Gada Ko Baadshaah Ya Baadshaahon Ko Gada Kar De Naat Lyrics

 

 

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे
मेरे मालिक ! तू जब चाहे, किसी को क्या से क्या कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

जिसे तू पकड़ ले उस को छुड़ा सकता नहीं कोई
उसे फिर कौन पकड़े, जिस को, मौला ! तू रिहा कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

कभी कुँवाँ, कभी मंडी, कभी फिर क़ैद में यूसुफ़
कभी तू मिस्र का क़ैदी मिसर का बादशा कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

नुबूव्वत से, रिसालत से नवाज़े यूँ तो बेहद को
मगर ख़त्म-ए-नुबूव्वत मेरे आक़ा को हिबा कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

कभी तू बादशाहों से मँगाए भीक दर दर की
कभी इक मिस्र का क़ैदी मिस्र का बादशा कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

मकीनों को, मकानों को, ज़मीनों आसमानों को
तू जब चाहे तो सब कुछ एक लहज़े में फ़ना कर दे

गदा को बादशाह या बादशाहों को गदा कर दे

मेरे मौला की रहमत और ‘इनायत देखिए, अरशद !
कि मूसा लेने जाएँ आग पैग़म्बरी ‘अता कर दे

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ोहैब अशरफ़ी

 

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de
mere maalik ! tu jab chaahe, kisi ko kya se kya kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

jise tu paka.D le us ko chhu.Da sakta nahi.n koi
use phir kaun pak.De, jis ko, maula ! tu riha kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

kabhi kunwaa.n, kabhi mandi, kabhi phir qaid me.n yusuf
kabhi tu misr ka qaidi misr ka baadsha kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

nubuwwat se, risaalat se nawaaze yu.n to behad ko
magar KHatm-e-nubuwwat mere aaqa ko hiba kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

kabhi tu baadshaaho.n se mangaae bheek dar dar ki
kabhi ik misr ka qaidi misr ka baadsha kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

makeeno.n ko, makaano.n ko, zameeno.n aasmaano.n ko
tu jab chaahe to sab kuchh ek lahze me.n fana kar de

gada ko baadshaah ya baadshaaho.n ko gada kar de

mere maula ki rahmat aur ‘inaayat dekhiye, Arshad !
ki moosa leene jaae.n aag paiGambari ‘ata kar de

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *