hua-jata-hai-rukhsat-maahe-ramzan-ya-rasoolallah-lyrics
Hua Jata Hai Rukhsat Maahe-Ramzan Ya Rasoolallah
Hua Jata Hai Rukhsat Maahe-Ramzan Ya Rasoolallah
Shayar: Muhammad Ilyas Attar Qadri | Naat e Paak
Naat Khwan: Mahmood Attari, Hafiz Muhammad Rashid, Owais Raza Qadri.
हुआ जाता है रुख़्सत माहे रमज़ां या रसूलल्लाह
रहा अब चन्द घड़ियों का ये मेहमां या रसूलल्लाह
Hua Jata Hai Rukhsat Maahe-Ramza(N) Ya Rasoolallah
Raha Ab Chund Ghadiyon Ka Ye Mehma(N) Ya Rasoolallah
ख़ुशी की लहर दौड़ी हर तरफ़, रमज़ान जब आया
है अब रन्जीदा रन्जीदा मुसल्मां या रसूलल्लाह
Khushi Ki Lahar Doudi Har Taraf, Ramzan Jab Aaya
Hai Ab Ranjeeda Ranjeeda Musalma.n Ya Rasoolallah
मसर्रत ही मसर्रत और ख़ुशी ही थी ख़ुशी जिस दम
नज़र आया हिलाले माहे रमज़ां या रसूलल्लाह
Masaarat He Masrrat Aur Khushi He Thi Khushi Jis Dum
Nazar Aaya Hilal-E-Maahe-Ramza.n Ya Rasoolallah
शहा ! अब ग़म के मारे ख़ून के आंसू बहाते हैं
चला तड़पा के हाए ! माहे-रमज़ां या रसूलल्लाह
Shaha ! Ab Gham Ke Mare Khoon Ke Aansu Bahate Hein
Chala Tadpa Ke Haye ! Maahe Ramza.n Ya Rasoolallah
चला अब जल्द ये रमज़ां सताईस(27) आ गई तारीख़
फ़क़त दो दिन का अब रमज़ां है मेहमां या रसूलल्लाह
Chala Ab Jald Ye Ramza.n Sata’ees(27) Aa Gaai Tareekh
Faqat Do Din Ka Ab Ramza.n Hai Mehma.n Ya Rasoolallah
फ़ज़ाएँ नूर बरसातीं, हवाएँ मुस्कुराती थीं
समां अब हो गया हर सम्त वीरां या रसूलल्लाह
Fazaein Noor Barsati, Hawaein Muskurati Thi
Sama Ab Ho Gaya Har Samt Weera.n Ya Rasoolallah
रियाज़त कुछ न की हम ने इबादत कुछ न की हम ने
रहे बस हर घड़ी मश्ग़ूले-इस्यां या रसूलल्लाह
Riyazat Khuchh Na Ki Ham Ne Ibadat Kuchh Na Ki Ham Ne
Rahe Bas Har Ghadi Mashghool-E-Isya.n Ya Rasoolallah
मैं हाए ! जी चुराता ही रहा रब की इबादत से
गुज़ारा ग़फ़लतों में सारा रमज़ां या रसूलल्लाह
Mein Haye ! Ji Churata He Raha Rab Ki Ibadat Se
Guzara Ghaflaton Me Sara Ramza.n Ya Rasoolallah
जुदाई की घड़ी जां-सोज़ है उश्शाक़े-रमज़ां पर
चला इन को रुला कर माहे-रमज़ां या रसूलल्लाह
Judaai Ki Ghadi Jaan-Soz Hai Ushshaq-E-Ramza.n Ya Rasoolallah
Chala in ko rula kar maahe-ramza.n ya rasoolallah
महे-रमज़ां की रुख़्सत जाने आशिक़ पर क़ियामत है
गदा तेरे हैं हैरानो-परेशां या रसूलल्लाह
Mahe-Ramzan Ki Rukhsat Jaane Aashiq Par Qiyamat Hai
Gada Tere Hein Hairan-o-Paresha.n Ya Rasoolallah
ख़ुदा के नेक बन्दे नेकियों में लग गए लेकिन
गुनह करता रहा अत्तारे नादां या रसूलल्लाह
Khuda Ke Nek Bande Nekiyon Me Lag Gaye Lekin
Gunah Karta Raha Attar-E-Nada.n Ya Rasoolallah