Muharram Noha Lyrics

 

Ya Sher-E- Kirdagaar Ulatdo Jahaan Ko
Faryaad Se Hilaado Zameen Aasmaan Ko
Karthe Hain Zibha Ahl-E Sitam Mehmaan Ko
Ya Mustafa Bachaalo Mere Bhaai Jaan Ko

Shamsheer Chalne Paae Na Pyaase Ke Halq Par
Rakh Dijeye Halq Apna Nawase Ke Halq Par

Ye Kahke Soo-E- Maqtal Shah-E-Umam Chali
Mu Apna Peet Thi Huwi Ba Dard -O- Alam Chali
Uth Kar Kabhi Giri Tho Kabhi Do Qadam Chali
Aur Waan Gulu-E- Shaah Pa Tegh-E- Do Dam Chali

Pahonchi Tho Qatema Tha Shah-E- Mashraqain Ka
Shimr-E- Laeen Ke Haath Me Tha Sar Hussain Ka

Jab Katgaye Haftaad Doh Tan Rahe Qudaa Me
Jab Kat Gaye Haftaad Wo Tan Raah-E Qudaa Me
Tanha Rahe Shaah-E Shohdaan Dasht-E Balaa Me
Taaqat Na Rahi Jisme Imaam-E Dosara Me
Koi Na Raha Sheh Kay Aziz-O Rufaqaa Me

Sarkaar Ki Qounaq Thi Na Darbaar Tha Baaqi
Lutne Ko Haram Marne Ko Sardaar Tha Baaqi

Farmaathe The Haathoun Pa Liye Laasha -E Asghar
Maqbool Ho Aye Baar-E Quda Hadya-E Ehkhar
Kis Mu Se Tera Shukr Karoon Aye Mere Daawar
Toone Mere Asghar Ko Diya Rutba-E Akbar

Jaan Apni Mere Shiyoun Ke Bach-Choun Pa Fidaa Ki
Shashmaahe Pe Bilkul Hai Ye Taaeed Quda Ki

Gham Ka Mujhe Gham Hai, Na Qushi Mujh Ko Qushi Ki
Too Sar Pa Hai Parwa Nahi Bande Ko Kisi Ki
Haan Aik Ye Haajath Hai Hussain Ibn-E Ali Ki
Sar Nange Na Dekhoon Mai Nawaasi Ko Nabi Ki

Be Parda Wo Jab Ho Ke Mai Paiwand-E Zameen Hoon
Aur Yun Teri Marzi Hai To Baahar Bhi Nahi Hoon

Lashkar Diya Kunba Diya Ghar Bhi Diya Toone
Sardaar Bhi Toone Kiya, Sar Bhi Diya Toone
Hamshakl-E Payambar Sa Pisar Bhi Diya Toone
Ye Housla, Ye Dil, Ye Jigar Bhi Diya Toone

Kya Faqr Jo Pyaaroun Ko Raah-E Haq Me Diya Hai
Teri Hi Inaayath Ko Fidaa Tujh Pa Kiya Hai

Mujh Me Thi Ye Qudrath Ke Bhare Ghar Ko Lutaatha
Waan Qatl Ho Akbar Idhar Asghar Ko Mai Laatha
Tadpe Ye Mere Haathoun Pa Mai Lab Na Hilaatha
Baazun Hon Juda Haath Na Ummath Pa Uthaatha

Yun Qush Koi Hangaam-E Tabaahi Nahi Hota
Bandhey Se Ye Be Fazl-E Ilaahi Nahi Hota

Ummath Ne Bhulaaya Hai Mujhe Too Na Bhulaana
Too Paak Hai Dunya Se Mujhe Paak Uthaana
Sab Choddh Ke Tanha Huwe Jannat Ko Rawaana
Aye Baar-E Quda Qabr Ki Wahshath Se Bachaana

Jab Gour-E Gharibaan Ka Andhera Nazar Aaye
Har Simth Ko Jalwa Mujhe Tera Nazar Aaye

Kaafi Dar-E Gharibaan Ka Andhera Nazar Aaye
Tujh Se Sarokaar Mujhe Sar Nahi Darkaar
Takya Hai Tere Fazl Pa Bistar Nahi Darkaar
Imdaad Teri Chaahiye Lashkar Nahi Darkaar

Aasaan Mere Shiyoun Pa Saqthiyy-E Ajal Ho
Jo Hona Ho Tujhe Parda Mohibbon Ke Badal Ho

Page 75 Of 137

Naaghaah Nidaa Pardah-E Quddrath(Gahibath) Se Ye Aai
Shabaash Ke Tasleem-O Rizaa Qoob Dikhaai
Bandhey Tujhe Ham Ne Kiya Muqtaar-E Qudaai
Qaasaan-E Quda Karthe Hain Yun Waada Wafaai

Pyaare Bhi Musaaheb Bhi Fidaa Kardiye Toone
Iqraar Tha Ek Sar Ka Bahatthar Diye Toone

Bas Bas Ke Quda Ab Tera Sharmaatha Hai Shabbir
Kyun Mere Huzoor Aane Mey(Se) Ghabraatha Hai Shabbir
Taaleb Hoon Mai Jis Hadye Ka Too Laatha Hai Shabbir
Bandoun Ka Hamey Izr Pasand Aatha Hai Shabbir

Too Uzr Ka Tohfa Meri Dargaah Ko Samjha
Mai Rutba Tera Samjha Too Allah Ko Samjha

Hazrath Ne Suni Hukm-E Ilaahi Jo Ye Saare
Be Saaqtha Mudkar Su-Ey Kuffar Pukaare
Qaatil Hai Kahaan Aaye Merey Sar Ko Utaare
Dewdhi Se Bahen Boli Mai Qurbaan Tumhaare

Saidaaniyaan Dukh Me Kise Chillaaengi Bhai
Bin Maa Ki Ye Behney Teri Lut Jaaengi Bhaai

Waan Zalimoun Ne Morche Ke Dafa Badhaae
Baadal Ki Tarha Fatema Ke Chand Pa Chaae
Yun Teer-E Jafaa Maare Ke Seene Me Dar Aae
Neze Jo Lagaae Tho Kaleje Me Lagaae

Zaqmoun Se Tho Qhoon-E Badan-E Shaah Tha Jaari
Aur Muh Se Tho Tawakkalto Alal-Lah Tha Jaari

Barchi Kabhi Pahlu Pa Chali Aur Kabhi Shamsheer
Pathar Kabhi Maathe Pa Laga Aur Kabhi Teer
Sambhlaa Nagaya Hogaye Ghash Hazrathe Shabbir
Aur Seena-E Zaqmi Pa Chadha Zaalim-E Bey-Peer

Sar Peet Ke Mudalee Farishtoun Ne Giraadi
Zaalim Ne Churi Halq Pa Syed Ke Phiraadi

Jab Noujawaan Pisar Shah-E- Deen Se Juda Huwa
Jab Noujawaan Pisar Shah-E- Deen Se Juda Huwa
Roushan Qamar Se Pahre Bareen Se Judaa Huwa
Noor-E- Nazar Imam-E-Mubeen Se Judaa Huwa
Laqt-E- Jigar Hussain-E- Hazeen Se Juda Huwa

Dil Daagh Hogaya Dil-O- Jaan-E- Butool Ka
Ghar Be Charaagh Hogaya Sibt-E- Rasool Ka

Barchi Se Tukde Hogaya Laqt-E Jigar Ka Dil
Qud Baap Ne Chida Huwa Dekha Pisar Ka Dil
Hota Hai Aabgina Se Naazuk Bashar Ka Dil
Pathar Ka Dil Nahi Hai Ye Dil Hai Pidar Ka Dil

Ayoob Bhi Agar Ho To Dam Bhar Nikal Pade
Aansu Nahi To Mu Se Kaleja Nikal Pade

Peeri Me Aafat-E Gha-E Aulaad Al Amaan
Dil Aur Zaqm-E Qanjar-E Foulaad Al Amaan
Wo Izteraab-E Qaatir-E Naashaad Al Amaan
Wo Ashk-O Souz Aur Wo Faryaad Al Amaan

Beta Na Ho Tho Zeest Ka Phir Kya Mazaa Raha
Jab Ghar Ujad Gaya Tho Zamane Me Kya Raha

Bichdaa Wo Laal Jiska Gawara Na Tha Firaaq
Farmaathe The Ke Loot Liya Too Ne Aye Iraaq
Aye Mouth Jald Aake Bas Ab Zindagi Hai Shaaq
Qanjar Ki Aarzu Hai Shahadat Ka Ishtiyaaq

Barbaad Istarha Koi Aabaad Ghar Na Ho
Kya Zindagi Ka Lutf Jab Apne Pisar Na Ho

Page 76 Of 137

Sab Chaahen Jis Ki Zeest Wo Shere Ziyaan Mare
Afsos Neemjaan Jiye Jaane Jahaan Mare
Paida To Kis Jaga Huwe Aakar Kahaan Mare
Qudrat Quda Ki Peer Jiye Noujawaan Mare

Is Umr Me Jahaan Se Guzarne Ke Din Na The
Kahthe Hain Qud Shabaab Ke Marne Ke Din Na The

Pyaare Na The Hussain Alaihis Salaamke
Laal Haram Saraa Me Bahan Haath Thaam Ke
Tharra Rahe The Paaun Shah-E Tishna Kaam Ke
Sar Doush Par Tha Zainab-E Aalie Maqaam Ke

Farmaathe The Bahan Ali Akbar Guzar Gaye
Ham Aise Saqt Jaan The Ke Ab Tak Na Margaye

Pursaa Tumhen Shaheed Ka Dene Ko Aae Hain
Kis Kis Ke Daagh Aaj Jigar Par Uthaae Hain
Peete Hain Khaak Udaa-E Hain Aansu Bahaae Hain
Ye Ham Tumhaare Laal Ke Khoon Me Nahaae Hain

Sar Tha Hussain-E Bekar-O Tanha Ki Godh Me
Bete Ki Jaan Nikli Hai Baba Ki Godh Me

Ye Sun Ke Bibiyoun Ke Jigar Par Churi Chali
Zainab Zameen Pa Gir Ke Pukaari Ke Yaa Ali
Sirr-E Qafi Jahaan Ke Hain Sab Aap Par Jali
Jeetha Hai Sarkashoun Me Ye Kounain Ka Wali

Bekas Ko Aasra Hai Pisar Ka Na Bhaai Ka
Baba Yahi Tho Waqt Hai Mushkil Kushaai Ka

Farmaya Shah Ne Sabr Bahan Tumhen Chahiye Tumhen
Qaaleq Ki Yaad Sirro Alan Chahiyo Tumhen
Lab Par Razaa-E Haqka Suqan Chaahiye Tumhen
Jo Maa Ka Tha Chalan Wo Chalan Chaahiye Tumhen

Ab Aaqri Bahan Ye Sawaari Hamaari Hai
Baad In Buzurgoun Ke Baari Hamaari Hai

Farmaaya Shah Ne Haan Safar-E Naa Gazeer Hai
Aao Gale Lago Ke Ye Sohbat Aqeer Hai
Ab Aarzu-E Qurb-E Qudaa-E Qadeer Hai
Tanha Hain Ham Sipaah Muqaalif Kaseer Hai

Tae Ho Ye Marhala Ke Iyaanath Qudaa Kare
Jis Ka Na Koi Dost Ho Bibi Wo Kya Kare

Jaana Hae Door Shab Ko Jo Aana Na Ho Idhar
Zid Karke Royiyo Na Hamen Chahthi Ho Gar
Pahle Pahal Hai Aaj Shab-E Furqat-E- Pidar
So Rahiyo Maa Ki Chaathi Pa Ghurbath Se Rakh Ke Sar

Raahath Ke Din Guzar Gaye Ye Fasl Aur Hai
Ab Yun Basar Karo Ke Yatimoun Ka Dour Hai

Nanhe Se Haath Jodke Boli Wo Tashna Kaam
Bathlaaiye Mujhe Ke Yatimi Hai Kis Ka Naam
Aankhon Se Qoon Bahaake Ye Kahne Lage Imaam
Khul Jaayega Ye Dard-O- Alam Tum Pa Taaba Shaam

Bibi Na Poocho Kuch Ye Musibath Azeem Hai
Marjaye Jis Ka Baap Wo Bach-Chaa Yateem Hai

Jab Parishaan Huwi Moula Ki Jamaa Ath Ran Me
Jab Parishaan Huwi Moula Ki Jamaa Ath Ran Me
Har Namaazi Ka Pasand Aai Iqaamath Ran Me
Qibla-E Deen Ne Kiya Qasde Ibaadath Ran Me
Shakl-E Mehraab Bani Tegh-E Shahadath Ran Me

Ghul Huwa Isko Imaam-E Dojahaan Kahthe Hain
Teghoun Ke Saaye Me Shabbir Azaan Kahthe Hain

Qudrath-E Haq Se Dareeche Huwe Firdous Ke Waa
Daf Athan Khul Gaye Dar Haae Falak Sartaapa
Yak Bayak Uth Gaye Sab Parda-E Arsh-E Aala
Ambiyaa-O Malak-O Hoor Ko Pahonchi Ye Nidaa

Qadardaan Iska Mai Hoon Mera Shanasa Hai Ye
Kyun Naho Mere Mohammed Ka Nawaasa Hai Ye

Page 77 Of 137

Ye Wo Taa-Ath Hai Ke Tanha Hi Adaa Karthe Hain
Mere Aashiq Tah-E Shamshir Raha Karthe Hain
Sar Qalam Hota Hai Wo Shukr-E Quda Karthe Hain
Saadeq- Ul Waada Yunhi Waada Wada Karthe Hain

Ham Namaaz Iske Janaaze Ki Jo Padhwaaenge
Tum Bhi Jana Ke Rasoolaan-E Salaf Jaaenge

Saakin-E Arsh-E Barin Karne Lage Naal-O Aah
Shaah Takbeer Yahaan Kah Chuke Allah Allah
Aur Iqaamath Me Huwe Sarf Shah-E Aalijaah
Jaane Waahid Pa Gire Aanke Laakhoun Bad Khwaah

Soorahe Hamd Nabi Zaada Padha Chaahtha Tha
Shimr Qanjar Liye Seene Pa Chadha Jata Tha

Neem Bismil Ne Zabaan Se Jo Kaha Bismillah
Nezaa Maara Abu Ayyub Ne Lab Par Naagaah
Dar Se Saidaaniyaan Chillai Ke Innalillah
Haae Ye Zulm Namaazi Pa Ayaazan Billah

Waajibul Qatl Ko Hai Aab-O- Ghiza Ki Mohlath
Jaan-E Zehra Ko Nadi Farz-E Quda Ki Mohlath

Zeenath-E- Arsh-E Bareen Qhaak Pa Uftaadah Hai
Na Bichona Hai Na Masnad Hai Na Sajjadah Hai
Shimr Qanjar Liye Baalin Pa Istaadah Hai
Koi Itna Nahi Kahtha Ke Nabi Zaada Hai

Qasd Sajde Ka Idhar Qibla-E Deen Karta Hai
Niyyath-E Zibha Idhar Shimr-E Laeen Karta Hai

Qanjar-E Zulm Ko Chamka Ke Pukaara Dushman
Bosagaah-E Nabawi Kaatoon Mai Ab Ya Gardan
Bole Shah Jis Me Too Raazi Ho Nahi Jaae Suqan
Halq Ye Halq-E Nabi Hai Ye Badan Unka Badan

Dekh Sar Nange Harek Hoor-E Jinaan Aathi Hai
Abhi Too Zibha Na Karna Meri Maa Aathi Hai

Naa-Gah Aai Ye Awaaz Ke Amma Sadqe
Mere Maa Baap Fida Mai Tere Qurbaan Sadqe
Koun Koun Aaj Huwa Tujh Pa Meri Jaan Sadqe
Sher Kitne Huwe Kitne Huwe Naadan Sadqe

Qatl Gaah Ko Abhi Jannat Se Jo Mai Aathi Thi
Hoor Ek Nanhe Se Laashe Ko Liye Jaathi Thi

Qafela Lutgaya Amma Mera Lashkar Na Rahaa
Ladd-E Amjad Ki Nashaani Ali Akbar Na Raha
Rahgaya Dard-E- Kamar Haae Baradar Na Raha
Ab Aqabar Aapne Li Aanke Jab Ghar Na Rahaa

Aik Main Hoon Se Mujhe Qatl Ki Mushtaaqi Hai
Bosagaah-E Nabawi Katne Ko Ab Baaqi Hai

Guftagu Maadar-O Farzand Me Hothi Thi Ye Aah
Rothi Thi Fatema Mushtaaq-E Shahadat The Shaah
Aasteen Ghusse Se Qaatil Ne Chadhaai Naagaah
Qahar-E Jallad Pa Ki Shaah Ne Hasrat Se Nigaah

Shimr Ne Poocha Tumhen Uzr Koi Ab To Nahi
Bole Shah Dekhle Darwaaze Pa Zainab To Nahi

Page 78 Of 137

Wo Pukaara Nazar Aati Nahi Dar Par Zainab
Peet Thi Phirthi Hai Qaime Me Khule Sar Zainab
Gar Saraachoun Se Chali Aaegi Baahar Zainab
Rok Sakne Ki Nahi Par Mera Qanjar Zainab

Jalq Ko Aapke Be Qouf-O Qatar Kaatoonga
Aik Qanjar Se Bahan Bhaai Ka Sar Kaatoonga

Aai Zehra Ki Sadaa Shimr Too Naabeena Hai
Dar Pa Zainab Nahi Baalin Pa Magar Zehra Hai
Aye Be Raham Qataa Mere Pisar Ki Kya Hai
Aastheen Ulti Hai Kyun Tegh Ko Kyun Khaincha Hai

Kya Ise Paala Tha Mai Ne Tere Qanjar Keliye
Mere Bach-Che Ko Nakar Zibha Payambar Keliye

Jab Qaatema Ba Qair Huwa Fouj-E Shaam Ka
Jab Qaatema Ba Qair Huwa Fouj-E Shaam Ka
Kousar Pa Qaafila Gaya Pyaasi Sipaah Ka
Ghar Lutgaya Janaab-E Risalath Panaah Ka
Khaak Udh Rahi Thi, Haai Ye Tha Baargaah Ka

Bhaai The, Na Rafeeq, Na Wo Noor-E Ain The
Do Behney Rone Waali Thi Aur Ek Hussain The

Farmaathe The Ke Waah Ye Taqdeer Hai Ajal
Akbar Ke Baad Kounsa Tha Zeest Ka Mahal
Ab Mujhko Ek Bars Ke Barabar Hai Aik Pal
Mouth Aaye Ab Ye Hai Shajar-E Zindagi Ka Phal

Ek Jaa Churi Gale Pa Jo Chalthi Tho Qhoob Tha
Ye Jaan Unke Saath Nikalthi Tho Khoob Tha

Ham Sab Ke Baad Qalq Se Jeene Ko Rahgaye
Sar Peetne Ko Ashk Bahaane Ko Rahgaye
Us Noujawaan Ka Daagh Uthaane Ko Rahgaye
Peeri Me Aah Thok-Rey Khaane Ko Rahgaye

Beta Kahan Qabar Jo Dam-E Inteqaal Le
Itna Nahi Koi Ke Giroon, Tho Sambhaal Le

Naagaah Soo-E Laash-E Pisar Jaa Padi Nazar
Chilaa-E Dil Ko Thaam Ke Sultaan-E Bahro Bar
Sothe Ho Kya Dhare Huwe Ruqsaar Qhaak Par
Akbar Utho Ke Ghoude Se Girtha Hai Ab Pidar

Bhoole Pidar Ko Neend Me Qurbaan Aap Ke
Aao Namaaz-E Asr Padho Saath Baap Ke

Abbas-E Namdaar Taraai Se Uth Ke Aao
Phat- Tha Hai Qhalb, Jal Rahe Hai Sab Jigar Ke Ghaao
Chidko Meri Ziraa Pa Jo Paani Kahin Se Paao
Chalthe Huwe Adam Ke Musafir Se Milthe Jaao

Ghaflath Ki Tum Ko Need Hai Shabbir Kya Kare
Meri Tarha Kisi Ko Na Bekas Quda Kare

Chillaya Fouj Ke Pisar-E Saad-E Naabakaar
Lo Ghair Lo Hussain Ko Sab Milke Aik Baar
Palte Pare Sawaaroun Ke Lekar Risaaladaar
Do Ghowl Baandhe Aaye Kamaandar Das Hazaar

Teer Afghanoun Me, Teghown Me, Bhaloun Me Ghir Gaye
Bekas Hussain Barchiyoun Waloun Me Ghir Gaye

Syed Ke Martabe Ko Na Jaana Hazaar Haif
Teeroun Se Sadr-E Paak Ko Chaana Hazaar Haif
Shaane The Naawakoun Ka Nishana Hazaar Haif
Mazloom Ka Wo Barchiyaan Khana Hazaar Haif

Toote The Sab Rasool Ke Pyaare Hussain Par
Kya Waqt Padh Gaya Tha Tumhaare Hussain Par

Page 79 Of 137

Girthe Hain Aap Aur Sambhaale Koi Nahi
Seene Se Koun Teer Nikaale Koi Nahi
Sab Mar Chuke Hain Chaahne Waale Koi Nahi
Bejaa Pade Hain Godh Ke Paale Koi Nahi

Bedas Hain Aap Zour Sipaah-E Adoo Ka Hai
Mu Jis Ka Dekhthe Hain Wo Pyaasa Lahoo Ka Hai

Fizza Ne Jaake Qaime Me Bewoun Ko Di Qabar
Hae Hae Mere Quzaade Ka Kat-Tha Hai Tan Se Sar
Bistar Se Uth Ke Girpade Sajjad-E- Nouhagar
Qaime Se Nikli Bibiyaan Bachoun Ko Cho -Ddh Kar

Hilta Tha Arsh Hazrath-E Zainab Ke Bain Se
Gir Gir Ke Doudhthi Thi Milne Hussain Se

Chillathi Thi Are Mera Bhaai Hai Kistaraf
Looti Huwi Ali Ki Kamaai Hai Kis Taraf
Darya Kidhar Hai Khoon Ka Taraai Hai Kistaraf
Soney Ki Jaah Hussain Ne Paai Hai Kistaraf

Rastha De Aye Zameen Ke Falak Ki Sathaai Hoon
Mai Apne Pyaare Bhaai Se Milne Ko Aai Hoon

Mai Syeda Hoon Raham Karo Laash Ko Bataao
Aye Ahl-E Qirya Bint-E Ali Ki Madad Ko Aao
Duna Me Khush Tum Raho Uqba Me Chain Paao
Syed Kidhar Hai Khoon Me Ghaltaan Bataae Jaao

Yaan Lut Gaye Falak Ne Ye Dukh Ham Pa Daale Hain
Aye Bhaaiyo Madine Ke Ham Rahne Waale Hain

Shah Ke Karaahne Ki Jo Aane Lagi Sadaa
Dowdhi Udhar Nabi Ki Nawaasi Barahna Paa
Dekha Bahan Ne Kat- The Huwe Bhaai Ka Gala
Aankhoun Pa Haath Rakh Ke Giri Bint-E Murtuza

Gham Se Kaleja Phat Gaya Zehra Ki Jaai Ka
Utthi Tho Dekha Neza Pesar Apne Bhaai Ka

Jab Ran Me Sibt-E Ahmed- E Muqtaar Ghir Gaya
Jab Ran Me Sibt-E Ahmed-E Muqtaar Ghir Gaya
Syed Ghareeb Bekas-O Be Yaar Ghir Gaya
Ahl-E Haram Ka Qafela Salaar Ghir Gaya
Lashkar Tamaam Hogaya Sardaar Ghir Gaya

Ghul Tha Amaan Do Na Shah-E Mashraqain Ko
Nokoun Se Barchiyoun Ki Giraado Hussain Ko

Jis Roz Tha Ye Hashr, Ye Maatam, Ye Shour-O Shar
Aa Pahoncha Ek Musaafer-E Ghurbath Zadah Udhar
Nikla Tha Ghar Se Shouq-E Najaf Me Wo Qush Siyar
Chodhe Huwe Watan Use Guzra Tha Saal Bhar

Be Qaanama Ko Ishq Quda Ke Wali Ka Tha
Mushtaaq Wo Ziyaarath-E Qabre Ali Ka Tha

Pahoncha Jo Karbala Me Tho Dekha Ye Usne Haal
Tanha Khada Hai Aik Musaafer Lahoo Me Laal
Fouj-E Sitam Ki Gird Thi Aamadah-E Qataal
Chalthe Hain Teer Paani Ka Kartha Hai Jab Sawaal

Abbas Ke Ahl-E Dard Tha Betaab Hogaya
Paani Ke Maangne Pa Jigar Aab Hogaya

Kahne Laga Laraz Ke Wo Ziqadi-O Naik Naam
Allah Kisqadar Hai Pur Aashob Ye Maqaam
Darya Quda Ne Qalq Kiya Bahr-E Faiz-E Aam
Marta Hai Be Ajal Ye Sitam Kash Ye Tashnakaam

Inse Bashar Dare Jinhe Qouf-E Qudaa Nahi
Jaldi Nikal Chalo Ye Taharne Ki Jaa Nahi

Page 80 Of 137

Do Chaar Gaam Chal Ke Ye Soncha Wo Naamwar
Mazloom Ki Duaa Me Hai Har Tarha Ka Asar
Wallah Bargazida-E Haq Hai Ye Qush Siyar
Kar Lije Iltemaase Duaa Haath Baandh Kar

Teghoun Me Uske Paas Chalo Jo Qudaa Kare
Aasaan Hon Mushkilen Jo Ye Bekas Duaa Kare

Aaya Jo Kaanpthe Huwe Wo Shaah-E Deen Ke Paas
Ki Arz Assalaam Aliaka Ya Falak Asaas
Moula Jawaab Deke Ye Bole Badard-O Yaas
Aana Huwa Kidhar Se Tera Aye Qudaa Shinaas

Arz Usne Ki Ghulaam-E Shah-E Zulfeqaar Hoon
Bekas Hoon Benawaa Hoon Ghareebud Dayaar Hoon

Do Saaheboun Ke Shouq Me Chodha Hai Maine Ghar
Hasrat Ye Hai Naseeb Kare Yaawari Agar
Pahle Tho Hoon Najaf Ki Ziyaarat Se Bahrawar
Manzoor Phir Wahaan Se Madine Ka Hai Safar

Pahonchunga Doulatein Hain Agar Sar-E Nowsht Me
Raste Me Mout Aai Tho Pahoncha Behist Me

Farmaaya Aapne Ke Madine Me Kya Hai Kaam
Arz Usne Ki Wahi Tho Hai Dunya Me Ek Maqaam
Us Sarzameen Pa Hai Mera Aaqa Mera Imaam
Barsoun Se Jinke Ishq Me Rota Hoon Subh-O Shaam

Hyder Ke Jaan-O Dil Hain Shah-E Mashraqain Hain
Sadqe Mai Us Jagah Ke Wahin Tho Hussain Hain

Mera Hai Ab Ye Haal Ke Zaqmoun Se Choor Hoon
Jangal Me Mout Aai Hai Basthi Se Door Hoon
Ek Qaaksaar Banda-E Rabb-E Ghafoor Hoon
Aalam Hai Iski Zaat Ke Mai Be Qusoor Hoon

Kahne Me Baat Aathi Hai Ye Kuch Gilaa Nahi
Din Teesra Hai Aajke Paani Milaa Nahi

Moula Se Haath Joud Ke Bola Wo Dil Kabaab
Le Aaun Doud Kar Mere Sharbe Me Hae Kuch Aab
Kijiye Zabaan-E Qushk Ko Tar Bahr-E Buturaab
Bole Hilaa Ke Sar Ko Shah-E Aasmaan Janaab

Ab Intezaar Mouth Ka Hai Kya Jiyunga Mai
Sab Pyase Margaye Hain Na Paani Piyunga Mai

Darkaar Jo Tujhe Ho Wo Be Bahr Kirdagaar
Paidal Agar Hai Too To Ye Haazir Hai Raahwaar
Naaqa Bhi Le Tera Tu Hai Aaqaah Wo Naamdaar
Saail Ko Jisne Roti Ke Oontoun Ki Di Qataar

Bekas Hoon Go Ke Aaj Pa Aali Maqaam Hoon
Sharma Na Too Ke Mai Bhi Ali Ka Ghulaam Hoon

Arz Usne Ki Huzoor Se Ab Hai Ye Iltejaa
Kijiye Uthaa Ke Haath Mere Haq Me Ye Duaa
Pahoncha De Mujhko Qabr-E Ali Par Mere Qudaa
Moula Ne Aasmaan Ki Taraf Dekha Aur Kahaa

Jis Ko Nahi Sawaal Wo Doulat Naseeb Ho
Yaarab Ise Ali Ki Ziyaarath Naseeb Ho

Jisdum Nagin-E Qaatim-E Paighambaraan Giraa
Jisdam Nagin-E Khaatim-E Paighambaraan Giraa
Rounaq Uthi Zameen Se Imaam-E Zamaan Giraa
Girne Pa Sab Giroh Liye Barchiyaan Giraa
Hae Hae Na In Jafaaoun Pa Bhi Aasmaan Giraa

Zehra Se Poochiyeh Qalaq Noor-E Ain Ka
Tapna Zameen Ka Aur Tadapna Hussain Ka

Mushtaaq-E Seir-E Zibha Bade Afsaraan-E Keen
Qaatil Kayi Khade Huwe Aakar Qareen Qareen
Koi Pukaara Haan Koi Bola Abhi Nahi
Ab Deir Kya Hai Sajde Me Rakh Lene Do Jabeen

Awaaz Di Umar Ne Hai Gardan Dhali Huwi
Qaatil Pukaara Aankh Abhi Hai Khuli Huwi

Page 81 Of 137

Sab Tham Gaye Magar Na Thama Shimr -E Bad Shiyum
Sar Peetne Ki Jaa Hai Rakha Is Jaga Qadam
Seena Daba Tho Aur Bhi Tadpe Shah-E Umam
Shour-O Fughaan Suna Isi Haalath Me Dam Badam

Qaatil Se Poocha Dekh Kidhar Ghul Ye Hota Hai
Hai Hai Hussain Ke Koi Ran Me Rota Hai

Wo Bola Koi Hoga Mai Dekhoon Bhala Kidhar
Ab Tegh Par Nigaah Hai Sheh Ragh Pa Hai Nazar
Haan Jab Sawaar Hone Laga Tha Mai Seene Par
Saidaani Aik Qaime Se Nikli Thi Nange Sar

