YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH LYRICS

 

 

 

YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

BAR-E-ILAHA bankai sawali tairai hazoor
Daman mai apnai laai hayn bai inteeha kasoor
Laikin hamarai seeno pai maatam ka daikh noor
Apnai NABI SAW kai sadqai mai bakhshay ga TOU xaroor
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

MOLA ALI A.S. ka RABB-E-JAHAN Tujh ko wasta
YA RAB bara-e-y FATIMA A.S. siddique tahira
Daay ilm aur rastt ka sagar bhara hua
Tootay na naimatoo ka mairai ghar sai silsila
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

MALIK Tujhai IMAM HASAN A.S. ka hay waasta
Jiskai lahoo sai karb-o-bala ki hay ibteda
Han us IMAM-E-AMAN A.S. kai sadqay mai KIBRYA
Is mulk mai ho aman ka perchum khula hua
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

Ab waasta HUSAAIN ALAI HIS SALAM ka
PARWARDIGAR Sabr-e-Shah-e-Tishna qaam ka
Jiskai laboo pai wird tha Tairai hi naam ka
Khanjar chalai jo kaari tha Tairai kalam ka
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

YARAB Tou mairi hastee ko aesa sawar dai
Tou apni rehmatoo sai maira ghar nikhar dai
SAJJAD A.S. kai Tou sadqai mai aai! PARWARDIGAR dai
Beemar ko shifa dai mukammal karar dai
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

MALIK IMAM BAQAR-O-JAFAR A.S. ka waasta
Majlis mai main HUSSAIN A.S. ki karta hoo yai dua
Dono ka waasta Tujhay daita ho aai KHUDA!
Maqrooz jo hayn ghaib sai kar unka qarz ada
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

YARAB bara-e-y MOSA KAZIM ALI RAZA A.S.
Mashad mai aur Najaf mai jo hayn qibla-e-dua
Tou unkai waastai sai wo oolad kar aata
Maa Baap jinsai shaad hoon jinki ho yai saada
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

YARAB bara-e-y MOLA NAQI A.S taqwa-e-TAQI A.S.
Daii jazba-e-jaihad basad shan-e-ASKARI A.S.
MEHDI A.S. ka bhi zahoor dikha dai isi sadee
Tairai hazoor mairi dua hay yai akhrii
YA WAJIHA INDALLAH ISHWA RANA INDALLAH

ELAHEE AMEEN
.•¤**¤•Shaheed ki jo mout hay wo qaum ki hayat hay .•¤**¤•

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *