YAHI HUMNE SAMJHA YAHI HAI PADHA MOHAMMAD SA KOI NAHI NAAT LYRICS
Yahi humne samjha yahi hai padha Mohammad sa koi nahi
Hai Adam ke ankhon ka dekha huva mohammad sa koi nahi
Zameen appki aasman appka hai Mere mustafa do jahan appka hai
Sitaron ka ye karwan appka hai Chaman appka gul sitan appka hai
Zameen e falak se ye jhuk kar kahaa Mohammad sa koi nahi
Dahan khoobsurat zakhan khoobsurat Mere mustafa ka badan khoobsurat
Hai jisme hussain aur hasan khoobsurat Vo mere nabi ka chaman khoobsurat
Hai be misl noori gharana tera Mohammad sa koi nahi
Shah e ambiya ka falak par vo jaana Huvi meh ve sakit fazaye zamaa
Vo asra ki shab ka tha manzar suhana Imam e rusul ka musalle pe aana
Sabhi mukhtadi vo huvey mukhtada Mohammad sa koi nahi
Agar mere aaqa inayat karenge Hasi sab se apni ibaadat karenge
Rukhe mustafa ki tilawat karenge Tilawat baraye ziyarat karenge
Asad ki zaban par ho bas ye sada Mohammad sa koi nahi