Is Dam Hamaari Fouj Me To Eid Hoti Hai
Mujh Ko Yaqeen Hai Ye Wahi Bibi Roti Hai

Shah Bole Aur Koi Nahi Ye Bahen Bahen
Aashiq Bahen Hussain Ki Tishna Dahan Bahen
Bhooli Hamaare Pyaar Me Maa Ka Chalan Bahen
Bale Kahaan Kahaan Ye Meri Qasthathan Bahen

Qaatil Pukaara Aage Bhi Baaher Ye Aai Thi
Shah Bole Jab Sinaan Yeh Ali Akbar Ne Khaai Thi

Aage Hai Wo Maqaam Ke Ghash Honge Momineen
Ye Saamne Hussain Hain Wo Zainab-E Hazeen
Gardan Pa Tegh Dil Me Sinaan Seene Par Laeen
Zainab Ye Haal Dekhthi Hai Aur Bas Nahin

Na Mehrumoun Ka Dhyaan Na Parde Ka Hosh Hai
Ye Sab Lahoo Ka Josh Hai Ulfath Ka Josh Hai

Wo Rona Bekasi Ka Wo Ghabraana Yaas Ka
Wo Thartharaana Dil Ka Wo Udna Hawaas Ka
Kahna Bilak Bilak Ke Ye Kalma Hiras Ka
Aye Shimr Waastha Ali Asghar Ki Pyaas Ka

Lillah Teen Roz Ke Pyaase Ko Cho-Dh De
Sadqa Nabi Ka Unke Nawaase Ko Cho-Dh De

Thamjaa Quda Ko Maan Habeeb-E Quda Ko Maan
Zehra Ko Maan Hazrath-E Mushkil Kushaa Ko Maan
Saugandh Faqr-E Faaqa-E Aal-E Abaa Ko Maan
Apni Rasool Zaadi Ki Too Iltejaa Ko Maan

Saare Buzurg Margaye Mujh Bad Naseeb Ke
Mera Koi Nahi Hai Siwa Is Ghareeb Ke

Aye Shimr Paas Bhai Ke Aaun Jo Too Kahe
Zaqmoun Se Jalthi Reth Chudhaoun Jo Too Kahe
Chadar Badan Ke Neeche Bichaaun Jo Too Kahe
Bekal Hai Sar Mai Aake Uthaun Jo Too Kahe

Paani To Yaan Milega Na Zehra Ki Jaai Ko
Aansu Chidak Ke Hosh Meh Laaungi Bhai Ko

Aye Shimr Main Gale Se Lagaaloon To Zibha Kar
Bhai Se Milke Qaime Meh Jaaloon To Zibha Kar
Kuch Dard Apne Dil Ka Sunaaloon To Zibha Kar
Syed Ko Qibla Roo Mail Litaaloon To Zibha Kar

Paani To Bhooke Pyase Ko Aye Badqisaal De
Hai Waqt-E Zibha Aankhoun Pa Kapda To Daal De

Page 82 Of 137

Aye Shimr Tujhko Qaaleq-E Akbar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Rooh-E Payambar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Hyder-E Safdar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Nanhe Se Asghar Ka Waastha

Lillah Kar Na Zibha Shah-E Mashraqain Ko
Mai Bheek Maangthi Hoon Mujhe De Hussain Ko

Ye Kahte Kahte Susth Huwi Dam Ulat Gaya
Sar Peet Thi Ye Rahgai Sar Sah Ka Kat Gaya
Yun Laash Par Giri Ke Jigar Sab Ka Phat Gaya
Baahen Gale Me Daalke Laasha Lipat Gaya

Maa Ki Tarha Thi Aashiq-E Shaah-E Zaman Bahan
Ye Bhai Bhai Kahti Thi Laasha Bahan Bahan

Kiski Zabaan Se Pyaas Ne Paai Hai Aabroo
Kiski Zabaan Se Pyaas Ne Paai Hai Aabroo
Kis Tashna Lab Ke Hisse Me Aai Hai Aabroo
Imaan Kiski Qaak Pa Laai Hai Aabroo
Aansu Ki Kiske Gham Me Badhaai Hai Aabroo

Kis Pyase Ke Qalaq Me Hame Shour-O- Shain Hai
Poocha Jo Naam Pyaas Pukaari Hussain Hai

Nargha Huwa Hussain Pa Jo Fouj-E Shaam Ka
Teeroun Se Jism Chin Gaya Shaah-E Anaam Ka
Chillaya Naam Leke Laeen Qaas-O Aam Ka
Aye Marhaba Ye Hamla Kiya Toone Kaam Ka

Hain Mere Rustumoun Na Amaan Do Hussain Ko
Nokoun Pah Barchiyoun Ki Uthaalo Hussain Ko

Taaqath Huwi Jo Taaq Shah-E Deen Panaah Ki
Hasrath Se Su-Ey Ganj-E Shahidaan Nigaah Ki
Raakib Ko Zuljanaah Ne Dekha Aur Aah Ki
Rokar Hussain Bole Jo Marzi Ilaah Ki

Dard-O Alam Ki Kis Se Talabdaad Kijiye
Bola Wo Bezabaan Kuch Irshaad Kijiye

Shafqat Se Haath Ghode Ki Gardan Me Daal Kar
Bole Hame Kuch Aankhoun Se Aatha Nahi Nazar
Ghode Tu Chal Ke Ganje Shahidaan Me Ghour Kar
Aaram Karthe Hain Ali Akbar Mere Kidhar

Aye Asp-Ey Baawafaa Mere Dilko Qaraar De
Aashiq Ko Chal Ke Unke Baraabar Utaar De

Ghodaa Qadam Qadam Su-E Maqtal Huwa Rawaan
Yaani Na Shah Ke Jism Ko Ho Sadma-E Takaan
Ek Noujawaan Ki Laash Pa Tahra Wo Naagahaan
Boo Soongh Kar Hussain Pukaare Yahi Hai Haan

Baitha Jo Zuljanaah Ke Aap Utrey Zeen Se
Do Haath Kaanpthe Huwe Nikle Zameen Se

Haathoun Ke Saath Aai Ye Aawaaz Naagahaan
Hai Hai Ye Gehrey Zaqm Ye Garmi Ye Al Amaan
Aakar Sambhaalte Nahi Abbas Hain Kahaan
Aao Hamaari Godh Me Aao Nisaar Maan

Mar Kar Bhi Ham Juda Nahi Pyaare Ke Saath Hain
Waari Ye Tere Paalne Waali Ke Haath Hain

Un Haathou Ka Mila Jo Sahara Hussain Ko
Ghode Ne Betakaan Uthaara Hussain Ko
Naiza Sinaan Ne Doud Ke Maara Hussain Ko
Phir Tho Raha Na Zabth Ka Yara Hussain Ko

Jalthi Zameen Pa Ghash Kayi Saa-Ath Pade Rahe
Jallad Gird Teghoun Ko Khainche Khade Rahe

Lo Momino Laraztha Hai Ab Dasht-E Karbala
Lo Ghash Huwa Butool Ki Aaghoush Ka P Alaa
Lo Shimr Zibha Karne Ko Mazloom Ka Chala
Lo Ab Churi Hai Aur Nabi Zaade Ka Galaa

Bete Muae Na Nikli Magar Ab Nikal Padi
Muh Dhanpo Aye Hussainiyo Zainab Nikal Padi

Page 83 Of 137

Zaqmi Jo Ran Me Fatema Ka Gulbadan Huwa
Zaqmi Jo Ran Me Fatema Ka Gulbadan Huwa
Aur Purze Purze Tan Me Libaas-E Kohan Huwa
Ghash Pusht-E- Zuljanaah Pa Shaah-E Zaman Huwa
Dast-E Alam Se Chaak Nabi Ka Kafan Huwa

Zaqmoun Ke Mu Se Qhoon Ke Darya Ubal Pade
Sar Nange Qabr Se Shah-E Mardaan Nikal Pade

Mazloom Kahtha Jaatha Tha Main Be Gunaah Hoon
Maaro Na Mujh Ko Sibt-E Risaalath Panaah Hoon
Tum Logoun Ka Quda Ki Qasam Qair Qwaah Hoon
Is Khowl Par Quda Ko Main Rakhtha Gawaah Hoon

Kuch Raham Aatha Tha Na Kisi Naabakaar Ko
Shamsheeren Maarthe The Ghareebud Dayaar Ko

Nezaa Laga Jo Seene Pa Tharra Ke Rah Gaye
Baitha Jo Teer Maathe Pa Teouraa Ke Rah Gaye
Girne Lage To Haathoun Ko Latkaake Rah Gaye
Shukr-E Quda Zubaan Se Farmaake Rah Gaye

Akbar Na The Jaluh Me Na Abbas Paas The
Mazloom Beech Me Tha Adoo Aas Paas The

Seene Pa Bhala Rakh Ke Giraaya Hussain Ko
Ji Bhar Ke Zaalimoun Ne Sataaya Hussain Ko
Girne Pa Khaak Thoda Banaya Hussain Ko
Hai Zulm Ki Ye Had Ke Ghash Aaya Hussain Ko

Par Dekhiyo Hawaas Shahinshaah-E Naik Ke
Sajde Me Sar Jhukaa-Diya Haathoun Ko Tayk Ke

Aaya Sarhaane Tegh Bakaf Shimr-E Ro Siyaah
Bola Gala Ke Mai Hoon Payambar Ki Bosagaah
Dil Ne Kaha Ke Seena Hai Ganjeena-E Ilaah
Baitha Ye Us Jaga Ke Unhain Jaae Sharah Aah

Is Zulm-E- Nou Se Charq-E Kohan Kaanpne Laga
Aisa Hussain Tadpe Ke Ran Kaanpne Laga

Paani Wo Maangthe Hain Pilaatha Nahi Koi
Is Dard Ko Qayaal Me Laatha Nahi Koi
Kya Qahar Hai Ke Paas Bhi Aatha Nahi Koi
Seene Se Be Hayaa Ko Uthaatha Nahi Koi

Amma Tumhaari Peet-Thi Hai Bilbilaati Hai
Wo Bete Se Lipat Thi Hain Hooren Chudhaathi Hai

Akbar Ka Sadqa Aap Mere Kaam Aaiye
Loundi Ke Baal Kholke Bewa Banaaiye
Aaqir Huwa Suhaag Meri Nath Badhaaiye
Bhaabi Hassan Ko Roti Thi Kyunkar Bathaaiye

Rand Saala Mai Talab Nahi Karthi Janaab Se
Mahroom Tho Na Rakhiye Azaa-E Sawaab Se

Zainab Pukaari Aao Gale Se Lagaaloon Mai
Aao Jabeen Pa Qaak Maloon Nath Badhaaoon Mai
Maa Ne Dulhan Bnaaya Tha Bewa Banaaun Mai
Maango Duaa Zameen Pha-Te Aur Samaaoon Mai

Hai Hai Bichad Ke Gour Kanaare Gaye Hussain
Jeeti Rahi Mai Rone Ko Maare Gaye Hussain

Page 84 Of 137

Dar Haal Haazri
Likhthe Hain Raaviyaan-E Jigar Souz Ye Kalaam
Likhthe Hain Raaviyaan-E Jigar Souz Ye Kalaam
Jab Baad-E Asr Kat Gaya Ran Me Sar-E Imaam
Lashkar Se Ibn-E Saad Ye Bola Bawaqt-E Shaam
Manzoor Hai Hamen Ke Yahin Aaj Ho Maqaam

Ek Qaima Istaadah Huzoor-E Nigaah Ho
Shaabaash Isme Aal-E Rasool-E Panaah Ho

Ek Qaima Tab Alaaheda Ran Me Bapaa Huwa
Isme Huwe Muqeem Aseeraan-E Karbala
Taqseem Fouj-E Shaam Me Hone Lagi Ghizaa
Har Qism Ke Ta Aam Mohayya The Jaabajaa

Asaaesh-E Ta- Aam Thi Har Bad Qisaal Ko
Aur Faaqa Teesra Tha Mohammed Ki Aal Ko

Bola Ye Ibn-E Saad Ke Lejaao Tum Shataab
Chaalis Qaan Khaane Ke Aur Sard Jaam-E Aab
Tab Aik Aik Ne Ye Umar Ko Diya Jawaab
Kis Mu Se Aage Jaaen Ham Inse Haen Hijaab

Pyaaroun Ko Inke Samne Neze Lagaen Ham
Aur Haazri Bhi Unke Liye Leke Jaaen Ham

Inkaar Jab Ke Jaane Me Ek Aik Ne Kiya
Phir Tho Umar Ne Zoujae Hurr Ko Talab Kiya
Bola Ye Khaana Leke Too Ahle Haram Me Jaa
Karna Meri Taraf Se Bahot Uzr-O Iltejaa

Shouhar Tera Hai Fidya Shah-E Mashraqain Ka
Dena Too Shaher Bano Ko Pursaa Hussain Ka

Zainab Phir Apne Dil Ko Ye Dene Lagi Qabar
In Khaanoun Me Yaqeen Hai Shahidoun Ke Honge Sar
Naagaah Boli Zoujae Hurr Paas Aan Kar
Loundi Salaam Karti Hai Bibi Karo Nazar

Mai Aashiq-E Hussain Kaneez-E Butool Hoon
Mai Zoujae Harawal-E Sibt-E Rasool Hoon

Aaya Zabaane Zoujae Hurr Par Jo Hurr Ka Naam
Taazeem Ko Khadi Huwi Wo Qhahar Imaam
Boli Too Hurr Ki Zouja Hai Tujh Par Mera Salaam
Haq Baqshe Hurr Ko Waah, Ajab Kar Gaya Wo Kaam

Pahle Qabar Na Toone Ki Zehra Ki Jaai Ko
Sar Nange Dar Pa Aathi Teri Paishwaai Ko

Ye Kahke Usko Apne Barabar Bithaaliya
Chaadar Na Thi Jo Dhaanp Ke Mu Roi Khoob Sa
Aankhoun Pa Haath Rakh Ke Lagi Rone Aur Kaha
Pursa Mai Hurr Ka Dethi Hoon Too Saath De Meraa

Wo Roke Boli Naam Nalo Us Ghulaam Ka
Mai Tumko Dene Aai Hoon Pursaa Imaam Ka

Zainab Ne Roke Zoujae Hurr Se Ye Phir Kaha
Baare Tumhaare Aane Ka Yaan Kya Sabab Huwa
Ki Arz Usne Loundi Ki Qismath Huwi Rasaa
Bheje Hain Ibn-E Saad Ne Ye Khaan Par Ghiza

Kahne Uske Khaane Se Hamraah Aai Hoon
Mai Haazri Hussain Ke Marne Ki Laal Hoon

Page 85 Of 137

Shahzadi Sakina A.S
Kahthi Thi Ran Me Aake Sakina Jawaab Do
Kahthi Thi Ran Me Aake Sakina Jawaab Dod
Jaan-E Nabi-O Faatema Zehra Jawaab Do
Kyun Sorahe Ho Khaak Pa Tanha Jawaab Do
Aal Hoon Tumko Dhoondhe Is Jaa Jawaab Do

Marthi Hoon Gham Se Mere Masiha Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Zaqmi Huwe Hain Kaan Mere Chingaye Gohar
Kis Se Kahoon Ke Zaqmoun Me Hai Dard Paishtar
Faryaad Tumse Karne Mai Aai Hoon Aye Pidar
Hai Qaabil-E Mulaaheza Hai Haal Sar Basar

Dekho Ye Khoon Bhara Huwa Kurtha Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Qaidi Banaake Shaam Ko Lejaathe Hain Hamain
Pursaa Nahi Hai Koi Ke Kuch Us Se Ham Kahain
Faryaad Ghamzadoun Ki Na Hazrath Bhi Gar Sunain
Kab Tak In Aafatoun Me Rahian Aah Kya Kahain

Kya Kah Rahi Hoon Sye-E Waala Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Aye Jaane Faatema Wo Payambar Utho Utho
Aye Noor-E Ain-E Faathah-E Khaebar Utho Utho
Dekho Aseer Hogai Qwhaaher Utho Utho
Chilla Rahi Hai Aap Ki Duqtar Utho Utho

Kya So Rahe Ho Beti Ke Shaida Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Be Gour Kyun Pade Hain Tumhaare Rafeeq Sab
Laasha Ye Jalthi Reth Pa Mai Dekhthi Hoon Jab
Hota Hai Mere Dil Pa Do Baala Gham -O Taab
Dafnata Inko Koi Nahi Is Ka Kya Sabab

Kyun Bekafan Har Ek Ka Hai Laasha Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Aathi Hai Daadi Jaan Ki Aawaaz Yaan Suno
Kis Dard Se Pukarthi Hain Baba Jaan Suno
Karthi Hain Kaise Ranj-O Alam Ke Bayaan Suno
Kya So Rahe Ho Binte Nabi Ki Fughaan Suno

Kis Minnatoun Se Kahthi Hai Zehra Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Pooche Jo Mujh Se Haal Tumhaara Bayaan Karoon
Pyaase Shaheed Hogaye Baba Bayaan Karoon
Akbar Ka Mai Ne Dekha Na Laasha Bayaan Karoon
Asghar Ka Sar Bhi Neze Pa Dekha Bayaan Karoon

Kya Kah Ke Usko Doon Main Dilaasa Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Rote The Aap Main Jo Kabhi Karthi Thi Fughaan
Samjha Ke Leke Godh Me Karthe The Yun Bayaan
Qurbaan Tere Aankhoun Ke Aansu Na Kar Rawaan
Ab Mera Rona Aur Ye Gham Khaana Baba Jaan

Kyun Aapko Huwa Hai Gawaara Jawaab Do
Baba Jawaab Do Mere Baba Jawaab Do

Jab Daaghe Bekasi Na Sakina Uthaa Saki
Jab Daaghe Bekasi Na Sakina Uthaa Saki
Aur Dard-E Dil Na Qauf Ke Maare Sunaa Saki
Khaae Tamaache Shimr Ke Jab Tak Ke Khaa Saki
Sin Kam Tha Dukh Bahuth The Na Bardaashth Laa Saki

Roi Tou Zalimoun Ne Jafaa Beshumaar Ki
Aaqir Ye Jabr Dekh Ke Mouth Iqtiyaar Ki

Gar Raah Ki To Shimr Pukaara Qamoush Ho
Aur Chup Huwi To Bepidari Ne Kaha Ke Ro
Gah Shiddat-E Atash Se Pukaari Ke Paani Do
Gah Yaad Karke Rah Gayi Baba Ki Pyaas Ko

Soi Jo Aansu Ponch Ke Chashm-E Pur Aab Se
Hae Hae Hussain Kahke Phir Uth Baithi Qhwaab Se

Page 86 Of 137

Dil Me Samaa Gaya Tha Jo Shimr-E Laeen Ka Dar
Sone Me Kaanp Kaanp Ye Kahthi Thi Raat Bhar
Faryaad Cheentha Hai Gohar Shimr-E Bad Guhar
Aata Hai Ibn-E Saad Chupoon Jaake Mai Kidhar

Zainab Phupi Sambhaalo Kaleja Dhadakta Hai
Sajjad Bhaai Dekho Ye Qooli Ghuraktha Hai

Jab Pyaas Lagthi Roke Chacha Ko Pukaarthi
Dukhte Jo Kaan Shaah-E Huda Ko Pukaarthi
Aatha Na Jab Koi Tho Khuda Ko Pukaarthi
Jeene Se Tang Hoke Qhazaa Ko Pukaarthi

Kahthi Thi Ne Chacha Na Imaam-E Umam Rahe
Rulwaane Ko Addo Rahe Rone Ko Ham Rahe

Ab Kya Lutoongi Maal Nahi Zar Nahi Raha
Akbar Nahi Raja Ali Asghar Nahi Raha
Rahne Ko Qaid Qaana Mila Ghar Nahi Raha
Haathoun Me Reesma Bandhi Zewar Nahi Raha

Doulat Hai Kounsi Jise Zindaan Me Khoungi
Rona Tha Jisko Ro Chuki Ab Kisko Roungi

Kubra Se Chupke Chupke Kabhi Karthi Th I Bayaan
Kal Ye Bache Tho Naam Hai Warna Hown Benishaan
Wo Boli Ab Rahenge Salaamat Pa Ham Kahaan
Maa Ne Kaha Qhuda Na Kare Aye Sakina Jaan

Ki Arz Dekhloongi Jo Pichli Ko Hoega
Babaki Rone Wali Ko Sab Kunba Roega

Ab Mout Meri Sab Ko Mubarak Kare Quda
Marte Hi Mere Qaid Se Sab Kunba Ho Rehaa
Jaata Rahe Buqaar Baradar Ka Bedawaa
Jannat Ko Ham Rawaan Hon Madine Ko Aqrobaa

