Chaand-Sitaaron Se Badh Kar Hai Zarra Ghaus-e-Aa’zam Ka Naat Lyrics
चाँद-सितारों से बढ़ कर है ज़र्रा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
सात समंदर पर है भारी क़तरा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
अब्दुल क़ादिर को क़ादिर ने ऐसी क़ुदरत बख़्शी है
क़ब्र से मुर्दा उठ के लगाए ना’रा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
क़स्में दे कर ख़ुद ही खिलाए अब्दुल क़ादिर को क़ादिर
मर्ज़ी-ए-मौला का होता है लुक़मा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
सत्तर घर में कैसे पहुँचे जब ये समझना मुश्किल था
पेड़ के पत्तों पर तब देखा जल्वा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
बोले फ़रिश्ते इस को न छेड़ो, ये है सग-ए-ग़ौस-ए-आ’ज़म
देखो गले में इस के पड़ा है पट्टा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
बाग़-ए-हसन के वो हैं गुल-ए-तर, जिस में हुसैनी ख़ुश्बू है
दोनों जानिब से मिलता है शजरा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
जिस का खाओ, उस का गाओ, हम ने सबक़ ये सीखा है
इस लिए सुन्नी ही करते हैं चर्चा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
क़िस्मत-ए-सुन्नी का क्या कहना, क़िस्मत-ए-सुन्नी ज़िंदाबाद
क़िस्मत वालों को मिलता है टुकड़ा ग़ौस-ए-आ’ज़म का
ना’त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल
chaand-sitaaro.n se ba.Dh kar hai
zarra Gaus-e-aa’zam ka
saat samandar par hai bhaari
qatra Gaus-e-aa’zam ka
abdul qaadir ko qaadir ne
aisi qudrat baKHshi hai
qabr se murda uTh ke lagaae
naa’ra Gaus-e-aa’zam ka
qasme.n de kar KHud hi khilaae
abdul qaadir ko qaadir
marzi-e-maula ka hota hai
luqma Gaus-e-aa’zam ka
sattar ghar me.n kaise pahunche
jab ye samajhna mushkil tha
pe.D ke patto.n par tab dekha
jalwa Gaus-e-aa’zam ka
bole farishte is ko na chhe.Do
ye hai sag-e-Gaus-e-aa’zam
dekho gale me.n is ke pa.Da hai
paTTa Gaus-e-aa’zam ka
baaG-e-hasan ke wo hai.n gul-e-tar
jis me.n husaini KHushboo hai
dono.n jaanib se milta hai
shajra Gaus-e-aa’zam ka
jis ka khaao, us ka gaao
ham ne sabaq ye seekha hai
is liye sunni hi karte hai.n
charcha Gaus-e-aa’zam ka
qismat-e-sunni ka kya kahna
qismat-e-sunni zindabaad
qismat waalo.n ko milta hai
Tuk.Da Gaus-e-aa’zam ka