Shaah-e-Kaunain Ki Jis Shai Pe Nazar Ho Jaae Naat Lyrics
शाह-ए-कौनैन की जिस शय पे नज़र हो जाए
संग-रेज़ा भी अगर हो तो गौहर हो जाए
मैं ये समझूँगा, मुझे दौलत-ए-कौनैन मिली
ज़िंदगी गर दर-ए-अहमद पे बसर हो जाए
मेरी फ़रियाद में इतना तो असर हो जाए
दिल जो तड़पे तो मुहम्मद को ख़बर हो जाए
हक़ ने बख़्शा है तसर्रुफ़ का शरफ़ आक़ा को
वो जो चाहें तो शब-ए-तार सहर हो जाए
एक हलकी सी तवज्जोह हो इधर भी आक़ा
जो हैं जूया-ए-करम, उन पे नज़र हो जाए
इस से पहले कि मेरी अर्ज़ वहाँ तक पहुँचे
मेरे अहवाल की आक़ा को ख़बर हो जाए
या नबी ! बख़्त-ए-सियाह मेरा फ़रोज़ाँ कर दे
सूरत-ए-ज़ेर जो है मिस्ल-ए-ज़बर हो जाए
लौट कर आए ब-फ़रमान-ए-नबी सूरज भी
इक इशारे से ही दो-लख़्त क़मर हो जाए
ज़िंदगी शुक्र के सज्दों में गुज़र जाए, मु’ईन !
एक मिस्रा’ भी क़बूल उन को अगर हो जाए
शायर:
पीर ग़ुलाम मुईनुल-हक़ गीलानी
नात-ख़्वाँ:
इमरान अज़ीज़ मियाँ
ज़ोहैब अशरफ़ी
shaah-e-kaunain ki jis shai pe nazar ho jaae
sang-reza bhi agar ho to gauhar ho jaae
mai.n ye samjhunga, mujhe daulat-e-kaunain mili
zindagi gar dar-e-ahmad pe basar ho jaae
meri fariyaad me.n itna to asar ho jaae
dil jo ta.Dpe to muhammad ko KHabar ho jaae
haq ne baKHsha hai tasarruf ka sharaf aaqa ko
wo jo chaahe.n to shab-e-taar sahar ho jaae
ek halki si tawajjoh ho idhar bhi aaqa
jo hai.n jooya-e-karam, un pe nazar ho jaae
is se pahle ki meri arz wahaa.n tak pahunche
mere ahwaal ki aaqa ko KHabar ho jaae
ya nabi ! baKHt-e-siyaah mera farozaa.n kar de
soorat-e-zer jo hai misl-e-zabar ho jaae
laut kar aae ba-farmaan-e-nabi sooraj bhi
ik ishaare se hi do-laKHt qamar ho jaae
zindagi shukr ke sajdo.n me.n guzar jaae, Mu’een !
ek misra’ bhi qabool un ko agar ho jaae