Sar Kata Kar Jo Wada Nibhaye Naat lyrics

 

Sar kata kar Jo Wada nibhaye, Wo Gharaana Hai maula Ali Ka
Ghar ka ghar deen par Jo lutaaye, Wo Gharaana Hai maula Ali Ka.

Bandagi ka saliqa sikhaye, Wo gharaana Hai maula Ali ka
Chadhke Neze pe Quran sunayen, Wo Gharaana Hai maula Ali ka.

Sar to sab hi jhukate hain lekin, karke Sajda uthate hain lekin
Karke Sajda Jo sar na uthaye, Wo Gharaana Hai maula Ali ka.

Gar sada Koi sail laga de, to apne aage ka khana khila de
Dar se Khali sawali Na jaaye, Wo Gharaana hai maula Ali ka.

Dubi kashti ko wapas nikale, Koi gagar mein Sagar Bula Le
Hukm Pani pe apna chalayen, Wo Gharaana hai maula Ali ka.

Jung mein jitna hai zaroori, maarna hoga dushman ko, phir Bhi
Sar katakar Jo Jung Jeet jaye, Wo Gharaana hai maula Ali ka.

Humne Shoaib Jo Nara lagaya, Deene Islam kisne bachaya
Har taraf se sada yahi aaye, Wo gharaana hai maula Ali ka.

Leave a Reply

Your email address will not be published.