ZAHE MUQADDAR HUZUR-E-HAQ SE SALAAM AAYA PAYAM AAYA NAAT LYRICS
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya
Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya