khwaja e khwajgaa ki nazar ho gayi manqabat lyrics

 

 

Khwaja e Khwajgaa ki Nazar Ho Gayi
Meri Qismat Thi Bigdi Hui Ban Gayi
Faiz Ajmer Se Mujh Ko Itna Mila
Chishtiyat Mere Dil Kali Ban Gayi

 

Jab Se Khwaja Ko Apnaya Dil Ne Mere
Meri Roohaniyat ko Suqoon Aa Gaya
Tan Badan Me Nayi Taazgi Bhar Gayi
Meri Duniya Mujassam Khushi Ban Gayi

Che (6) Rajab Ko Mila Aisa Aali Sharaf
Naam Khwaja Ki Dhoome Machi Har Taraf
Hind Ke Sheher Ajmer ki Har Gali
Gulshane Khwaja Hindal Wali Ban Gayi

Taajdaare Wilaayat Hai Khwaja Piya
Saare Waliyon Ko Unke Hi Dar Se Mila
Baaghe Jannat Ko Kuch Aisi Shohrat Mili
Woh Jagah Hi Nabi Ki Gali Ban Gayi

Woh Gareebon Faqeeron ke Fariyad Ras
Khwaja e Khwajgaan Deene Haq Ke Moin
Hind Bhar Me Unhi Ka Hai Sikka Rawaa
Unki Roohaniyat Aalami Ban Gayi

Nazmi Tere Kalam Ko Hai Faize Raza
Shahe Barkat Ka Tujh par Karam Ye Hua
Tere Har Sher Me Jazbe Ishqo Wafaa
Shayari Aashiqi Aashiqi Ban Gayi

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *