Deen-e-Haq Pe Sayyida Ke Laa’l Ka Ehsaan Hai Naat Lyrics

 

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

पढ़ रहे हो जो नमाज़ें, कर रहे हो हज अदा
रौनक़-ए-रमज़ान और मंज़र है जो ख़ैरात का
सदक़ा-ए-शब्बीर है, इस्लाम का ए’लान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

देख लो तारीख़-ए-‘आलम, किस का ये किरदार है
घर लुटाया, सर कटाया, कैसा ये सालार है !
सब शहीदों में हुसैन-इब्न-ए-‘अली सुल्तान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

मलिका-ए-ख़ुल्द-ए-बरीं से ‘औरतों का है वक़ार
मादर-ए-शब्बीर ! तेरी परवरिश की है बहार
आज जो मज़बूत मेरा मज़हब-ओ-ईमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

नेज़े पे इब्न-ए-‘अली जो मर्द-ए-‘आलीशान है
कट गया है सर मगर पढ़ता रहा क़ुरआन है
सोच के हर इक यज़ीदी आज भी हैरान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

फ़ैसला कर लो, उजागर ! साथ हो किस के खड़े
हैं हुसैनी सफ़-ब-सफ़ और फिर यज़ीदी आ गए
कर्बला का सज गया लो आज भी मैदान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

ख़्वाजा-ए-अजमेर का हम ने सुना फ़रमान है
दीन-ए-हक़ पे सय्यिदा के ला’ल का एहसान है

शायर:
अल्लामा निसार अली उजागर

ना’त-ख़्वाँ:
ज़ोहैब अशरफ़ी

 

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

pa.Dh rahe ho jo namaaze.n, kar rahe ho haj ada
raunaq-e-ramzaan aur manzar hai jo KHairaat ka
sadqa-e-shabbir hai, islam ka e’laan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

dekh lo taareeKH-e-‘aalam, kis ka ye kirdaar hai
ghar luTaaya, sar kaTaaya, kaisa ye saalaar hai !
sab shaheedo.n me.n husain-ibn-e-‘ali sultaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

malika-e-KHuld-e-baree.n se ‘aurato.n ka hai waqaar
maadar-e-shabbir ! teri parvarish ki hai bahaar
aaj jo mazboot mera mazhab-o-imaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

neze pe ibn-e-‘ali jo mard-e-‘aalishaan hai
kaT gaya hai sar magar pa.Dhta raha qur.aan hai
soch ke har ik yazeedi aaj bhi hairaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

faisla kar lo, Ujaagar ! saath ho kis ke kha.De
hai.n husaini saf-ba-saf aur phir yazeedi aa gae
karbala ka saj gaya lo aaj bhi maidaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

KHwaaja-e-ajmer ka ham ne suna farmaan hai
deen-e-haq pe sayyida ke laa’l ka ehsaan hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *