chand se pyaara rukh hai unka chandni jaise pyaar naat lyrics
Chand Se Pyaara Rukh Hai Unka Chandni Jaise Pyaar Naat Lyrics
Chand Se Pyaara Rukh Hai Unka Chandni Jaise Pyaar Naat Lyrics
Shayar: Ajmal Sultanpuri | Naat e Paak
चांद से प्यारा रुख़ है उनका चांदनी जैसे प्यार
कि जिस से सारा जग उजियार…..
Chand Se Pyaara Rukh Hai Unka Chandni Jaise Pyaar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….
ला-इलाह से पाक हो पहले फिर कहे इल्लल्लाह
प्यारे नामे मुह़म्मद पढ़ ले जो हैं रसूलुल्लाह
मोमिन का ईमान उन्हीं के नाम का है इक़रार
जिस से सारा जग उजियार……
Laa-Ilaah Se Paak Ho Pahle Fir Kahe Il’lallaah
Pyaare Naame Muhammad Padh Le Jo Hein Rasoolullaah
Momin Ka Imaan Unhi Ke Naam Ka Hai Iqraar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….
ज़ुल्फों से वल्लैल तरश्शुह माथे से वलफ़जर्
रेशे रुख़ वश्शम्स की किरनें नूरे हिलाले बद्र
अव्वलु मा ख़ल्क़ल्लाहु नूरी है उनकी गुफ़्तार
कि जिस से सारा जग उजियार……
Zulfo(N) Se Wal’lail Tarshshuh Maathe Se Wafazr
Reshe Rukh Wash’shams Ki Kirne Noore Hilaale Badr
Awwalu Maa Khalqallahu Noori Hai Unki Guftaar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….
क़ुल इन्नमा अना बशरुम् मिस्लुकुम की आयत जैसे
लक़द ख़लक़्नल् इन्सान फ़ी अह़्सने तक़वीम ऐसे
उनसा बुज़ुर्ग बरतर होना बादे ख़ुदा दुशवार
कि जिस से सारा जग उजियार……
Qul Innama Ana Bashrum Mislukum Ki Aayat Jaise
Laqad Khalaqnal Insaan Fee Ahsane Taqweem Aise
Unsa Buzurg Bartar Hona Baade Khuda Dushwaar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….
धरती महके अम्बर महके महक रहीं हैं फ़सलें
एक बार मस हो गया जिससे महक उठ्ठी हैं नसलें
उनके पसीने की ख़ुशबू से महक उठा संसार
कि जिस से सारा जग उजियार……
Dharti Mahke Amber Mahke Mahak Rahin Hein Fasle(N)
Ek Baar Mas Ho Gaya Jisse Mahak Uththi Hein Nasle(N)
Unke Paseene Ki Khushboo Se Mahak Utha Sunsaar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….
नज़र् करे क़दमों में दिलो जां सर लेने जो आये
नज़रों की तलवार उठे तो कुफ्र की जड़ कट जाये
जाअल् हक़ व ज़हक़ल बातिल रफ़्तारो गुफ़्तार
कि जिस से सारा जग उजियार……
Nazar Kare Qadmo Me Dilo Jaa(N) Sar Lene Jo Aaye
Nazro(N) Ki Talwaar Uthe To Kufr Ki Jad Cut Jaaye
Jaa’al Haq Wa Zahqal Baatil Raftaaro Guftaar
Ki Jis Se Sara Jag Ujiyaar……….