Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Kar Diya Naat Lyrics
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
जो करम मुझ पे मेरे नबी कर दिया
मैं सजाता हूँ सरकार की महफ़िलें
मुझ को हर ग़म से रब ने बरी कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
ज़िक्र-ए-सरकार की है बड़ी बरकतें
मिल गई राहतें, ‘अज़मतें, रिफ़’अतें
मैं गुनहगार था, बे-‘अमल था मगर
मुस्तफ़ा ने मुझे जन्नती कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
लम्हा-लम्हा है मुझ पर नबी की ‘अता
दोस्तो ! और माँगू मैं मौला से क्या
क्या ये कम है कि मेरे ख़ुदा ने मुझे
अपने महबूब का उम्मती कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
जो दर-ए-मुस्तफ़ा के गदा हो गए
देखते देखते क्या से क्या हो गए
ऐसी चश्म-ए-करम की है सरकार ने
दोनों ‘आलम में उन को ग़नी कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
जो भी आए हैं महफ़िल में सरकार की
हाज़री मिल गई उन को दरबार की
कोई सिद्दीक़, फ़ारूक़, उस्माँ हुवा
और किसी को नबी ने ‘अली कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
कोई मायूस लौटा न दरबार से
जो भी माँगा, मिला मेरे सरकार से
सदक़े जाऊँ, नियाज़ी ! मैं लजपाल के
हर गदा को सख़ी ने सख़ी कर दिया
इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
शायर:
मौलाना अब्दुल सत्तार नियाज़ी
ना’त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
jo karam mujh pe mere nabi kar diya
mai.n sajaata hu.n sarkaar ki mahfile.n
mujh ko har Gam se rab ne bari kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
zikr-e-sarkaar ki hai ba.Di barkate.n
mil gai raahte.n, ‘azmate.n, rif’ate.n
mai.n gunahgaar tha, be-‘amal tha magar
mustafa ne mujhe jannati kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
lamha-lamha hai mujh par nabi ki ‘ata
dosto ! aur maangu mai.n maula se kya
kya ye kam hai ki mere KHuda ne mujhe
apne mahboob ka ummati kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
jo dar-e-mustafa ke gada ho gae
dekhte dekhte kya se kya ho gae
aisi chashm-e-karam ki hai sarkaar ne
dono.n ‘aalam me.n un ko Gani kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
jo bhi aae hai.n mahfil me.n sarkaar ki
haazri mil gai un ko darbaar ki
koi siddiq, faarooq, usmaa.n huwa
aur kisi ko nabi ne ‘ali kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada
koi maayoos lauTa na darbaar se
jo bhi maanga, mila mere sarkaar se
sadqe jaau.n, Niyaazi ! mai.n lajpaal ke
har gada ko saKHi ne saKHi kar diya
is karam ka karoo.n shukr kaise ada