mujh ko sarkar ka aastan mil gaya lyrics

 

 

Mujh Ko Sarkar Ka Aasta(n) Mil Gaya

Main Zamee(n) Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Aap Ko Maang Kar Aur Maangu Mai Kya

Mustafa Mil Gaye Kul Jahan Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Ham Musibat Mein Ho Dil Dukhe Aapka

Dekho Kaisa Hamein Mehrban Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Hum Se Ache Hai Bas Wo Kabootar Jinhe

Us Gali Me Kaheen Ashiyaan Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Taaj Daron Ke Mehlo Ko Mera Salaam

Mujko Taiba Darul Ama Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Aake Baitha Hoon Dehleez-e-sarkaar Par

Maine Jo Chaha Mujh Ko Yaha Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Hum The Gumnaam Apni Qabar Tak Na Thi

Aap Aye To Apna Nishaan Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Aapke Dar Ki Khayrat Kya Mil Gayi X 3

Mujh Se Pucho To Sara Jahan Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

Mere Sarkaar Ki Sab Inayaat Hai

Tuj Ko Altaf Range Bayaan Mil Gaya

Main Zameen Tha Mujhe Aasman Mil Gaya

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *