YE WO SACH HAI KE JISSE EK JAHAN MAAN GAYA NAAT LYRICS

 

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya
Uske Andaaz-e-nawazish Ke Mai Qurbaan Gaya
Nemate Banta Jis Simt Wo Zishan Gaya
Saath Hi Munshi-e-rahmat Ka Qalamdaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Tujh Se Jo Phair ke Munh Janib-e-quran Gaya
Surkhurur Ho Ke Na Duniya Se Wo Insaan Gaya
Kitne Gustaakh bane, Kitno Ka Imaan Gaya
Le Khabar Jald Ke Ghairo Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Mere Maula, Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Mahv-e-nazara, Sar-e-gumbad e Hazra Hi Rahi
Door se Sajdahguzaar e Sar e Waala Hi Rahi
Ru Ba Ru Paake Bhi Mahroom e Tamasha Hi Rahi
Aah Woh Aankh ke naakaam e Tammana Hi Rahi
Haaye Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Teri Chaahat Ka Amal zeest Ka Manshur Raha
Teri Dehleez Ka Phaira Mera Dastoor Raha
Yeh Alag Baat Ke Toor Aankh se Mastoor Raha
Dil Hai Wo Dil Jo Teri Yaad Se M`amoor Raha
Sar Hai Wo Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Dosti Se Koi Mujhe Matlab Na Mujhe Bair Se Kaam
Unke Sadqe mein Kisi Se Na Pada Khair Se Kaam
Unka Shaida Hu Mujhe Kya Haram-O-Dair Se Kaam
Unhe Maana, Unhe Jaana Na Rakha Ghair Se Kaam
Lillahil Hamd Me Duniya Se Musulmaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Ihtiraam-E-Nabvi Daakhil-e-Aadat Na Sahi
Shir-e-Maadar me Aseelon ki Najabat na sahi
Ghar Mein Aadab-E-Risalat Ki Riwayat Na Sahi
Aur Tum Par Mere Maula Ki Inaayat Na Sahih
Najdiyon Kalma Parhane Ka Bhi Ehsaan Gaya

Ye Wo Sach Hai Ke Jisse ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Ayaa Jo Gadaa Ban Ke Woh Sultaan Gaya

Baam-e-maqsad Pe Tamanaon ki Zeenay Paunchay
Labe Saahil Pe Naseer Unkay Safine Paunchay
Jinko Khidmat me Bulaya Tha Nabi Ne Paunchay
Jan-o-Dil Hosh-O-Khirad Sab To Madine Paunchay
Tum Nahin Chalte Raza Sara To Saman Gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *