Umangein Josh Par Aain Iraade Gudgudaate Hain Naat Lyrics

 

उमंगें जोश पर आईं, इरादे गुदगुदाते हैं
जमील-ए-क़ादरी ! शायद हबीब-ए-हक़ बुलाते हैं

जगा देते हैं क़िस्मत चाहते हैं जिस की दम भर में
वो जिस को चाहते हैं अपने रौज़े पर बुलाते हैं

उन्हें मिल जाता है गोया वो साया ‘अर्श-ए-आ’ज़म का
तेरी दीवार के साए में जो बिस्तर जमाते हैं

मुक़द्दर इस को कहते हैं, फ़रिश्ते ‘अर्श से आ कर
ग़ुबार-ए-फ़र्श-ए-तयबा अपनी आँखों में लगाते हैं

ख़ुदा जाने कि तयबा को हमारा कब सफर होगा
मदीने को हज़ारों क़ाफ़िले हर साल जाते हैं

शह-ए-तयबा ! ये क़ुव्वत है तेरे दर के गदाओं में
जिला देते हैं मुर्दों को वो जिस दम लब हिलाते हैं

मेरे मौला ! ये क़ुव्वत है तेरे दर के गदाओं में
वो जिस को चाहते हैं शाह दम भर में बनाते हैं

मदीने की तलब में जो नहीं लेते हैं जन्नत को
उन्हें तशरीफ़ ला कर हज़रत-ए-रिज़वाँ मनाते हैं

तसद्दुक़ जान-ए-‘आलम ! इस करीमी और रहीमी के
गुनह करते हैं हम, वो अपनी रहमत से छुपाते हैं

जमील-ए-क़ादरी को देख कर हूरों में ग़ुल होगा
यही हैं वो कि जो ना’त-ए-हबीब-ए-हक़ सुनाते हैं

शायर:
मौलाना जमीलुर्रहमान रज़वी क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी

 

umange.n josh par aai.n, iraade gudgudaate hai.n
Jameel-e-Qadri ! shaayad habeeb-e-haq bulaate hai.n

jaga dete hai.n qismat chaahte hai.n jis ki dam bhar me.n
wo jis ko chaahte hai.n apne rauze par bulaate hai.n

unhe.n mil jaata hai goya wo saaya ‘arsh-e-aa’zam ka
teri deewaar ke saaye me.n jo bistar jamaate hai.n

muqaddar is ko kehte hai.n, farishte ‘arsh se aa kar
Gubaar-e-farsh-e-tayba apni aankho.n me.n lagaate hai.n

KHuda jaane ki tayba ko hamaara kab safar hoga
madine ko hazaaro.n qaafile har saal jaate hai.n

shah-e-tayba ! ye quwwat hai tere dar ke gadaao.n me.n
jila dete hai.n murdo.n ko wo jis dam lab hilaate hai.n

mere maula ! ye quwwat hai tere dar ke gadaao.n me.n
wo jis ko chaahte hai.n shaah dam bhar me.n banaate hai.n

madine ki talab me.n jo nahi.n lete hai.n jannat ko
unhe.n tashreef laa kar hazrat-e-rozwaa.n manaate hai.n

tasadduq jaan-e-‘aalam ! is kareemi aur raheemi ke
gunah karte hai.n ham, wo apni rahmat se chhupaate hai.n

Jameel-e-Qadri ko dekh kar hooro.n me.n Gul hoga
yahi hai.n wo ki jo naa’t-e-habeeb-e-haq sunaate hai.n

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *