Hazrat-e-Siddiq-e-Akbar Saari Ummat Ke Imaam Naat Lyrics

 

हज़रत-ए-सिद्दीक़-ए-अकबर सारी उम्मत के इमाम
दम-ब-दम मेरी तरफ़ से उन की ख़िदमत में सलाम

अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहा
या नबी ! बाक़ी रहे अब आप और रब्बुल-अनाम

अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहा
या नबी ! काफ़ी हैं मुझ को आप और रब्बुल-अनाम

सब से बढ़ कर हैं फ़ज़ीलत में वो बा’द-ए-अम्बिया
है गवाह इस पर यक़ीनन हर मुसलमाँ ख़ास-ओ-‘आम

हज़रत-ए-फ़ारूक़-ए-आ’ज़म और ज़ुन्नुरैन के
बल्कि हैं हर तौर वो मौला ‘अली के भी इमाम

मुस्तफ़ा के ‘इश्क़ का हक़ ऐसा पूरा कर दिया
हो गया अल्लाह राज़ी और आक़ा-ए-अनाम

वो ‘इबादत और इता’अत में थे सर-गर्म-ए-‘अमल
उन की सीरत सीरत-ए-अहमद का नक़्शा बा-कमाल

वो ख़िलाफ़त-ए-राशिदा के सर के ऐसे ताज हैं
हर कोई करता है झुक कर उन की अज़मत को सलाम

नक़्शबंदी सिलसिले के शैख़-ए-अव्वल हैं वोही
और रसूलुल्लाह के पहले ख़लीफ़ा-ए-मुराम

ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दिया
कर दो, सरदार ! इस पे अपनी गुफ़्तुगू का इख़्तितात

ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दिया
कर दो, ए सरदार ! इस पर मन्क़बत का इख़्तिताम

शायर:
मुफ़्ती सरदार अली नक़्शबंदी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

hazrat-e-siddiq-e-akbar saari ummat ke imaam
dam-ba-dam meri taraf se un ki KHidmat me.n salaam

apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kaha
ya nabi ! baaqi rahe ab aap aur rabbul-anaam

apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kaha
ya nabi ! kaafi hai.n mujh ko aap aur rabbul-anaam

sab se ba.Dh kar hai.n fazeelat me.n wo baa’d-e-ambiya
hai gawaah is par yaqeenan har musalmaa.n KHaas-o-‘aam

hazrat-e-faarooq-e-aa’zam aur zunnurain ke
balki hai.n har taur wo maula ‘ali ke bhi imaam

mustafa ke ‘ishq ka haq aisa poora kar diya
ho gaya allah raazi aur aaqa-e-anaam

wo ‘ibaadat aur itaa’at me.n the sar-garm-e-‘amal
un ki seerat seerat-e-ahmad ka naqsha baa-kamaal

wo KHilaafat-e-raashida ke sar ke aise taaj hai.n
har koi karta hai jhuk kar un ki azmat ko salaam

naqshbandi silsile ke shaiKH-e-awwal hai.n wohi
aur rasoolullah ke pehle KHalifa-e-muraam

KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diya
kar do, Sardaar ! is pe apni guftugu ka iKHtitaam

KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diya
kar do, ai Sardaar ! is par manqabat ka iKHtitaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *