Hota Agar Zameen Par Saaya Rasool Ka Naat Lyrics

 

 

 

होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का
फिर पाओं उम्मती कहाँ रखता रसूल का

पढ़ते हैं यूँ तो ग़ैर भी कलमा रसूल का
जन्नत उसे मिलेगी जो होगा रसूल का

करते हैं एहतिराम जनाज़े का इस लिए
वो जा रहा है देखने चेहरा रसूल का

दुनिया को देखना भी गवारा नहीं किया
जब तक ‘अली ने देखा न चेहरा रसूल का

शेर-ए-ख़ुदा न बनता तो बनता भी और क्या ?
बचपन से ही तो था ये पाला रसूल का

ना’रा रज़ा का लगता है दुनिया में इस लिए
अहमद रज़ा के लब पे था ना’रा रसूल का

नात-ख़्वाँ:
साजिद क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी

 

hota agar zameen par saaya rasool ka
phir paa.o.n ummati kahaa.n rakhta rasool ka

pa.Dhte hai.n yu.n to Gair bhi kalma rasool ka
jannat use milegi jo hoga rasool ka

karte hai.n ehtiraam janaaze ka is liye
wo jaa raha hai dekhne chehra rasool ka

duniya ko dekhna bhi gawaara nahi.n kiya
jab tak ‘ali ne dekha na chehra rasool ka

sher-e-KHuda na banta to banta bhi aur kya ?
bachpan se hi to tha ye paala rasool ka

naa’ra raza ka lagta hai duniya me.n is liye
ahmad raza ke lab pe tha naa’ra rasool ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *