AY MUSTAFA KE PHOOL DILO JAAN YA HUSSAIN NAAT LYRICS

 

Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
Kijye na is bala ko karbala mere hussain

Dono sahabzadon ke tan hathon me le kar
Kya dii misal e sabr hai duniyan ko ya hussain

Un lakhon ki lashkar dushmanon ke samne
Parda na choota aapke beti ka ya hussain

Abbas le ke nikle the pani furad se
Ghode se gir ke pani hua khoon ya hussain

Pyase tere jawanon pe lakhon salam hain
Qurbaan ho ke deen pe islam dediya
Kya shaan se nibhaya hai wada huzoor ka
Shabbir haq ka sham’a bachaya hai aapne
Batil ko mitaya kiya roshan deen ko
Sham’a ko roshan aapne khoon se kia hussain

Sajde me sar ko rakha Asr ko ada kia
Sar hogaya phir tan se juda aapka hussain

Dard e dile hussain pe lakhon salaam hain
Jisne diya hai sabr ka paigham ya hussain

Na kartu apni jaan per sitam ay Nasir Zara
sonch karbala mein hue qur baan mere hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *