Aaqa Pe Dil-o-Jaan Se Qurban Raza Hain Naat Lyrics
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
‘उश्शाक़ की फ़ेहरिस्त में ज़ीशान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
हैं बहर-ए-‘अदू क़हर-ए-ख़ुदा सैफ़-ए-‘अली वो
सुन्नी के लिए ‘इश्क़ का गुलदान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
क़ुर्बान मेरी जान कि इस दौर में कोई
उन सा नहीं इंसान, वो इंसान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
जो बिक नहीं सकता कभी पैसों से जहाँ में
हम अहल-ए-मोहब्बत का वो सामान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
बस मैं ही नहीं करता हूँ तस्लीम ये बल्कि
कहते हैं सभी, हिन्द के हस्सान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
आती है बरेली से हमें तयबा की ख़ुश्बू
गुलज़ार-ए-मदीना का ही फ़ैज़ान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
जिस ने भी पढ़ा उन को, बना ‘आशिक़-ए-सादिक़
वो ‘इश्क़ से मा’मूर गुलिस्तान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
पाँव मेरा फिसले रह-ए-हक़ से नहीं मुम्किन
हर मोड़ पे ख़ुद मेरे निगहबान रज़ा हैं
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
सरकार की नामूस पे जो करता है तनक़ीद
उन के लिए बर्बादी का तूफ़ान रज़ा है
आक़ा पे दिल-ओ-जान से क़ुर्बान रज़ा हैं
जब क़ब्र में, तफ़्सीर ! सवालात हों तुम से
उस वक़्त ये कह देना मेरी जान रज़ा हैं
शायर:
तफ़्सीर रज़ा अम्जदी
ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल क़ादिर अल-क़ादरी
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
‘ushshaaq ki fehrist me.n zeeshaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
hai.n bahr-e-‘adoo qahr-e-KHuda saif-e-‘ali wo
sunni ke liye ‘ishq ka guldaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
qurbaan meri jaan ki is daur me.n koi
un saa nahi.n insaan, wo insaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
jo bik nahi.n sakta kabhi paiso.n se jahaa.n me.n
ham ahl-e-mohabbat ka wo saamaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
bas mai.n hi nahi.n karta hu.n tasleem ye balki
kehte hai.n sabhi, hind ke hassaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
aati hai bareli se hame.n tayba ki KHushboo
gulzaar-e-madina ka hi faizaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
jis ne bhi pa.Dha un ko, bana ‘aashiq-e-saadiq
wo ‘ishq se maa’moor gulistaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
paanw mera phisle rah-e-haq se nahi.n mumkin
har mo.D pe KHud mere nigahbaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
sarkaar ki naamoos pe jo karta hai tanqeed
un ke liye barbaadi ka tufaan raza hai.n
aaqa pe dil-o-jaan se qurbaan raza hai.n
jab qabr me.n, Tafseer ! sawaalaat ho.n tum se
us waqt ye keh dena meri jaan raza hai.n