andhere me dil ke chirag e muhabbat manqabat lyrics
Manqabat e Garib Nawaz
Anmol Heera Paaya Ajmer Ki Gali Me
Taareek Dil Me Khwaja Ki Raushni Tum hi Ne
Andhere Me Dil Ke Chirage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Andhere Me Dil Ke Chirage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Tasawuf Ke Suraj Ki Ek Ek Kiran Se
Naya Noor Paya Sawere Sawere
Lagan Jiske Deedaar Ki Lag Rahi Thi
Kareeb Aur Aaya Sawere Sawere
Kisi Gamzada Ne Jo Khwaja Piya Ko
Tadap Kar Bulaya Sawere Sawere
Khazana Muhammad Ka Hatho Me Lekar
Wahi Unko Paaya Sawere Sawere
Andhere Me Dil Ke Chirage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Galat Hai Ke Baazaar Ishq o Muhabbat
Kabhi Aashiqo Ki Samajhme Na Aaya
Khara Maal Hai To Khare Daam Dega
Aataye Muhammad Hai Zehra Ka Jaaya
Gareebo Ke Daata Hai Mash’hoor Khwaja
Koi Hind Me Unka Saani Na Paaya
Aqeedat Ki Mandi Ka Bas Raaz Ye Hai
Isha Padh Ke Gar Haajati Ne Lagaya
Ibaadat Ka Sauda Andhere Andhere
Munafa Kamaaya Sawere Sawere
Andhere Me Dil Ke Chirage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Muqaddas Yu Samjhi Gayi Momino Me
Seher Ki Tilaawat Seher Ki Ibaadat
Farishte Azaane Seher Sunke Takseem
Karte Hai Bando Ko Qudrat Ki Ne’mat
Namaze Seher Me Namazi Ke Sar Pe
Barasti Masjid Me Allah Ki Rehmat
Tere Rauzaye Paak Ki Mere Khwaja
Ziyaarat Yu Karte Hai Sab Ahle Sunnat
Khuda Ne Muhammad Ko Me’raj Ki Shab
Falak Par Bulaya Sawere Sawere
Andhere Me Dil Ke Chirage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Tasadduq Se Chehre Ke Khwaja Piya Ke
Ujaalo Se Hokar Ke Bharpoor Chamka
Azaane Seher Jab Hui Ta Ajmer
Nazdeek Kya Door Se Door Chamka
Khade The Jo Rauze Pe Behre Ziyarat
Nigaho Me Unki Naya Noor Chamka
Khuda Ki Qasam Ye Haqeeqat Hai Saari
Ke Benoor Aankhon Me Bhi Noor Chamka
Tere Dhulee Gumbad Ko Suraj Ki Kirno
Ne Jab Jagmagaaya Sawere Sawere