Ghul Ho Sakina Leke Bala Sab Ki Margayi
Hyder Ki Pothi Mushkilen Aasan Kar Gayi

Zindaan Me Muqayaad Huwe Jis Dam Haram-E Shaah
Zindaan Me Muqayaad Huwe Jis Dam Haram-E Shaah
Ambowh-E Qalaaeq Huwa Darwaaze Pa Naagaah
Balwa Huwa Is Darja Ke Masdood Huwi Raah
Sar Sharm Se Zanjeer Pa Aabid Ne Rakha Aah

Tha Wo Arakh-E Sharm Asseroun Ke Na Tan Me
Rotha Tha Harek Uzu Gham-E Shah-E Zaman Me

Mashgool Jo The Khel Me Atfaal Wo Saare
Karthi Thi Sakina Wahaan Hasrath Se Nazaare
Kahthi Thi Ke Kya Hogaye Hamjoli Hamaare
Baba Ali Asghar Ko Kahaan Leke Sidhaare

Sab Bach-Che Yahaan Kehlthe Hain Khanda Zinaan Hain
Main Khelthi Thi Jinse Wo Atfaal Kahaan Hain

Page 87 Of 137

Nagaah Namudaar Huwi Shaam-E Gharibaan
Aaya Ghazab Aalood Wahaan Shimr-E Bad Eimaan
Ek Ek Se Muqaatib Huwa Wo Dushman-E Yazdaan
Ab Jaao Ke Hotha Hai Muqaffil Dar-E Zindaan

Hoegi Rehaai Na Kabhi Aal-E Abaa Ki
Kal Dekhiyo Phir Sair Aseeraan-E Balaa Ki

Ye Sunke Parishaan Huwa Anbow Wo Saara
Gum Hogaya Ek Shaqs Ka Farzand Qazaara
Chillaya Pidar Uska Raha Dil Pa Na Yaara
Farzand Bhi Baba Bhi Ise Kah Ke Pukaara

Wo Tifl Lipatne Jo Laga Aake Pidar Se
Paida Huwi Ek Aah Sakina Ke Jigar Se

Bhar Bhar Ke Dam-E Sard Ye Ki Bano Ne Guftaar
Is Bach-Che Ko Dekho Ke Kya Qush Hai Ye Dildaar
Kya Naam-E Pidar Pyaar Se Leta Hai Har Baar
Ek Ham Hain Ke Hain Baap Ki Furqat Me Giraftaar

Dil Me Jo Mere Dard Hai Qaaleq Pa Ayaan Hai
Mai Kisko Kahun Baap Mera Baap Kahaan Hai

Baba Mere Hote To Unhain Kahthi Mai Baba
Ab Baap Kahaan Jisko Kahoon Baap Mai Dukhya
Yun Koi Pidar Beti Se Ghaafil Nahi Hota
Hairaan Hoon Baba Ke Wo Ashfaaq Huwe Kya

Aada Ne Hame Qaid Kiya Shaam Me Laakar
Baba Mere Kyun Mujh Ko Nahi Dhondhthe Aaka R

Ye Kahke Sakina Pa Jo Riqqat Huwi Taari
Bas Haae Pidar Kahke Kai Baar Pukaari
Tadpi Jo Zameen Par Tho Zameen Hilgayi Saari
Jhunjlaake Kaha Shimr Ne Phir Karthi Ho Zaari

Ab Khoob Rulaaunga Tujhe Main Na Daroonga
Rah Tujh Ko Aseeroun Se Judaa Qaid Karoonga

Phir Shimr Ne Baazue Sakina Ko Jo Pakdaa
Kunbe Ki Taraf Usne Ajab Yaas Se Dekha
Sab Qaidyoun Me Aik Qayaamat Huwi Barpaa
Sajjad Ke Qadmoun Pa Machal Kar Giri Dukhiya

Youn Lipti Thi Bhaai Se Wo Is Qouf-O Qatar Me
Ek Haath Tho Gardan Me That Ek Haath Kamar Me

Muh Dekh Ke Sajjad Ka Kahthi Thi Wo Dar Kar
Ab Aap Mere Rone Ke Zaamin Ho Baradar
Gar Tum Se Chuti Zeest Meri Hoegi Kyun Kar
Ab Rounoon Tho Jo Chaahe Kare Shimr-E Sitamgar

Bhayya Mujhe Tu Shimr Se Iswaqt Bachaale
Ab Rouoon Tho Kar Dijiyo Zaalim Ke Hawaale

Ab Roi So Mai Roi Na Phir Roungi Zinhaar
Ab Roun Agar Baap Ko Apne To Gunahgaar
Farmaao Ke Ab Chowdh De Mujh Ke Ye Jafaakaar
Baazu Mera Dukhne Laga Aye Aabid-E Beemaar

Kis Tarha Juda Kunbe Se Howegi Sakina
Tum Kahdo Qasam Khaake Na Royegi Sakina

Ye Kahthi Thi Khaincha Jo Sitamgar Ne Qazaara
Kurta To Phata Tha Wo Phata Aur Bhi Saara
Tab Aabid-E Beemar Ne Rokar Ye Pukaara
Aye Shimr Ye Bin Baap Ki Bach-Chi Hai Qudaara

Ghaafil Teri Dahshat Se Na Howegi Sakina
Ab Aisi Dari Hai Ke Na Royegi Sakina

Page 88 Of 137

Rokar Kahaa Yeh Maa Ney Kay Dilbar Jawaab Do
Rokar Kahaa Yeh Maa Ney Kay Dilbar Jawaab Do
Khamosh Kyun Ho Behray Payambar Jawaab Do
Zindaan Mey Kaisa Hogaya Mehshar Jawaab Do
Qurbaan Jaaoon Aye Meri Dukhtar Jawaab Do

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Zehra Ka Waasta Paey Hyder Jawaab Do
Shabbir Ka Wastaa Paey Sarwar Jawaab Do
Qasim Ka Wastaa Paey Akbar Jawaab Do
Muslim Ka Wastaa Paey Asghar Jawaab Do

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Abbas Ki Qasam Paey Jaffar Jawab Do
Dar Par Khadey Hain Hur-E Dilaawar Jawaab Do
Hai Inkay Saath Ibney Mazaaher Jawaab Do
Kya Boley Insey Aap Ki Maadar Jawaab Do

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Ammu Tumhaarey Paani Bhi Humraah Laaye Hain
Choti Si Mashk Khaandey Pey Lattkaaye Aaye Hain
Paani Kay Waastey Woh Lahu Mey Nahaaye Hain
Kya Kya Tumhaarey Wastey Sadhmey Utthaaye Hain

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Kab Sey Utthaatey Hain Tumhein Bibi Uttho Uttho
Bekas Yateem Shah Ki Pyaari Uttho Uttho
Tum Ko Sataaengay Na Yeh Naari Uttho Uttho
Lo Aagayi Tumhaari Sawaari Uttho Uttho

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Rutthi Ho Bibi Kis Liye Bolo Paey Khuda
Aankhein Zara Si Khol Do Tum Par Sey My Fidaa
Utt Behtto Ab Toh Jaldi Sey Aye Jaan-E Murtuza
Chaen Aaye Mujh Ghareeb Ko Bekas Hoon Ghamzadaa

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Kis Sey My Puchoon Kaun Bataaengay Ab Yahaan
Bibi Ko Meri Aa Rahi Hain Haaye Hichkiyaan
Teywar Badal Gaye Hain Phiraati Hai Putliyaan
Jungle Mey Aakay Lutt Gayi Yeh Badh Naseeb Maa’ N

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Soojey Huvey Hain Bibi Kay Ruqsaar Nazneen
Zakhmi Badan Sey Ayntaa Hai Kurta Kahin Kahin
Uljhey Hain Sar Kay Baal Toh Majrooh Hai Jabeen
Ghassaala Puchti Hai Kahey Kya Yeh Dil Hazeen

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Abid My Sadqey Ho Loon Toh Taabooth Tum Utthaao
Bibi Ko May Galey Sey Lagaa Loon Toh Leykay Jaao
Inki Yeh Aakhri Hai Sawaari Mujhey Dikhaao
Phir Kis Jagaah Milogi Yeh Puchoon Toh Leykay Jaao

Maadar Ki Jaan Kunbey Ki Pyaari Jawaab Do
Bibi Jawaab Do Meri Bibi Jawaab Do

Page 89 Of 137

Baanu Ki Aaj Kis Liye Sunsaan Godh Hai
Baanu Ki Aaj Kis Liye Sunsaan Godh Ha I
Bachchi Ko Kya Huva Aray Veeraan Godh Hai
Maa Sar Jhukaaye Baithee Hai Veeraan Godh Hai
Baali Sakina Margayi Sunsaan Godh Hai

Naazou Sey Jo Pali Thi Shahey Mashraqain Ki
Mitti May Aaj Milthi Hai Bachchi Hussain Ki

Bano Kay Bayn Hain Meri Godh Ujad Gayee
Baaqi Thi Sheh Ki Ek Nishaani Kidhar Gayee
Ya Rab Mai Kya Karoon Meri Bachchi Bichadd Gayee
Amma Ko Rothi Chodd Kay Beti Kidhar Gayee

Aawaaz Ek Baar Toh Maa Ko Sunaao Tum
Bano Jiye Toh Kaise Jiye Yeh Bathaao Tum

Hai Hai Jawaan Betay Ka Sehra Na Dekhi Mai
Asghar Ko Haaye Ghuttniyo Chaltaa Na Dekhi Mai
Armaan Koyi Apna Nikaltaa Na Dekhi Mai
Terey Bhi Koyi Kaaj-Ko Hota Na Dekhi Mai

Waaris Ka Saaya Utt Gaya Betou Ko Khoyi Hoon
Baaqi Jo Ek Bachchi Thi Aaj Uspaa Rothi Hoon

Thi Aarzoo My Tumko Parwaan Chadhaaoongi
Dulhan Banaakay Dhoom Sey Shaadi Rachaaoongi
Dil Kay Tamaam Apney My Armaan Nikaaloongi
Yeh Kya Khabar Thi Khaak Me Tujhko Milaaoongi

Mai Badhnaseeb Reh Gayee Ronay Kay Waasthey
Tum Jaa Rahi Ho Qabr Mey Sonay Kay Waasthey

Sajjab Bolay Sabr Karo Tum Par My Fida
Maiyath Utthaaney Jhuk Gaya Beemar Bey Dawaa
Mooh Rakh Kay Mooh Pa Bola Bahen Terey My Fidaa
Tujhko Milaaney Khaak My Sajjad Rehgaya

Tharraaye Haath Aur Musibath Bapaa Huvi
Mayyath Uttnaa Tha Kay Qayamath Bapaa Huvi

Mayyath Nikal Rahi Hai Andhera Makaan Hai
Laaye Charaag Kaun Paraaya Makaan Hai
Kurtha Kafan Hai Phool Hai Naa Saayebaan Hai
Ghurbath Ki Mauth Hai Yeh Yateemi Ki Shaan Hai

Mayyath Bahen Ki Bhaai Kay Haathou Pa Aathi Hai
Hai Hai Sakina Qabr Mey Sonay Ko Jaati Hai

Maa Sar Ko Peet Kar Yehi Kehti Hai Baar Baar
Aahistha Leykar Jaae-Yo Betaa Tere Nisaar
Jaakar Na Phir Yeh Aayegi Baba Ki Soghwaar
Jee Bharkay Dekh Lenay Doh Phir Mujhko Ek Baar

Logo Bathaao Kaisey My Kafnaaney Doon Isey
Maa Hoon My Kaise Gaadney Ley Jaaney Doon Isey

Bhaai Kay Haath Zouf Se Jab Thar Tharaathey Hain
Nanhi Si Laash Seenay Sey Liptaaye Jaathey Hain
Zanjeer Ja Ulajjthi Hai Ghabraaye Jaathey Hain
Surath Bahen Ki Dekhtay Hain Rothay Jaatey Hain

Sadhmey Bahut Utthaayi Hai Beti Hussain Ki
Gardhan Bhi Hai Chi-Lee Huvi Is Noor-E Ain Ki

Beyvo Ka Mulk-E Shaam Mey Jisdam Guzar Huva
Zaanu Pa Jhuk Kay Sharm Sey Ooncha Na Sar Huva
Farth-E Hayaa Sey Jism Paseenay Ney Tarr Huva
Har Soo Hujoom Dekh Kay Tukhdey Jigar Huva

Phir Kar Tamaam Koocha-O Baazaar-E Shaam Mey
Shehzaadiyaan Pahoonch Gayee’ N Darbaar – E Aam Mey
Taa Deyr Ki Yazzed Sey Abid Ney Gufthagoo
Royaa Kiye Jhukaaye Huvey Sar Ko Sab Adoo

Mehjoob Hokay Taqth Sey Utthaa Siyaah Rooh
Daakhil Huva Mahal Mey Badh Athwaar-O Thundhakhoo

Apney Gharoun Ko Roosiyaa Sab Shaadmaan Gaye
Zindaan Ko Ahlebaith-E Imam-E Zaman Gaye

Baitey Aseer-E Zulm Adherey Mey Nangay Sar
Darr Darr Kay Dekhthi Thi Sakina Idhar Udhar
Thay Kis Qadar Thakay Huvey Sajjad-E Khudsiyar
Girthey Hi Dasth-O Paa Ki Na Muthlaq Rahi Khabar

Jaagay They Raat Bhar Jo Bahut Susth Hogaye
Deewar Par Bukhaar Mey Sar Rakh Kay Sogaye

Page 90 Of 137

Baano Se Dam Badam Ye Sakina Ka Tha Bayaan
Baano Se Dam-Ba Dam Ye Sakina Ka Tha Bayaan
Kaisa Makaan Hai Ke Hawaa Tak Nahi Jahaan
Dekhoongi Kis Tarha Se Bhala Shakl -E Aasmaan
Hae Hae Zameen Tak Nazar Aati Nahi Yahaan

Amma Sabhoun Ki Jaan Quda Hi Bachaaega
Shab Ko Bhi Kya Charaagh Jalaya Na Jaaega

Aisi Hi Teeragi Hai Toh Bas Ho Chuki Hayaath
Mai Jaanti Hoon Aaj Ki Shab Ko Shab-E Wafaath
Sote The Leke Seene Pa Baba Tamaam Raat
Aadat Meri Bigaad Gaye Shaah-E Qush Sifaath

Jab Shamaa Gul Huwi Hai To Ghabraake Roye Hoon
Amma Bhala Kabhi Mai Andhere Me Soye Hoon

Maa Beti Me Yahaan Thi Gham Angaiz Daastaan
Aaye Paher Ke Bajne Ki Aawaaz Naagahaan
Hushyaar Bhaaiyo Ye Pukaare Nigaahbaan
Bhaage Aseer To Na Bachegi Kisi Ki Jaan

Tadpe Dil Aur Habz Jo Deh Chand Hogaya
Zindaan Ka Dar Lahad Ki Tarha Band Hogaya

Chillayi Jald Utt Kay Sakina Ghazab Huva
Maa Ney Galey Lagaakay Kahaa Shukr Ki Hai Jaa
Qurbaan Jaaoon Dil Ko Sambhaalo Payeh Khuda
Dekho Guzar Gayee Hai Paher Raat Mey Fidaa

Ab Toh Bani Huvi Hai Khuda Par Nazar Karo
Taa Subhaa Jis Tarhaa Sey Ho Beti Basar Karo

Tadbeeren Maa Ne Ki Paye Taskeen Ajab Ajab
Us Raat Ki Tarha Sey Badha Dam-Ba Dam Ta Aab
Rone Me Katgayi Jo Sakina Ko Nisf Shab
Naachaar Hoke Godh Me Leti Wo Qush Laqab

Susthi Kamaal Qaatir-E Naazuk Pa Chaagayi
Baaten Jo Maa Ne Ki To Zaraa Neend Aagayi

Soi Thi Koi Dam Ke Bandha Aansuoun Ka Taar
Dekha Ye Qhwaab Aaye Hain Sultaan-E Naamdaar
Phailaaye Haath Dhoondthi Utthi Wo Dilfigaar
Jhuk Jhuk Ke Dekhthi Thi Harek Simth Baar Baar

Kahti Thi Hae Ghazab Ka Andhera Ziyaa Nahi
Baba Kidhar Khade Hain Mujhe Soojhtha Nahi

They Sab Haram Yateem Ki Baatoun Pay Nouhagar
Rote The Paasbaan Bhi Mu Dhaanp Dhaanp Kar
Naagah Gayi Yazeed Ko Is Haal Ki Qabar
Machli Huwi Hai Duqtar-E Sultan-E Behrobar

Faryaad Kar Rahi Hai Ajab Izteraar Hai
Baba Ko Dekhne Keliye Beqaraar Hai

Page 91 Of 137

Lejaao Farq-E Shaah Ye Bola Siyaah Rooh
Lear Sar-E Hussain Rawaana Huwe Adoo
Thi Raah Me Chamak Sar-E Anwar Ki Chaar Soo
Zindaan Ke Paas Jaake Jo Di Gesuoun Ne Y Boo

Saidaaniyoun Me Hashr Huwa Saff Ulatt Gayi
Zindaan Ke Dar Se Aake Sakina Lipat Gayi

Khush Khush Khadi Huwi Thi Sakina Lagaae Aas
Itne Me Waan Huwa Jo Dar Aai Guloun Ki Baas
Phaili Ziyaa-E Husn-E Shahinshaah-E Haq Shinaas
Roushan Huwa Makaan Jo Muddat Se Tha Udaas

Doudey Haram Hussain Ki Tasleem Ke Liye
Sajjad Uth Khade Huwe Taazeem Ke Liye

Baithi Zameen Pa Leke Sakina Sar-E Imaam
Mu Rakh Ke Mu Pa Qoob Kiya Unse Kalaam
Ghash Aagaya Ke Laayi Qazaa Mauth Ka Payaam
Lipti Sar-E Pidar Se Khinchi Sab Ragain Tamaam

Tha Mu Pe Mu Ke Zeest Ka Naqshaa Badal Gaya
Hichki Bas Aik Aai Wahin Dam Nikal Gaya

Kurta Uthaa Ke Seene Ko Deney Lagi Hawa
Zainab Se Ki Ye Arz Ke Padhiye Koi Duaa
Sajjad Se Kahaa Ke Idhar Aao Mai Fidaa
Beta Bahen Ki Nabz To Dekho Marz Hae Kya

Chounka Rahe Hain Sab Qabr-E Dasto Paa Nahi
Ghash Me Kabhi Ye Haal Kisi Ka Sunaa Nahi

Dekhi Jo Nabz Rone Lage Aabid-E Hazeen
Maa Ne Kaha Tadap Ke Mujhe Taab Ab Nahi
Jo Haal Hai Quda Ke Liye Kah Chuko Kaheen
Sajjad Sar Jhuka Ke Ye Bole Ke Margayeen

Takleef Dijiye Na Tan-E Paash Paash Ko
Jaldi Litaaiye Ke Aziyaat Hai Laash Ko

Sadqe Gayi Huwa Is Andhere Me Inteqaal
Beti Ye Daagh Dil Se Na Jaaega Maah Woh Saal
Fizza Ne Paasbaanou Se Jaakar Kiya Sawaal
Dedo Koi Charaagh To Ahsaan Hai Kamaal

Ho Roushni Ye Rasm Hai Saare Jahaan Me
Mayyath Padi Huwi Hai Andhere Makaan Me

Jab Mahfil-E Yazeed Me Daaqil Haram Huwe
Jab Mahfil-E Yazeed Me Daaqil Haram Huwe
Ghash Aaya Har Qadam Pa Ye Zulm-O Sitam Huwe
Zainab Pukaari Haadese Aise Bhi Kam Huwe
Sar Kat Gaya Hussain Ka Sar Nange Ham Huwe

Kyun Aasmaan Gir Nahi Padhtha Duhaai Hai
Zehra Ki Beti Saamne Haakim Ke Aayi Hai

Moujood Anjuman Me Sagheer-O Kabeer Hain
Haakim Ke Gird Kursiyoun Par Sab Ameer Hain
Qaasaan-E Zuljalaal Zaleel-O Haqeer Hain
Mushkil Kusha Ke Qurd-O Kalaan Sab Aseer Hain

Kehde Koi Ali Se Ye Daarus- Salaam Me
Zainab Ka Daaqela Huwa Darbaar-E Aam Me

Page 92 Of 137

Aye Logo Karbala Se Mere Bhaai Ko Bulaao
Aye Logo Mere Gesuoun Waale Jawaan Ko Laao
Aye Logo Mera Haadesa Abbas Ko Sunaao
Aye Logo Yaadgaar-E Hassan Se Kaho Ke Aao

