Saamne Hai Manjdhaar Aaqa Kashti Laga Do Paar Aaqa Naat Lyrics

 

सामने है मंजधार, आक़ा !
कश्ती लगा दो पार, आक़ा !

आशिक़ है बेदार, आक़ा !
आप का है इंतिजार, आक़ा !

चाँद सितारे देख लिए
इन के नज़ारे देख लिए
तयबा का हो दीदार, आक़ा !
आप का है इंतिजार, आक़ा !

फिर से हवा-ए-कुफ़्र चली
उम्मत है नर्ग़े में फँसी
उम्मत के ग़म-ख़्वार, आक़ा !
आप का है इंतिजार, आक़ा !

सूखे हुए लब खिलते हैं
पत्थर-दिल भी पिगलते हैं
ऐसा तेरा किरदार, आक़ा !
आप का है इंतिजार, आक़ा !

आप की याद के ग़म के सिवा
कोई नहीं हमदर्द मेरा
देख चुके संसार, आक़ा !
आप का है इंतिजार, आक़ा !

नात-ख़्वाँ:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम

 

saamne hai manjdhaar, aaqa !
kashti laga do paar, aaqa !

aashiq hai bedaar, aaqa !
aap ka hai intijaar, aaqa !

chaand sitaare dekh liye
in ke nazaare dekh liye
tayba ka ho deedaar, aaqa !
aap ka hai intijaar, aaqa !

phir se hawa-e-kufr chali
ummat hai narGe me.n fa.nsi
ummat ke Gam-KHwaar, aaqa !
aap ka hai intijaar, aaqa !

sookhe hue lab khilte hai.n
patthar-dil bhi pigalte hai.n
aisa tera kirdaar, aaqa !
aap ka hai intijaar, aaqa !

aap ki yaad ke Gam ke siwa
koi nahi.n hamdard mera
dekh chuke sansaar, aaqa !
aap ka hai intijaar, aaqa !

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *