Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz Naat Lyrics
ग़रीब आए हैं दर पर तेरे, ग़रीब-नवाज़ !
करो ग़रीब-नवाज़ी, मेरे ग़रीब-नवाज़ !
तुम्हारे दर की करामत ये बारहा देखी
ग़रीब आए हैं और हो गए ग़रीब-नवाज़
लगा के आस बड़ी दूर से मैं आया हूँ
मुसाफ़िरों पे करम कीजिए, ग़रीब-नवाज़ !
तुम्हारी ज़ात से मेरा बड़ा त’अल्लुक़ है
कि मैं ग़रीब बड़ा, तुम बड़े ग़रीब-नवाज़
न मुझ सा कोई गदा है, न तुम सा कोई करीम
न दर से उठूँगा बे कुछ लिए, ग़रीब-नवाज़ !
हुज़ूर अशरफ़-ए-सिमनाँ के नाम का सदक़ा
हमारी झोली को भर दीजिए, ग़रीब-नवाज़
ज़माने भर से मुझे कर दिया ग़नी, सय्यद !
मैं सदक़े जाऊँ तेरी जोग के, ग़रीब-नवाज़ !
शायर:
मुहद्दिस-ए-आ’ज़म-ए-हिन्द
ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल क़ादिर क़ादरी
Gareeb aae hai.n dar par tere, Gareeb-nawaaz !
karo Gareeb-nawaazi, mere Gareeb-nawaaz !
tumhaare dar ki karaamat ye baarha dekhi
Gareeb aae hai.n aur ho gae Gareeb-nawaaz
lagaa ke aas ba.Di door se mai.n aaya hu.n
musaafiro.n pe karam kijiye, Gareeb-nawaaz !
tumhaari zaat se mera ba.Da ta’alluq hai
ki mai.n Gareeb ba.Da, tum ba.De Gareeb-nawaaz
na mujh sa koi gada hai, na tum sa koi kareem
na dar se uThunga be kuchh liye, Gareeb-nawaaz !
huzoor ashraf-e-simnaa.n ke naam ka sadqa
hamaari jholi ko bhar dijiye, Gareeb-nawaaz !
zamaane bhar se mujhe kar diya Gani, Sayyad !
mai.n sadqe jaau.n teri jog ke, Gareeb-nawaaz !