Rasool-e-Mujtaba Kahiye Muhammad Mustafa Kahiye Naat Lyrics

 

रसूल-ए-मुज्तबा कहिए, मुहम्मद मुस्तफ़ा कहिए
ख़ुदा के बा’द बस वो हैं, फिर उस के बा’द क्या कहिए

शरी’अत का है ये इसरार ख़त्मुल-अम्बिया कहिए
मोहब्बत का तकाज़ा है कि महबूब-ए-ख़ुदा कहिए

जब उन का ज़िक्र हो, दुनिया सरापा गोश हो जाए
जब उन का नाम आए मरहबा सल्ले ‘अला कहिए

मेरे सरकार के नक़्श-ए-क़दम शम्-‘ए-हिदायत हैं
ये वो मंज़िल है जिस को मग़्फ़िरत का रास्ता कहिए

मुहम्मद की नुबुव्वत दाइरा है नूर-ए-वहदत का
इसी को इब्तिदा कहिए, इसी को इंतिहा कहिए

ग़ुबार-ए-राह-ए-तयबा सुरमा-ए-चश्म-ए-बसीरत है
यही वो ख़ाक है जिस ख़ाक को ख़ाक-ए-शिफ़ा कहिए

मदीना याद आता है तो फिर आँसू नहीं रुकते
मेरी आँखों को, माहिर ! चश्म-ए-आब-ए-बक़ा कहिए

शायर:
माहिरूल क़ादरी

नात-ख़्वाँ:
शब्बीर अहमद मुज़फ़्फ़रपुरी

 

rasool-e-mujtaba kahiye, muhammad mustafa kahiye
KHuda ke baa’d bas wo hai.n phir us ke baa’d kya kahiye

sharee’at ka hai ye israar KHatmul-ambiya kahiye
mohabbat ka takaaza hai ki mahboob-e-KHuda kahiye

jab un ka zikr ho, duniya saraapa gosh ho jaae
jab un ka naam aae marhaba salle ‘ala kahiye

mere sarkaar ke naqsh-e-qadam sham-‘e-hidaayat hai.n
ye wo manzil hai jis ko magfirat ka raasta kahiye

muhammad ki nubuwwat daaira hai noor-e-wahdat ka
isi ko ibtida kahiye, isi ko intiha kahiye

Gubaar-e-raah-e-tayba surma-e-chashm-e-baseerat hai
yahi wo KHaaq hai jis KHaak ko KHaak-e-shifa kahiye

madina yaad aata hai to phir aansoo nahi.n rukte
meri aankho.n ko, Maahir ! chashm-e-aab-e-baqa kahiye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *