Sooraj Se Na Chanda Se Na Sham’a Jalaane Se Naat Lyrics

 

 

सूरज से न चँदा से, न शम्’अ जलाने से
‘आलम ये हुआ रौशन, सरकार के आने से

घर-बार महकता है, तक़दीर चमकती है
सरकार-ए-दो-‘आलम की मीलाद मनाने से

कोई भी नहीं ऐसा जो रोक सके हम को
हम जश्न मनाएँगे, कह दो ये ज़माने से

मीलाद मनाएँगे, तक़दीर जगाएँगे
जो जलते हैं, जल जाएँ, घर-बार सजाने से

इस्लाम की ख़ातिर तुम, घर-बार लुटा देना
ये दर्स मिला हम को, आक़ा के घराने से

मशहूर हुआ अज़मत, मक़बूल हुआ अज़मत
दर-अस्ल शह-ए-वाला की ना’त सुनाने से

शायर:
अज़मत रज़ा भागलपुरी

नात-ख़्वाँ:
अज़मत रज़ा भागलपुरी

 

sooraj se na chanda se
na sham’a jalaane se
‘aalam ye huaa raushan
sarkaar ke aane se

ghar-baar mahakta hai
taqdeer chamakti hai
sarkaar-e-do-‘aalam ki
meelad manaane se

koi bhi nahi.n aisa
jo rok sake ham ko
ham jashn manaaenge
kah do ye zamaane se

meelad manaaenge
taqdeer jagaaenge
jo jalte hai.n, jal jaae.n
ghar-baar sajaane se

islaam ki KHaatir tum
ghar-baar luta dena
ye dars mila ham ko
aaqa ke gharaane se

mash.hoor huaa Azmat
maqbool huaa Azmat
dar-asl shah-e-waala
ki naat sunaane se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *