Behtari Jis Pe Kare Fakhr Wo Behtar Siddiq Naat Lyrics
बेहतरी जिस पे करे फ़ख़्र वो बेहतर सिद्दीक़
सरवरी जिस पे करे नाज़ वो सरवर सिद्दीक़
चमनिस्तान-ए-नुबुव्वत की बहार-ए-अव्वल
गुलशन-ए-दीं के बने पहले गुल-ए-तर सिद्दीक़
बे-गुमाँ शम्’-ए-नुबुव्वत के हैं आईने चार
या’नी ‘उस्मान-ओ-‘उमर, हैदर-ओ-अकबर-सिद्दीक़
सारे असहाब-ए-नबी तारे हैं उम्मत के लिए
इन सितारों में बने मेहर-ए-मुनव्वर सिद्दीक़
बाल बच्चों के लिए घर में ख़ुदा को छोड़ें
मुस्तफ़ा पर करें घर-बार निछावर सिद्दीक़
एक घर-बार तो क्या ग़ार में जाँ भी दे दें
सॉंप डसता रहे लेकिन न हों मुज़्तर सिद्दीक़
इस इमामत से खुला, तुम हो इमाम-ए-अकबर
थी यही रम्ज़-ए-नबी, कहते हैं हैदर, सिद्दीक़ !
तू है आज़ाद सक़र से, तेरे बंदे आज़ाद
है ये सालिक भी तेरा बंदा-ए-बे-ज़र, सिद्दीक़ !
शायर:
मुफ़्ती अहमद यार ख़ान न’ईमी
ना’त-ख़्वाँ:
हसनैन रज़ा अत्तारी
behtari jis pe kare faKHr wo behtar siddiq
sarwari jis pe kare naaz wo sarwar siddiq
chamanistaan-e-nubuwwat ki bahaar-e-awwal
gulshan-e-dee.n ke bane pehle gul-e-tar siddiq
be-gumaa.n sham’-e-nubuwwat ke hai.n aaeene chaar
yaa’ni ‘usmaan-o-‘umar, haidar-o-akbar-siddiq
saare ashaab-e-nabi taare hai.n ummat ke liye
in sitaaro.n me.n bane mehr-e-munawwar siddiq
baal bachcho.n ke liye ghar me.n KHuda ko chho.De.n
mustafa par kare.n ghar-baar nichhaawar siddiq
ek ghar-baar to kya Gaar me.n jaa.n bhi de de.n
saa.np Dasta rahe lekin na ho.n muztar siddiq
is imaamat se khula, tum ho imaam-e-akbar
thi yahi ramz-e-nabi, kehte hai.n haidar, siddiq !
tu hai aazaad saqar se, tere bande aazaad
hai ye Saalik bhi tera banda-e-be-zar, siddiq !