Bayaan Ho Kis Tarah Rutba Mere Taaju-shsharee’aa Ka Naat Lyrics
बयाँ हो किस तरह रुत्बा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
ज़माने भर में है चर्चा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
फ़क़ाहत नाज़ करती है मेरे ताजु-श्शरी’आ पर
फ़क़ाहत में है वो मलका मेरे ताजु-श्शरी’आ का
रज़ा के ‘इल्म के वारिस मेरे ताजु-श्शरी’आ हैं
ज़रा देखे कोई रुत्बा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
असाग़िर की करूँ क्या बात, ए हज़रत के दीवानो !
अकाबिर ने पढ़ा ख़ुत्बा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
झुकाया उन के आगे ‘इल्म वालों ने सर-ए-तस्लीम
था रो’ब-ओ-दबदबा ऐसा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
मेरे अख़्तर के जाने का उठाया ग़म ज़माने ने
दिलों पर ऐसा था क़ब्ज़ा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
जनाज़ा देख कर इन के मुख़ालिफ़ के लबों पर भी
सजा ता’रीफ़ का नग़्मा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
इन्हें जो देखता था वो दिवाना हो ही जाता था
था इतना दिल-नशीं चेहरा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
मुख़ालिफ़ जलते हैं, जलते रहें, परवाह क्या हम को
लगेगा हश्र तक ना’रा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
हुआ है उन को देखे एक ‘अर्सा, ए जहाँ वालो !
नज़र में अब भी है जल्वा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
‘अजम क्या है, ‘अरब वालों ने इन की दस्त-बोसी की
हसीं था इस क़दर लहजा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
जनाब-ए-मुफ़्ती-ए-आ’ज़म की नज़र-ए-ख़ास थी इन पर
तभी तो नाम है चमका मेरे ताजु-श्शरी’आ का
वली, बाबा वली, दादा वली, नाना वली इन के
दिलों में बस गया सजरा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
अदब वो सय्यिदों का दिल की गहराई से करते थे
मुझे अच्छा लगा उस्वा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
उठाया फ़ाइदा दुनिया ने उन की ज़ात-ए-अक़्दस का
जहाँ में फ़ैज़ है बरसा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
पहुँच कर उन के दर पर दिल नहीं करता है जाने को
हसीं है इस क़दर रौज़ा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
रसूल-ए-पाक के सदक़े दु’आ मक़बूल हो, मौला !
सदा फूले-फले बेटा मेरे ताजु-श्शरी’आ का
शरी’अत और तरीक़त के, ए ‘आसिम ! फूल थे हज़रत
चमन भी ख़ूब-तर महका मेरे ताजु-श्शरी’आ का
शायर:
मुहम्मद आसिमुल क़ादरी
नात-ख़्वाँ:
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी
bayaa.n ho kis tarah rutba
mere taaju-shsharee’aa ka
zamaane bhar me.n hai charcha
mere taaju-shsharee’aa ka
faqaahat naaz karti hai
mere taaju-shasharee’aa par
faqaahat me.n hai wo malka
mere taaju-shsharee’aa ka
raza ke ‘ilm ke waaris
mere taaju-shsharee’aa hai.n
zara dekhe koi rutba
mere taaju-shsharee’aa ka
asaaGir ki karu.n kya baat
ai hazrat ke deewaano !
akaabir ne pa.Dha KHutba
mere taaju-shsharee’aa ka
jhukaya un ke aage
‘ilm waalo.n ne sar-e-tasleem
tha ro’b-o-dabdaba aisa
mere taaju-shsharee’aa ka
mere aKHtar ke jaane ka
uThaaya Gam zamaane ne
dilo.n par aisa tha qabza
mere taaju-shsharee’aa ka
janaaza dekh kar in ke
muKHaalif ke labo.n par bhi
saja taa’reef ka naGma
mere taaju-shsharee’aa ka
inhe.n jo dekhta tha wo-
deewaana ho hi jaata tha
tha itna dil-nashee.n chehra
mere taaju-shsharee’aa ka
muKHaalif jalte hai.n, jalte rahe.n
parwaah kya ham ko
lagega hashr tak naa’ra
mere taaju-shsharee’aa ka
huaa hai un ko dekhe
ek ‘arsa, ai jahaa.n waalo !
nazar me.n ab bhi hai jalwa
mere taaju-shsharee’aa ka
‘ajam kya hai, ‘arab waalo.n ne
in ki dast-bosi ki
hasee.n tha is qadar lahja
mere taaju-shsharee’aa ka
janaab-e-mufti-e-aa’zam ki
nazr-e-KHaas thi in par
tabhi to naam hai chamka
mere taaju-shsharee’aa ka
wali, baaba wali, daada wali
naana wali in ke
dilo.n me.n bas gaya sajra
mere taaju-shsharee’aa ka
adab wo sayyido.n ka dil ki
gahraai se karte the
mujhe achchha laga uswa
mere taaju-shsharee’aa ka
uThaaya faaida duniya ne
un ki zaat-e-aqdas ka
jahaa.n me.n faiz hai barsa
mere taaju-shsharee’aa ka
pahunch kar un ke dar par
dil nahi.n karta hai jaane ko
hasee.n hai is qadar rauza
mere taaju-shsharee’aa ka
rasool-e-paak ke sadqe
du’aa maqbool ho, maula !
sada phoole-phale beTa
mere taaju-shsharee’aa ka
sharee’at aur tareeqat ke
ai Aasim ! phool the hazrat
chaman bhi KHoob-tar mahka
mere taaju-shsharee’aa ka