Sultan ul Hind ki Chokhat Par Taqdeer Banane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon
Afsana e Dardo Hijro Alam, Ro Ro Ke Sunane Aaya Hoon
Haan Chashma e Faize Rahmat Par Me Pyaas Bujhane Aaya Hoon
Me Chisht Ke Maikhane Wali, Sehba Chhalakne Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…
Kya Nazr Karu, Kya Pesh Karu Sarkar Kisi Qabil Hi Nahi
Kuchh Phool Aqeedat Ke Hai Jinhe, Turbat Pe Chadhane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…
Betaab Hai Dil, Bechain Hai Jaan, Raahat Ka Koi Samaan Hi Nahi
Jalta Hai Mera Khirman Jisse, Voh Aag Bujhane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…
Sadqe Mai Janab e Usman Ke, Mujh Par Bhi Karam Ki Ek Nazar
Dhoraji Se Ajmer Nagar, Faryaad Sunane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…
Jo Bakht Ke Maare Aate Hai, Kaam Unke Yahan Ban Jaate Hai
Khwabeeda Muqaddar Hoon Main Bhi, Taabeer Jagane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…
Deedar Ka Dil Me Shok Liye, Kehta Hai Tumhara Yeh “Sayyed”
Sultan Ul Hind Ke Jalwon Ko, Aankho Main Basaane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon
Jab Raaz o Niyaz Ka Aalam Ho, Allah Se Hoti Ho Baatein
Us Waqt Naa Bhule Aap Mujhe, Yeh Yaad Dilane Aaya Hoon
Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…