Ashqon Ka Meri Aankh Mein Toofaan Utha Ho Naat Lyrics
Ashqon Ka Meri Aankh Mein Toofaan Utha Ho | Tazmeen of Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
‘अश्क़ों का मेरी आँख में तूफ़ान उठा हो
और जिस्म तेरे शहर की मिट्टी से अटा हो
ये हाल मेरा सारा जहाँ देख रहा हो
दिल दर्द से बिस्मिल की तरह लोट रहा हो
सीने पे तसल्ली को तेरा हाथ धरा हो
मुजरिम की तरह आप के क़दमों में पड़ा हो
होंटों पे फ़क़त सल्ले ‘अला, सल्ले ‘अला हो
हो जाए अगर ऐसा तो मत पूछिए क्या हो
गर वक़्त-ए-अजल सर तेरी चौखट पे झुका हो
जितनी हो क़ज़ा एक ही सज्दे में अदा हो
आ’माल ही देने लगें जिस वक़्त गवाही
चेहरे पे गुनाहों के सबब छाए सियाही
मुजरिम की करें आप अगर पुश्त-पनाही
ढूँढा ही करे सद्र-ए-क़यामत के सिपाही
वो किस को मिले जो तेरे दामन में छुपा हो
जो चाँद के टुकड़े करे, सूरज को फिरा दे
जो गालियाँ सुन कर भी हिदायत की दु’आ दे
इक दूध के प्याले में जो सत्तर को पिला दे
मँगता तो है मँगता, कोई शाहों में दिखा दे
जिस को मेरे सरकार से टुकड़ा न मिला हो
महबूब-ए-ख़ुदा, अहमद-ए-मुख़्तार कुछ ऐसा
है ही वो यतीमों का तरफ़दार कुछ ऐसा
या’नी मेरे आक़ा का है रुख़्सार कुछ ऐसा
आता है फ़क़ीरों पे उन्हें प्यार कुछ ऐसा
ख़ुद भीक दें और ख़ुद कहें मँगता का भला हो
तुम जिस से नज़र फेर लो, नाराज़ ख़ुदा हो
दोज़ख़ में जिसे जलना हो वो तुम से जुदा हो
मुम्किन ही नहीं पूरी कभी हम्द-ओ-सना हो
तुम ज़ात-ए-ख़ुदा से न जुदा हो, न ख़ुदा हो
अल्लाह को मा’लूम है, क्या जानिए क्या हो
ना’त-ख़्वाँ:
जमील गोंडवी
सैफ़ रज़ा कानपुरी
‘ashqo.n ka meri aankh me.n toofaan uTha ho
aur jism tere shahar ki miTTi se aTa ho
ye haal mera saara jahaa.n dekh raha ho
dil dard se bismil ki tarah loT raha ho
seene pe tasalli ko tera haath dhara ho
mujrim ki tarah aap ke qadmo.n
ho.nTo.n pe faqat salle ‘ala, salle ‘ala ho
ho jaae agar aisa to mat poochhiye kya ho
gar waqt-e-ajal sar teri chaukhaT pe jhuka ho
jitni ho kaza ek hi sajde me.n ada ho
aa’maal hi dene lage.n jis waqt gawaahi
chehre pe gunaaho.n ke sabab chhae siyaahi
mujrim ki kare.n aap agar pusht-panaahi
Dhoo.nDhaa hi kare.n sadr-e-qayaamat ke sipaahi
wo kis ko mile jo tere daaman me.n chhupa ho
jo chaand ke Tuk.De kare, sooraj ko phira de
jo gaaliyaa.n sun kar bhi hidaayat ki du’aa de
ik doodh ke pyaale me.n jo sattar ko pila de
mangta to hai mangta, koi shaaho.n me.n dikha de
jis ko mere sarkaar se Tuk.Da na mila ho
mahboob-e-KHuda, ahmad-e-muKHtaar kuchh aisa
hai hi wo yateemo.n ka tarafdaar kuchh aisa
yaa’ni mere aaqa ka hai ruKHsaar kuchh aisa
aata hai faqeero.n pe unhe.n pyaar kuchh aisa
KHud bheek de.n aur KHud kahe.n mangta ka bhala ho
tum jis se nazar pher lo, naaraaz KHuda ho
dozaKH me.n jise jalna ho wo tum se juda ho
mumkin hi nahi.n poori kabhi hamd-o-sana ho
tum zaat-e-KHuda se na juda ho, na KHuda ho
allah ko maa’loom hai, kya jaaniye kya ho