Aaj Tayba Ka Hai Safar Aaqa Naat Lyrics

 

आज तयबा का है सफ़र, आक़ा !
दे दो तोशे में चश्म-ए-तर, आक़ा !

ग़म-ज़दा हूँ मैं किस क़दर, आक़ा !
तुम को मेरी है सब ख़बर, आक़ा !

ताज-ए-शाही का मैं नहीं तालिब
कर दो रहमत की इक नज़र, आक़ा !

तेरी उल्फ़त का मैं भिकारी हूँ
मेरा कश्कोल जाए भर, आक़ा !

चल मदीना का वो भी लें मुज़्दा
जिन के पल्ले नहीं है ज़र, आक़ा !

इस तरह से छुपा लो दामन में
न ‘अदू की पड़े नज़र, आक़ा !

फँस गया हूँ गुनह के दलदल में
हो करम, शाह-ए-बहर-ओ-बर आक़ा !

वासिता मेरे ग़ौस-ए-आ’ज़म का
हर ख़ता कर दो दर-गुज़र, आक़ा !

तुम उसे भी गले लगाते हो
जिस को धुत्कारे हर बशर, आक़ा !

मौला मुश्किल-कुशा के सदक़े में
इस्तिक़ामत दो दीन पर, आक़ा !

काश ! इस शान से ये दम निकले
तेरी दहलीज़ पर हो सर, आक़ा !

इज़्न दे दो बक़ी’-ए-ग़रक़द का
तेरे जल्वों में जाऊँ मर, आक़ा !

मौत ‘अत्तार को मदीने में
आए अब तो न जाए घर, आक़ा !

शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
अब्दुल मलिक अत्तारी
हाजी मुश्ताक़ क़ादरी

 

aaj tayba ka hai safar, aaqa !
de do toshe me.n chashm-e-tar, aaqa !

Gam-zada hu.n mai.n kis qadar, aaqa !
tum ko meri hai sab KHabar, aaqa !

taaj-e-shaahi ka mai.n nahi.n taalib
kar do rahmat ki ik nazar, aaqa !

teri ulfat ka mai.n bhikaari hu.n
mera kashkol jaae bhar, aaqa !

chal madina ka wo bhi le.n muzhda
jin ke palle nahi.n hai zar, aaqa !

is tarah se chhupa lo daaman me.n
na ‘adoo ki pa.De nazar, aaqa !

phans gaya hu.n gunah ke daldal me.n
ho karam, shaah-e-bahr-o-bar aaqa !

waasita mere Gaus-e-aa’zam ka
har KHata kar do dar-guzar, aaqa !

tum use bhi gale lagaate ho
jis ko dhutkaare har bashar, aaqa !

maula mushkil-kusha ke sadqe me.n
istiqaamat do deen par, aaqa !

kaash ! is shaan se ye dam nikle
teri dehleez par ho sar, aaqa !

izn de do baqee’-e-Garqad ka
tere jalwo.n me.n jaau.n mar, aaqa !

maut ‘Attar ko madine me.n
aae ab to na jaae ghar, aaqa !

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *