Ye Kis Shahanshah-e-Wala Ki Aamad Aamad Hai Naat Lyrics
ये किस शहंशाह-ए-वाला की आमद आमद है
ये कौन से शह-ए-बाला की आमद आमद है
ये आज काहे की शादी है, ‘अर्श क्यूँ झूमा
लब-ए-ज़मीं को लब-ए-आसमाँ ने क्यूँ चूमा
रुसुल उन्हीं का तो मुज़्दा सुनाने आए हैं
उन्हीं के आने की ख़ुशियाँ मनाने आए हैं
फ़रिश्ते आज जो धूमें मचाने आए हैं
उन्हीं के आने की शादी रचाने आए हैं
चमक से अपनी जहाँ जगमगाने आए हैं
महक से अपनी ये कूचे बसाने आए हैं
ये सीधा रास्ता हक़ का बताने आए हैं
ये हक़ के बंदों को हक़ से मिलाने आए हैं
जो गिर रहे थे उन्हें नाइबो ने थाम लिया
जो गिर चुके हैं ये उन को उठाने आए हैं
रउफ़ ऐसे हैं और ये रहीम हैं इतने
कि गिरते पड़तों को सीने लगाने आए हैं
जो गिर रहे थे उन्हें नाइबो ने थाम लिया
जो गिर चुके हैं ये उन को उठाने आए हैं
यही तो सोते हुओं को जगाने आए हैं
यही तो रोते हुओं को हसाने आए हैं
इन्हें ख़ुदा ने किया अपने मुल्क का मालिक
इन्हीं के क़ब्ज़े में रब के ख़ज़ाने आए हैं
जो चाहेंगे, जिसे चाहेंगे ये उसे दें गे
करीम हैं ये ख़ज़ाने लुटाने आए हैं
सभी रुसुल ने कहा, इज़्हबू इला ग़ैरी
अना लहा का ये मुज़्दा सुनाने आए हैं
‘अजब करम है कि ख़ुद मुजरिमों के हामी हैं
गुनहगारों की ये बख़्शिश कराने आए हैं
ये आज तारे ज़मीं की तरफ़ हैं क्यूँ माइल
ये आसमान से पैहम है नूर क्यूँ नाज़िल
ये आज क्या है ज़माने ने रंग बदला है
ये आज क्या है कि ‘आलम का ढंग बदला है
सुनोगे ‘ला’ न ज़बान-ए-करीम से, नूरी !
ये फ़ैज़-ओ-जूद के दरिया बहाने आए हैं
नसीब तेरा चमक उठा देख तो, नूरी !
‘अरब के चाँद लहद के सिरहाने आए हैं
शायर:
मुस्तफ़ा रज़ा ख़ान नूरी
ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
अब्दुल हबीब अत्तारी
मौलाना बिलाल रज़ा क़ादरी
ye kis shahanshaah-e-waala ki aamad aamad hai
ye kaun se shah-e-baala ki aamad aamad hai
ye aaj kahe ki shaadi hai, ‘arsh kyu.n jhooma
lab-e-zamee.n ko lab-e-aasmaa.n ne kyu.n chooma
rusul unhi.n ka to muzda sunaane aae hai.n
unhi.n ke aane ki KHushiyaa.n manaane aae hai.n
farishte aaj jo dhoome.n machaane aae hai.n
unhi.n ke aane ki shaadi rachaane aae hai.n
chamak se apni jahaa.n jagmagaane aae hai.n
mahak se apni ye kooche basaane aae hai.n
ye seedha raasta haq ka bataane aae hai.n
ye haq ke bando.n ko haq se milaane aae hai.n
jo gir rahe the unhe.n naaibo ne thaam liya
jo gir chuke hai.n ye un ko uThaane aae hai.n
rauf aise hai.n aur ye raheem hai.n itne
ki girte pa.Dto.n ko seene lagaane aae hai.n
jo gir rahe the unhe.n naaibo ne thaam liya
jo gir chuke hai.n ye un ko uThaane aae hai.n
yahi to sote huo.n ko jagaane aae hai.n
yahi to rote huo.n ko hasaane aae hai.n
inhe.n KHuda ne kiya apne mulk ka maalik
inhi.n ke qabze me.n rab ke KHazaane aae hai.n
jo chaahenge, jise chaahenge ye use de.n ge
kareem hai.n ye KHazaane luTaane aae hai.n
sabhi rusul ne kaha, iz.habu ila Gairi
ana laha ka ye muzda sunaane aae hai.n
‘ajab karam hai ki KHud mujrimo.n ke haami hai.n
gunahgaaro.n ki ye baKHshish karaane aae hai.n
ye aaj taare zamee.n ki taraf hai kyu.n maail
ye aasmaan se paiham hai noor kyu.n naazil
ye aaj kya hai zamaane ne rang badla hai
ye aaj kya ki ‘aalam ka Dhang badla hai
sunoge ‘laa’ na zabaan-e-kareem se, Noori !
ye faiz-o-jood ke dariya bahaane aae hai.n
naseeb tera chamak uTha dekh to, Noori !
‘arab ke chaand lahad ke sirhaane aae hai.n