर को पढ़ कर
घर अपने लिए ख़ुल्द में तैयार करेंगे

शायर:
शादाब रज़ा कानपुरी

नात-ख़्वाँ:
शादाब रज़ा कानपुरी

 

un ki bhi shafaa’at mere sarkaar karenge
jo rauza-e-sarkaar ka deedaar karenge

mai.n qabr me.n kah doonga farishto.n se ki jaao
ab jo bhi karenge, mere sarkaar karenge

beemaar hu.n mai.n, ‘aabid-e-beemaar ke dar ka
aur meri dawa ‘aabid-e-beemaar karenge

ramzaan me.n ho jaae jo aaqa ka ishaara
ham log madine me.n hi iftaar karenge

jab ummati ro ro ke pukaarenge nabi ko
sarkaar kahaa.n aise me.n inkaar karenge !

jo ungli uThaaega bareli ke raza par
us ka to ilaaj azhari sarkaar karenge

aKHlaaq ki talwaar hame.n di hai nabi ne
kya le ke ham ab lohe ki talwaar karenge

ghera hai balaao.n ne mere ghar ko, mujhe bhi
ab door ine sayyid-e-saalaar karenge

Shaadaab ! yahi naa’t ke ash’aar ko pa.Dh kar
ghar apne liye KHuld me.n taiyaar karenge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *