zairo pase adab rakho hawas jane do lyrics
Zairo paas-e-adab rakhho hawas jaane do,
Aankhein andhi huwi hain unnko taras jaane do.
Sookhi jaati hay ummeed-e-gurba ki kheti,
Boondiya lakka-e-rehmat ki barras jaane do.
Palti aati hay abhi wajd mein jaane sheereen,
Naghma-e-qum ka zara kaano mein ras jaane do.
Hum bhi chaltay hay zara kaafile waalo thehro,
Gathriyaan tosh-e-ummeed ki kas jaane do.
Deed-e-gul aur bhi karti hay qiyamat dil par,
Hum-safeero humein phir sue qafas jaane do.
Aatish-e-dil bhi to bharkaawo adab daa(n) naalo,
Kaun kehta hay ki turn zabte nafs jaane do.
yoon tane zaar key dar pe huwe dil key sho’lo,
Shewa-e-khaanah bar andaziye khas jaane do.
Aay RAZA aah ki yoon sahl katein jurm key saal,
Do ghari ki bhi ibadat to baras jaane do.