marhaba marhaba aye ali ke pisar lyrics

 

 

Ik taraf duniya ki sab rahat thi aur aram tha
Ik taraf sar deke deen e haq bachana kaam tha,

Rahat e duniya na li, qurban e haq sar kar diya
Ya Husaain Ibn-e Ali ye aap hi ka kaam tha.

 

Marhaba-Marhaba! Marhaba-Marhaba!
Marhaba-Marhaba! Marhaba-Marhaba!

 

Marhaba! Marhaba! Aye Ali Ke Pisar

Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

 

Marhaba marhaba Aye Ali Ke Pisar
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

Fatima Sayyada Ke Aye Lakht e Jigar
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

 

Pairavi ki Muhammad ﷺ ke paighaam ki
Aabru Tumne Rakh Li Hai Islam Ki,
Tumse shaadaab Deen e Nabi Ka Shajar
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

 

Zaalimoñ Ne Kiye Hain Sitam Par Sitam
Dagmagaye Na Phir Bhi Tumhare Qadam
Khud Ko Qayam Rakha Sabr o Eemaan Par
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

 

Bhai, Bete, Bhateeje Shahid Ho Gaye
Aap Karbal Mein Tanha Faqat Rah Gaye
Phir Bhi Baatil Ke Aage Jhukaya Na Sar
Tumpe Laakhoñ Salaam
Tumpe Laakhoñ Salaam

 

Haidari Teigh Jab Ki Buland Aap Ne
Soorma Jitne The Sab Kapkapaane Lage
Go Muqaabil The Dushman Hazaaroñ Magar
Tumpe Laakhon Salaam
Tumpe Laakhon Salaam

 

Ya Husaain Ibn-e Haidar Ali Murtuza
Raah e Haq Meiñ Kiya Tumne Sab Kuchh Fida
Aañch Aane Na Di Tumne Islam Par
Tum pe Laakhon Salaam
Tum pe Laakhon Salaam

 

Hai Faraz e Hazeeñ Ki Yahi Iltija
Ya Hussain.. Ya Hussain..

Hai Faraz e Hazeeñ Ki Yahi Iltija
Rooh Tan Se Ho Jis Waqt Mere Juda
Us Ghadi Tum Ho Bus Mere Pesh-e Nazar
Tum pe Laakhon Salaam
Tum pe Laakhon Salaam

 

Marhaba marhaba aye Ali Ke Pisar
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

Fatima Sayyada ke aye Lakht e Jigar
Tumpe Laakhoñ Salaam,
Tumpe Laakhoñ Salaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *