YAAD ME JISKI NAHI HOSHE TANO JAAN HUM KO NAAT LYRICS
Yaad me jiski nahi hoshe tano jaan hum ko
Phir dikhade woh rukh aye mehre faroza hum ko
Der se aap mein aana nahi milta hain humein
Kya hi khud-rafta kiya jalwaye janaan hum ko
Jis tabassum ne gulistaan pe girayi bijli
Phir dikhade woh adaaye gule khandan hum ko
Jab se aankhon me samayi hai Madine ke bahaar
Nazar aate hain khazaan deeda gulistaan hum ko
Kaash aaweezaye kindeele Madina ho woh dil
Jis ki sozish ne kiya rashke charaaga hum ko
Arsh jis khoobiye raftaar ka paamaal hua
Do qadam chal ke dikha sarve khiraamaan hum ko
Shamaye Taiba se main parwana rahoon kab tak door
Haan jala de sha-rare aatishe pinha! hum ko
Khauf hai sam’a kharashiye sage Taiba ka
Warna kya yaad nahin naa-la o afgaan hum ko
Khaak ho jaayen dare paak pe hasrat mit jaaye
Ya Ilahi na fira be saro saamaan hum ko
Khaare sahraaye Madina na nikal jaaye kahin
Wahshate dil na fira koho bayaabaan hum ko
Tang aaye hain do aalam teri betaabi se
Chain lene de tape seenaye sozaan hum ko
Paaun girbaal huye raahe Madina na mili
Aye junoon! Ab to mile rukhsate zindaan hum ko
Mere har zakhme jigar se ye nikalti hai sada
Aye Maleehe Arabi! Karde namakdaan hum ko
Saire gulshan se aseerane qafas ko kya kaam
Na de takleefe chaman bulbule bustaan hum ko
Gar labe paak se iqraare shafa’at ho jaaye
Yun na bechain rakhe joshishe isyaan hum ko
Nayyare hashr ne ik aag laga rakhi hai!
Tez hai dhoop mile saaya e daamaan hum ko
Reham farmaiye ya Shah ki ab taab nahin
Tabake khoon rulaye ghame hijraan hum ko
Chaake daamaan mein na thak jaaiyo aye daste junoon
Purze karna hai abhi jebon gharibaan hum ko
Parda us chehraye anwar se utha kar ik baar
Apna aaina bana aye mahe taabaan hum ko
Aye Raza wasfe rukhe paak sunane ke liye
Nazr dete hain chaman! murge ghazal khwaan hum ko