maa tere doodh ka haq hum se ada kiya hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Tu Ho Naraz To Khush Hum Se Khuda Kiya Hoga
Yad He Aaj Bhi Ae Maa Wo Zamana Mera
Mujhko School Talak Chor Ke Aana Tera
Sard Jaroan Ki Thirikti Hoi Raato Main Mujhe
Maa Chupa Leti Thi Tu Pyar Se Baanhoan Main Mujhe
Garmiyo Main Mujhe Anchal Ki Hawa Daiti Thi
Phoolne Phalne Ki Tu Mujhko Dua Daiti Thi
Raat Bhar Jag K Seene Pe Sulea Tune
Khud Rahi Bhoki Magar Mujhko Khilea Tune
Tere Jaisa Kisi Or Ka Dil Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Tujhko Allah Ne Kiya Khob Sharf Bakhsha He
Zikar Qur’an K Paaron Main Tera Aea He
Teri Azmat Ko Farishto Ne Salami Di He
Yani Walyo Ne Imamo Ne Ghulami Ki He
Apne Beton K Sitam Hans K Utha Leti He
Or Tu He K InHen Phr Dua Daiti He
He Teri Zaat Pe Allah Ki Qudrat Ko Bhi Naaz
Ho Ijazat To Parho Tere Anchal Pe Namaz
Martabe Main Koi Maa Tujh Se Bara Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Humse Ada Kiya Hoga
Tune Aulaad Pe Kiya Kuch Nahi Qurban Kia
Apni Neendain Hamain Dee Apna Wo Sukh CHen Dia
Log Karte The Agr Tujhse Shikeat Meri
Jan Par KHel K Karti Thi Hifazat Meri
Jab Koi Mujhe Satee To Bigar Jati Thi
Meri Khatir Kabhi Jhagre Pe Utar Jati Thi
Meri Sanso Me Tu Majod He Khushbo Man Kar
Meri Raato Me Chamakti He Tu Jugno Ban Kar
Tera Dil Tor K Beton Ka Bhala Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Yad Ati He Abhi Tak Mujhe Batain Teri
Mere Rone Se Chalak Jati Thi AnkHen Teri
Tu Mujhe Rota Hoa Daikh Kar Ro Daiti Thi
Apna Sukh CHen Mere Waste Kho Deti Thi
Ye Duain Mujhe Daidi Main Sanwar Jaonga
Tu Yunhi Rothi Rahegi To Main Mar Jaonga
Hoga Ahsaan Gale Bahr K Laga Le Mujhko
Apni Mamta Bhari Jannat Main Chupale Mujhko
Yahi Rasta He Or Is K Siwa Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Teri Azmat Ko Kia Barh K Farishto Ne Tawaf
Or Qadam Main Ne Uthee Teri Marzi K Khilaf
Kitna Bdbakht Hun Farman E Khuda Bhol Gea
Manta Hun K Khatakat Gunahgar Hun Main
Tu Khafa He To Musibat Main Giraftar Hun Main
Maaf Karde Mujhe Phr Barh K Sahara De De
Maa Meri Dobti Kashti Ko Kinara De De
Warna Mujh Jaisa Gunahgar Koi Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Log Bv K Lie Maa Bhula Daite He
Os K Jazbat Ko Soli Pe Charha Daite He
Bur’he Maa Baap K Jo Kaam Nahi Aao Ge
Apni Olaad Se Tum Iska Sila Paao Ge
Ye Agar Bichre To Phr Hath Kahan Aain Ge
Rahmato Ki Liee Soghat Kahan Aain Ge
Han Abhi Waqt He Maa Baap Ki Khidmat Karlo
Naikiyaan Lot Lo Or Khushiyon Se Daman Bharlo
Jeega Bus Wohi Jannat Main Jo Maa Ka Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Wasta Adam O Hawwa Ka Tujhe Daita Hun
Wasta Shah E Madina Ka Tujhe Daita Hun
Wasta Daita Hun Heder Ki Shuja’at Ka Tujhe
Wasta Fatima Zahra Ki Ibadat Ka Tujhe
Tu Jo Khush Hogi To Khush Honge Hussain Or Hassan
Warna Weeran Rahega Mere Jiwan Ka Chaman
Ae Meri Maa Tu Mera Doodh Na Bakhshe Ki Agar
Aag Dozakh Ki Jaleegi Mujhe Rah Rah Kar
Bad Marne K Zra Soch Mera Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Maa Ka Dil Tote To Awaz Khuda Tak Jee
Ye Jo Roe To Farishto Ko Bhi Rona Aee
Maa K Dukh Dard Ko Beta Agar Na Samjhe Ga
Uska Jannat Me Khuda Bhi Nahi Jane De Ga
Mere Aaqa Nahi Dainge Use Jam E Kosar
Raat Din Barse Gi Allah Ki Laanut Us Par
Chahe Hafiz Ho K Haji Ya Namazi Aalim
Ise Beton Se Khuda Kaise Ho Razi Aalam
Jo Bhala Hi Nahi Karega To Bhala Kiya Hoga
Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga
Tu Ho Naraz To Khush Hum Se Khuda Kiya Hoga
Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain Lyrics