khuda ke fazal se hum par he saya ghous e azam ka lyrics

 

 

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka
Humen Dono Jahaan Mein Hai Sahara Ghous E Azam Ka

Muhammed Ka Rasoolo Mein Hai Jaise Martaba A’ala
Hai Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka

Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamo Ko
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous E Azam Ka

Hamari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kiska Ghous E Azam Ka

Gaye Ek Waqt Mein Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat
Samajh Me Aa Nahi Sakta MuAmma Ghous E Azam Ka

Bula Kar Kafilo Ko Dete Hain Abdar Ka Rutba
Hamesha Josh Me Rehta He Dariya Ghous E Azam Ka

Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbaala Ghous E Azam Ka

Azizo Kar Chuko Taiyaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam E Waala Ghous E Azam Ka

Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Mein Daaman Hai Kiska Ghous E Azam Ka

Lahad Mein Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Naam Leva Ghous E Azam Ka

Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(n) Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka

Janaab Ghous Dulha Aur Baraati Auliya Honge
Mazaa Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka

Nida Dega Munaadi Hashr Mein Yun Qadriyo Ko
Kidhar Hai Qadri Karle Nazara Ghous E Azam Ka

Mukhalif Kya Kare Mera Ke Hai Behad Karam Mujh Par
Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka

Farishte Madrase Tak Saath Pohchaane Ko Jaate The
Ye Darbaar E Ilahi Mein Hai Rutba Ghous E Azam Ka

Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Rob Se Kaampe
Na Laya Sher Ko Khatre Mein Kutta Ghous E Azam Ka

Jameel E Qadri Sau Jaan Ho Qurbaan Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka

 

 

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghaus-e-Azam Ka | Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आ’ज़म का
हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

‘मुरीदी ला-तख़फ़’ कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को
क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ बंदा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

हमारी लाज किस के हाथ है ! बग़दाद वाले के
मुसीबत टाल देना काम किस का ! ग़ौस-ए-आ’ज़म का

गए इक वक़्त में सत्तर मुरीदों के यहाँ हज़रत
समझ में आ नहीं सकता मु’अम्मा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

मुहम्मद का रसूलों में है जैसे मर्तबा आ’ला
है अफ़ज़ल औलिया में यूँ ही रुत्बा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

‘अज़ीज़ो ! कर चुको तय्यार जब मेरे जनाज़े को
तो लिख देना कफ़न पर नाम-ए-वाला ग़ौस-ए-आ’ज़म का

लहद में जब फ़रिश्ते मुझ से पूछेंगे तो कह दूँगा
तरीक़ा क़ादरी हूँ, नाम लेवा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को
किधर हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को
कहाँ हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

फ़रिश्तो ! रोकते क्यूँ हो मुझे जन्नत में जाने से
ये देखो हाथ में दामन है किस का ! ग़ौस-ए-आ’ज़म का

जनाब-ए-ग़ौस दूल्हा और बराती औलिया होंगे
मज़ा दिखलाएगा महशर में सेहरा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा कि है बे-हद करम मुझ पर
ख़ुदा का, रहमतुल-लिल-‘आलमीं का, ग़ौस-ए-आ’ज़म का

कभी क़दमों पे लौटूँगा, कभी दामन पे मचलूँगा
बता दूँगा कि यूँ छुटता है बंदा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

जमील-ए-क़ादरी ! सौ जाँ से हो क़ुर्बान मुर्शिद पर
बनाया जिस ने तुझ जैसे को बंदा ग़ौस-ए-आ’ज़म का

शायर:
मौलाना जमील-उर-रहमान क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी


KHuda ke fazl se ham par hai saaya Gaus-e-aa’zam ka
hame.n dono.n jahaa.n me.n hai sahaara Gaus-e-aa’zam ka

‘mureedi laa-taKHaf’ keh kar tasalli di Gulaamo.n ko
qayaamat tak rahe be-KHauf banda Gaus-e-aa’zam ka

hamaari laaj kis ke haath hai ! baGdaad waale ke
museebat Taal dena kaam kis ka ! Gaus-e-aa’zam ka

gae ik waqt me.n sattar mureedo.n ke yahaa.n hazrat
samajh me.n aa nahi.n sakta mu’amma Gaus-e-aa’zam ka

muhammad ka rasoolo.n me.n hai jaise martaba aa’la
hai afzal auliya me.n yu.n hi rutba Gaus-e-aa’zam ka

‘azeezo ! kar chuko tayyaar jab mere janaaze ko
to likh dena kafan par naam-e-waala Gaus-e-aa’zam ka

lahad me.n jab farishte mujh se poochhenge to keh doonga
tareeqa qaadri hu.n, naam lewa Gaus-e-aa’zam ka

nida dega munaadi hashr me.n yu.n qaadriyo.n ko
kidhar hai.n qaadri ? kar le.n nazaara Gaus-e-aa’zam ka

nida dega munaadi hashr me.n yu.n qaadriyo.n ko
kahaa.n hai.n qaadri ? kar le.n nazaara Gaus-e-aa’zam ka

farishto ! rokte kyu.n ho mujhe jannat me.n jaane se
ye dekho haath me.n daaman hai kis ka ! Gaus-e-aa’zam ka

janaab-e-Gaus dulha aur baraati auliya honge
mazaa dikhlaaega mehshar me.n sehra Gaus-e-aa’zam ka

muKHaalif kya kare mera ki hai be-had karam mujh par
KHuda ka, rahmatul-lil-‘aalmee.n ka, Gaus-e-aa’zam ka

kabhi qadmo.n pe lauToonga, kabhi daaman pe machloonga
bata doonga ki yu.n chhuT.ta hai banda Gaus-e-aa’zam ka

Jameel-e-Qaadri ! sau jaa.n se ho qurbaan murshid par
banaaya jis ne tujh jaise ko banda Gaus-e-aa’zam ka

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *