Saleeqa To Nahin Lekin Aqeedat Kheench Laai Hai Naat Lyrics
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
मुझे इस बज़्म में उन की मोहब्बत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
ये परवाना जिसे तहज़ीब-ए-हाज़िर के अँधेरों से
मुहम्मद नाम की शम्-‘ए-हिदायत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
बशर को पस्तियों से रिफ़’अत-ए-औज-ए-सुरय्या तक
हुज़ूर-ए-पाक की चश्म-ए-‘इनायत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
करम के मुंतज़िर शाह-ओ-गदा दामन पसारे हैं
शह-ए-कौनैन की सब को सख़ावत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
है इक ख़ुश-कुन तसव्वुर आसियों की भीड़ से मुझ को
वही नज़र-ए-करम बहर-ए-शफ़ा’अत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
मदीना हाज़री का ये शरफ़ यूँ ही नहीं मिलता
तुम्हें, दानिश ! ख़ुदा की ख़ास रहमत खींच लाई है
सलीक़ा तो नहीं लेकिन अक़ीदत खींच लाई है
शायर:
डॉ. नदीम जीलानी ‘दानिश’
नात-ख़्वाँ:
सय्यिद इमरान मुस्तफ़ा
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
mujhe is bazm me.n un ki mohabbat kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
ye parwaana jise tahzeeb-e-hazir ke andhero.n se
muhammad naam ki sham-‘e-hidaayat kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
bashar ko pastiyo.n se rifa’at-e-auj-e-suryya tak
huzoor-e-paak ki chashm-e-‘inaayat kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
karam ke muntazir shaah-o-gada daaman pasaare hai.n
shah-e-kaunain ki sab ko saKHaawat kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
hai ik KHush-kun tasawwur aasiyo.n ki bhee.D se mujh ko
wahi nazr-e-karam bahr-e-shafaa’at kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai
madina haazri ka ye sharaf yu.n hi nahi.n milta
tumhe.n, Daanish ! KHuda ki KHaas rahmat kheench laai hai
saleeqa to nahi.n lekin aqeedat kheench laai hai