Log Mushkil Mein Zamaane Ki Taraf Dekhte Hain Naat Lyrics

 

 

Log Mushkil Mein Zamaane Ki Taraf Dekhte Hain | Ham Muhammad Ke Gharaane Ki Taraf Dekhte Hain Naat Lyrics

लोग मुश्किल में ज़माने की तरफ़ देखते हैं
हम मुहम्मद के घराने की तरफ़ देखते हैं

आसमाँ पर भी हुकूमत है मेरे आक़ा की
चाँद-सूरज तेरी ऊँगली की तरफ़ देखते हैं

चाँद-तारों पे हुकूमत है मेरे आक़ा की
चाँद-सूरज तेरी ऊँगली की तरफ़ देखते हैं

जो भी मीलाद सजाता है मेरे आक़ा का
आक़ा रौज़े से उसी घर की तरफ़ देखते हैं

जो भी महफ़िल को सजाता है मेरे आक़ा की
आक़ा रौज़े से उसी घर की तरफ़ देखते हैं

तेरे बच्चों ही के सदक़े से पले घर मेरा
हम तो ज़हरा की ‘अताओं की तरफ़ देखते हैं

आ पड़े जब कोई मुश्किल तो नहीं घबराते
हम ‘अली वाले हैं, उन्हीं की तरफ़ देखते हैं

ख़ाली जाए कोई मँगता ये गवारा ही नहीं
झोली भर भर के वो साइल की तरफ़ देखते हैं

है मेरी माँ की दु’आ ना’त जो पढ़ता हूँ मैं
रश्क से अहल-ए-हुनर मेरी तरफ़ देखते हैं

होगा जब हश्र बपा देखेंगे उस दिन मुन्किर
आक़ा अपने ही ग़ुलामों की तरफ़ देखते हैं

ना’त-ख़्वाँ:
शहरोज़ क़ादरी
ज़ोहैब अशरफ़ी
हबीबुल्लाह नूरी

 

log mushkil me.n zamaane ki taraf dekhte hai.n
ham muhammad ke gharaane ki taraf dekhte hai.n

aasmaa.n par bhi hukoomat hai mere aaqa ki
chaand-sooraj teri ungli ki taraf dekhte hai.n

chaand-taaro.n pe hukoomat hai mere aaqa ki
chaand-sooraj teri ungli ki taraf dekhte hai.n

jo bhi meelaad sajaata hai mere aaqa ka
aaqa rauze se usi ghar ki taraf dekhte hai.n

jo bhi mahfil ko sajaata hai mere aaqa ka
aaqa rauze se usi ghar ki taraf dekhte hai.n

tere bachcho.n hi ke sadqe se pale ghar mera
ham to zahra ki ‘ataao.n ki taraf dekhte hai.n

KHaali jaae koi mangta ye gawaara hi nahi.n
jholi bhar bhar ke wo saail ki taraf dekhte hai.n

hai meri maa.n ki du’aa naa’t jo pa.Dhta hu.n mai.n
rashk se ahl-e-hunar meri taraf dekhte hai.n

hoga jab hashr bapaa dekhenge us din munkir
aaqa apne hi Gulaamo.n ki taraf dekhte hai.n

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *