saare aalam mein mohabbat ki ghata chhayi hai lyrics
سارے عالم میں محبت کی گھٹا چھائی ہے
آپ ﷺ آے تو زمانے میں بہار آئی ہے
Saare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai
Aap ﷺ Aaye To Zamane Mein Bahaar Aayi Hai
روح جب وادئ پُردرد میں گھبرائی ہے
اُمتی اُمتی آقا ﷺ کی صدا آئی ہے
Rooh Jab Waadi-e Pur-Dard Mein Ghabraai Hai
Ummati Ummati Aaqa ﷺ Ki Sada Aayi Hai
بنکے خوشبو جو مِرے دل میں اُتر آئی ہے
وہ تِری یاد ہے اب روح سمجھ پائی ہے
Banke Khushboo Jo Mere Dil Mein Utar Aayi Hai
Woh Teri Yaad Hai Ab Rooh Samajh Paayi Hai
آنکھ کے تل میں ہے محفوظ جمالِ خضراء
جیسے جنت مری آنکھوں میں سمٹ آئی ہے
Aankh Ke Til Mein Hai Mahfooz Jamal-e Khazra
Jaise Jannat Meri Aañkhoñ Mein Simat Aayi Hai
ذات سرکار ﷺ ہے نورانی صحیفوں کی دلیل
یعنی قرآن سے پہلے یہ کتاب آئی ہے
Zaat-e Sarkar ﷺ Hai Noorani Sahifoñ Ki Daleel
Yaani Quraan Se Pehle Yeh Kitaab Aayi Hai
جو بھی آئینہ محبت کی نظر سے دیکھا
تیری صورت اسی شیشے میں نظر آئی ہے
Jo Bhi Aayeena Mohabbat Ki Nazar Se Dekha
Teri Soorat Usi Sheeshe Meiñ Nazar Aayi Hai
ہر جگہ میرے لیے سب نے بچھائیں پلکیں
ہر جگہ تیری ہی نسبت مرے کام آئی ہے
Har Jagah Mere Liye Sabne Bichhayeeñ Palkeñ
Har Jagah Teri Hi Nisbat Mere Kaam Aayi Hai
جب تری یاد میں دنیا سے گیا ہے کوئی
جان لینے کو دلہن بن کے قضاء آئی ہے
Jab Teri Yaad Mein Duniya Se Gaya Hai Koyi
Jaan Lene Ko, Dulhan Ban Ke Qaza Aayi Hai
کوئی مشکل ہو، کوئی غم ہو، کرو ذکرِ حبیب ﷺ
یہ دوا وہ ہے جو ہر دور میں کام آئی ہے
Koyi Mushkil Ho Koi Gham Ho Karo Zikr-e Habeeb
Ye Dawaa Woh Hai Jo Har Daur Meiñ Kaam Aayi Hai
مرنے والے کی کھلی آنکھ کھلی رہنے دو
وہ نظر جلوۂ آقا ﷺ کی تمنّائی ہے
Marne Wale Ki Khuli Aañkh Khuli Rahne Do
Woh Nazar Jalwa-e Aaqa ﷺ Ki Tamannayi Hai
جب طبیعت غمِ تنہائی سے گھبرائی ہے
ہم ترے ساتھ ہیں یہ انکی صدا آئی ہے
Jab Tabiyat Gham-e Tanhaai Se Ghabraai Hai
Ham Tere Saath Hain Yeh Unki Sada Aayi Hai
ساری دنیا کی نگاہوں سے گرا ہے بیدم
تب کہیں جا کے تِرے دل میں جگہ پائی ہے
Saari Duniya Ki Nigaahoñ Se Gira Hai ‘Bedam’
Tab Kahiñ Jaa Ke Tere Dil Mein Jagah Paayi Hai