Wo Nawaasa Hai Nabi Ka Naat Lyrics

 

अब इस के बा’द कोई और फ़लसफ़ा भी नहीं
जो कर्बला में हुआ, फिर कभी हुआ भी नहीं

‘अज़ीमुश्शान ‘इबादत है देखिए तो ज़रा
नमाज़ हो गई, सज्दे से सर उठा भी नहीं

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

शब्बीर के जमाल में सूरत नबी की है
बस नाम है हुसैन का, ताक़त नबी की है

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

तुम समझे थे पानी के तलबगार खड़े हैं
सच ये है कि कौसर के ख़रीदार खड़े हैं

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

आवाज़ दे तो जन्नती कौसर निकल पड़े
नहर-ए-फ़ुरात ख़ैमे के अंदर निकल पड़े
वो सब्र का मक़ाम था वर्ना मेरा हुसैन
उँगली जहाँ लगा दे समंदर निकल पड़े

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

मौला ‘अली ने ‘इल्म का दरिया बहा दिया
शब्बीर ने सितम का क़िला पल में ढा दिया
ज़हरा की तर्बियत भी बड़ा काम कर गई
बेटे ने कर्बला को मदीना बना दिया

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

बै’अत या सर यही था तक़ाज़ा यज़ीद का
मायूस फिर भी दर से सवाली नहीं गया
बै’अत न की हुसैन ने सर दे दिया उसे
इस दर से तो यज़ीद भी ख़ाली नहीं गया

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

वो जिस के इंतिज़ार में रहमत खड़ी रही
क़दमों में जिस के शान व शौकत खड़ी रही
सज्दा मेरे हुसैन ने जब तक नहीं किया
मैदान-ए-कर्बला में शहादत खड़ी रही

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

असग़र को भी मुजाहिद-ए-अकबर कहूँगा मैं
ऐसा जहाँ में और कोई सूरमा नहीं
बस मुस्कुरा के रन में क़यामत मचा गया
ये ख़ैरियत हुई कि वो खुल कर हँसा नहीं

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

खूँ से चराग़-ए-दीन जलाया हुसैन ने
रस्म-ए-वफ़ा को ख़ूब निभाया हुसैन ने

ख़ुद ने तो एक बूँद भी पानी नहीं पिया
कर्ब-ओ-बला को ख़ून पिलाया हुसैन ने

ऐसी नमाज़ कौन पढ़ेगा जहान में
सज्दा किया तो सर न उठाया हुसैन ने

वो नवासा है नबी का
वो नवासा है नबी का

ना’त-ख़्वाँ:
सैफ़ रज़ा कानपुरी

 

ab is ke baa’d koi aur falsafa bhi nahi.n
jo karbala me.n huaa, phir kabhi huaa bhi nahi.n

‘azeemushshaan ‘ibaadat hai dekhiye to zara
namaaz ho gai, sajde se sar uTha bhi nahi.n

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

shabbir ke jamaal me.n soorat nabi ki hai
bas naam hai husain ka, taaqat nabi ki hai

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

tum samjhe the paani ke talabgaar kha.De hai.n
sach ye hai ki kausar ke KHareedaar kha.De hai.n

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

aawaaz de to jannati kausar nikal pa.De
nahr-e-furaat KHaime ke andar nikal pa.De
wo sabr ka maqaam tha warna mera husain
ungli jahaa.n laga de samandar nikal pa.De

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

maula ‘ali ne ‘ilm ka dariya baha diya
shabbir ne sitam ka qila pal me.n Dhaa diya
zahra ki tarbiyat bhi ba.Da kaam kar gai
beTe ne karbala ko madina bana diya

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

bai’at ya sar yahi tha taqaaza yazeed ka
maayoos phir bhi dar se sawaali nahi.n gaya
bai’at na ki husain ne sar de diya use
is dar se to yazeed bhi KHaali nahi.n gaya

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

wo jis ke intizaar me.n rahmat kha.Di rahi
qadmo.n me.n jis ke shaan wa shaukat kha.Di rahi
sajda mere husain ne jab tak nahi.n kiya
maidaan-e-krabala me.n shahaadat kha.Di rahi

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

asGar ko bhi mujaahid-e-akbar kahunga mai.n
aisa jahaa.n me.n aur koi soorma nahi.n
bas muskura ke ran me.n qayaamat macha gaya
ye KHairiyat hui ki wo khul kar hansa nahi.n

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

KHoo.n se charaaG-e-deen jalaaya husain ne
rasm-e-wafa ko KHoob nibhaaya husain ne

KHud ne to ek boond bhi paani nahi.n piya
karb-o-bala ko KHoon pilaaya husain ne

aisi namaaz kaun pa.Dhega jahaan me.n
sajda kiya to sar na uThaaya husain ne

wo nawaasa hai nabi ka
wo nawaasa hai nabi ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *