Khak Suraj Se Andheron Ka Izala Hoga Naat Lyrics

 

 

Khak Suraj Se Andheron Ka Izala Hoga | Aap Aaen To Mere Ghar Mein Ujala Hoga

 

ख़ाक सूरज से अँधेरों का इज़ाला होगा
आप आएँ तो मेरे घर में उजाला होगा

हश्र में उन का हर इक चाहने वाला होगा
मेरे सरकार का ‘आलम ही निराला होगा

हश्र में होगा वो सरकार के झंडे के तले
मेरे सरकार का जो चाहने वाला होगा

‘इश्क़-ए-सरकार की इक शम’अ जला लो दिल में
बा’द मरने के लहद में भी उजाला होगा

आ नहीं सकता नज़र जल्वा-ए-सरकार कभी
बे-यक़ीनी का अगर आँख में जाला होगा

कल वो सरकार के दामन में नज़र आएगा
जिस के ‘ऐबों को ज़माने ने उछाला होगा

जब भी माँगो तो वसीले से उन्हीं के माँगो
इस वसीले से करम और दो-बाला होगा

हश्र में उस को भी सीने से लगाएँगे हुज़ूर
जिस गुनहगार को हर एक ने टाला होगा

होगा सैराब सर-ए-कौसर-ओ-तसनीम वही
जिस के हाथों में मदीने का पियाला होगा

हर ज़रुरत पे कफ़ालत की नज़र है तेरी
और तुझ सा न कोई पालने वाला होगा

माह-ए-तयबा की तजल्ली भी निराली होगी
आप के गिर्द भी असहाब का हाला होगा

सिला-ए-ना’त-ए-नबी पाउँगा जिस दिन, ख़ालिद !
वो करम देखना तुम देखने वाला होगा

शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद नक़्शबंदी

ना’त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी

 

KHaak sooraj se andhero.n ka izaala hoga
aap aae.n to mere ghar me.n ujaala hoga

hashr me.n un ka har ik chaahne waala hoga
mere sarkaar ka ‘aalam hi niraala hoga

hashr me.n hoga wo sarkaar ke jhande ke tale
mere sarkaar ka jo chaahne waala hoga

‘ishq-e-sarkaar ki ik sham’a jala lo dil me.n
baa’d marne ke lahad me.n bhi ujaala hoga

aa nahi.n sakta nazar jalwa-e-sarkaar kabhi
be-yaqeeni ka agar aankh me.n jaala hoga

kal wo sarkaar ke daaman me.n nazar aaega
jis ke ‘aibo.n ko zamaane ne uchhaala hoga

jab bhi maango to waseele se unhi.n ke maango
is waseele se karam aur do-baala hoga

hashr me.n us ko bhi seene se lagaaenge huzoor
jis gunahgaar ko har ek ne Taala hoga

hoga sairaab sar-e-kausar-o-tasneem wahi
jis ke haatho.n me.n madine ka piyaala hoga

har zaroorat pe kafaalat ki nazar hai teri
aur tujh sa na koi paalne waala hoga

maah-e-tayba ki tajalli bhi niraali hogi
aap ke gird bhi as.haab ka haala hoga

sila-e-naa’t-e-nabi paaunga jis din, KHaalid !
wo karam dekhna tum dekhne waala hoga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *