chand ne bhi apna seena cheer dala naat lyrics
Chand Ne Bhi Apna Seena Cheer Dala Naat Lyrics
Chand ne bhi apna seena cheer dala ek din
Paak angusht e risalat ka ishara dekh kar
चांद ने भी अपना सीना चीर डाला एक दिन
पाक अंगुशते रिसालत का इशारा देख के
Nazdiyon se paak hoga shahar e makka ek din
Ya rasoolallah ka naara lagega ek din
नज़दियों से पाक होगा शहर ए मक्का एक दिन
या रसूलअल्लाह का नारा लगेगा एक दिन
Gar khuda e paak ne chaaha to unke naam ka
Ham karenge khuld ke andar bhi jalsa ek din
गर ख़ुदा ए पाक ने चाहा तो उनके नाम का
हम करेंगे खुल्द के अन्दर भी जलसा एक दिन
Aaj le unki madad un par durood e paak bhej
Warna pachhtayega nazdi dekh lena ek din
आज ले उनकी मदद उन पर दुरुद ए पाक भेज
वरना पछतायेगा नज़्दी देख लेना एक दिन
Jiska chehra dekhne ke baad ham karte hain eid
Ban gaya hai wo bhi aaqa ka khilona ek din
जिसका चेहरा देखने के बाद हम करते हैं ईद
बन गया है वो भी आक़ा का खिलौना एक दिन
Naat Khan: Habibullah Faizi
Shayar: Habibullah Faizi