Qaasim Se Haae Kuch Na Kamak Us Ghadi Huwi
Ye Baal Khole Kiski Dulhan Hai Khadi Huwi

Hokar Aseer Duqtar-E Khaatam Jo Aayi Thi
Naana Ne Mere Qudh Isey Chaadar Udhaai Thi
Poshaak Amma Ne Nayi Isko Pinhaai Thi
Sab Ko Ye Paas Tha Key Saqi Ki Wo Jaayi Thi

Ummath Ko Haae Paas Rasool-E Quda Nahi
Zainab Barahna Sar Hai Aur Unko Haya Nahi

Baba Ko Meray Pooch Toh Kaisa Saqi Hai Woh
Mushkil Kusha Hai Kul Ka Khuda Ka Wali Hai Woh
Naana Ko Merey Dekho Kay Sab Ka Wali Hai Woh
Bhaai Kay Sadqey Faqr-E Nabi-O Ali Woh

Meri Kahbar Aseeri Mey Leytha Nahin Koyi
Kapdaa Bhi Muh Chupaaney Ko Deytha Nahin Koyi

Darbaan Mey Yazeed Kay Harsoo Tha Izdihaam
Tehraa Rahey They Baith Kay Maanind Khaas-O Aam
Baitta Tha Taqth-E Nehas Pah Woh Nuthfaa-E Haraam
Ek Haath Mey Toh Sheesha Tha Ek Haath Mey Tha Jaam

Baalaa-E Taqth Shughal Tha Isko Sharaab Ka
Aur Zeir-E Taqth Sar Tha Khalaf-E Buturaab Ka

Haazir Wahaan Tha Ek Farangi Bhi Us Ghadi
Rokar Kahaa Yazeed Sey Isney Kay Aye Shaqi
Teray Maamley Sey Laraztha Hai Mera Ji
Sar Hai Tabaq Mey Jiska Yeh Mujrim Hai Kya Koyi

Haasha Jo Mey Kahoon Kay Yeh Ahley Qasoor Hai
Zulfoun Mey Boo-Ey Mashk Hai Chehray Pah Noor Hai

Terey Maamley Sey Mera Housh Jaata Hai
Kya Harf-E Badh Tujhey Yeh Katta Sar Sunaatha Hai
Jo Choob Baidh Iskay Labboun Par Lagaatha Hai
Koyi Bhi Haath Murdey Kay Sar Par Utthaatha Hai

Iska Gunaah Toh Mujhey Hairaan Kar Gayaa
Baaqi Qasaas Rehgaya Aur Sar Utar Gaya

Jab Gayi Ithrath-E Mahboob-E Quda Zindaan Me
Jab Gayi Ithrath-E Mahboob-E Quda Zindaan Me
Be Gunaahoun Ne Sahi Saqt Jafaa Zindaan Me
Nanhe Bach-Choun Ko Na Tha Chain Zaraa Zindaan Me
Tha Ye Aalam Ke Na Aathi Thi Hawa Zindaan Me

Chaadarain Thi Na Saroun Par Na Jaga Sone Ki
Qaid Me Qaid Thi Shahzaadiyoun Ke Rone Ki

Maa Se Kahti The Sakina Ke Mue Jaate Hain
Teeragi Chaar Taraf Dekh Ke Ghabraathe Hain
Jee Bahaltha Nahi, Sou Shaki Bahlaathe Hain
Neend Aathi Nahi Baba Hamen Yaad Aathe Hain

Kaan Me Dard Hai Baithe Hain Zameen Par Amma
Kis Se Khelain Ke Nahi Ali Asghar Amma

Ab Tho Hai Qasd Ke Baba Ko Pukaaroun Amma
Is Ghadi Qalq Ke Aagha Ko Pukaaroon Amma
Hasan-O- Ahmed-O- Zehra Ko Pukaaroon Amma
Aap Kahiye To Main Dada Ko Pukaaroon Amma

Hain Bade Saahe-E- Aijaz Chale Aaenga
Qaid Se Aal-E- Payambar Ko Chudha Laaenge

Page 93 Of 137

Roean Saidaaniyaan Sajjad-E- Hazeen Ghabraaye
Bediyaan Thaame Huwe Ashk Bahaathe Aaye
Jald Tashreef Sakina Ke Sarhaane Laaye
Uska Mu Dekh Ke Sab Uzu-E- Badan Tharraye
Sadmae Furqate Mahboose Rasan Se Roye
Naza Me Qoob Gale Milke Bahan Se Roye
Usne Aahista Kahaa Ham Hain Musaafir Bhaai
Sadma-E- Qaid Ne Maara Hamain Aaqair Bhaai
Baqsh Do Jurm-O- Qataa Saaber-O- Shaaker Bhaai
Mouth Sar Par Hai Quda Haafiz-O- Nasir Bhaai
Saamae Haakim-E- Azlam Na Bulaae Tumko
Ham Chale Qaid Se Allah Chudhaae Tumko
Haasil Aye Bhaai Badi Aaj Tamanna Hogii
Quld Me Hazrathe Shabbir Ki Shaida Hogi
Jis Jaga Baap Hai Beti Ki Wohi Jaa Hogi
Par Ye Gham Hai Ke Tumhen Dafan Me Eizaa Hogi
Naa Yahaan Dafn-O- Kafan Ka Koi Samaan Karna
Isi Kurthe Se Mujhe Qaak Me Pinhaan Karna
Phupi Amma Ko Bahot Ranj Na Khaane Dena
Ashk Har Waqt Na Amma Ko Bahaane Dena
Shimr Ko Meri Lahad Par Bhi Na Aane Dena
Laae Wo Dafn Kaa Saaman To Na Laane Dena
Zulm Se Dilbar-E- Zehra Ka Gala Kaata Hai
Kuch Ajab Zulm Se Baba Ka Gala Kaata Hai
Chup Howin Haae Pidar Kahke Sakina Zeejaah
Murdani Chaa Gayi Us Chaand Se Mu Par Naagaah
Shour Tha Gulshan-E- Faani Se Chali Duqtar-E- Shaah
Hichki Beti Ne Jo Li Maa Ne Kaha Bismillah
Roye Sar Peet Ke Naachaar-O- Parishaan Zainab
Khaak Pe Baith Ke Padhne Lagi Quraan Zainab

Imam E Zainul Abedin A.S
Shaheed Se Koyi Shamsheer Ka Mazaa Pooche
Shaheed Se Koyi Shamsheer Ka Mazaa Pooche
Mareez Se Koi Akseer Ka Mazaa Pooche
Aseer Se Koi Zanjeer Ka Mazaa Pooche
Yateem Se Koi Dilgeer Ka Mazaa Pooche

Har Ek Pa Guzra Zamane Me Ranj-O- Gham Hae Hae
Sahaa Na Aabid-E- Beemar Sa Alam Hae Hae

Shaheed Hote Huwe Baap Ko Pisar Dekhe
Ani Pa Naize Ki Hae Hae Sar-E- Pidar Dekhe
Jawaan Bhaai Ka Nikla Huwa Jigar Dekhe
Phupi Ko Aankhoun Se Balwe Me Nange Sar Dekhe

Kisi Nabi Pe Na Istarha Ke Alam Guzre
Jo Is Mareez Pa Har Tarha Ke Sitam Guzre

Shadeed Tip Me Wo Kaantoun Pa Chalna Aabid Kaa
Pahan Ke Bediyaan Har Ek Qadam Pa Gir Padnaa
Wo Zulm-O- Jour-E- Sitamgar Haram Ka Shour-E- Bukaa
Wo Jism -E- ;Aagjare Aabdo Wp Dhoop Wo Durra

Siwaaye Shukre Quda Kuch Na Kahthe The Sajjad
Duaa-E- Ummath-E- Aasi Me Rahthe The Sajjad

Page 94 Of 137

Phiraaya Kaantoun Pa Sajjad Ko Barahnaa Paa
Nabi Ke Kunbe Ko Balwe Me Legaye Aadaa
Jalaaya Qaima-E- Naamoose Syed-E- Waala
Phiraake Balwe Me Zindaan Me Qaid Kardaala

Tamaasha Dekhne Sab Ahle Shaam Aathe The
Hayaa Se Ahle Haram Gardan-E Jhukaathe The

Sitam Ke Baad Huwa Qaid Se Jo Chutkaara
Laeen Se Baap Ka Sar Is Yateem Na Maanga
Sare Hussain Qazaane Se Hind Ne Bheja
Sawaar Oontoun Pa Kunba Huwa Payambar Ka

Lahad Me Laash Ghariboun Ki Haae Dhame Chale
Mah-E- Butool Ko Palvand-E- Khaak Karne Chale

Jo Pahonche Karb-O- Bala Aabide Aseere Balaa
Pidar Ko Deke Kafan Khaak Me Rakha Laasha
Lipat Ke Qabr Se Chillaae Yun Ke Aye Baba
Watan Ko Jaatha Hoonn Lo Aaqri Mera Mujraa

Watan Se Aaya Tha Kis Shaan Se Yahaan Hae Hae
Lutaa Ke Ghar Ko Mai Jaata Hoon Neem Jaan Hae Hae

Likha Hai Yun Ke Watan Aaye Jab Shah-E-Waala
Pidar Ki Yaad Me Har Waqt Karthe The Naala
Nazar Jo Aatha Tha Paani Tho Rote The Moula
Hamesha Aankhou Me Phirtha Tha Dasht -E- Karb-O- Bala

Pidar Ke Baad Bhi Raahat Mili Na Aabid Ko
Do Baara Qaid Kiya Is Ghareeb Zaahed Ko

Watan Se Legaye Phir Qaid Karke Ba Aniye Shar
Huwi Bhatije Ke Hamraah Zainab-E- Muztar
Qareeb Shaam Jo Pahonchaa Wo Dono Nouha Gar
Lagaaya Belcha Zainab Ki Pusht Ke Oopar

Safar Me Zainab-E- Bekas Se Chut Gaye Sajjad
Dayaar-E- Shaam Me Phir Aake Lut Gaye Sajjad

Phupi Ko Sounp Ke Jangal Me Syed-E- Waala
Madine Me Huwa Daaqil Wo Bekas-O- Tanha
Waleed-E- Shaam Ke Haakim Ne Zaher Bhijwaaya
Wo Sam Ke Khaate Hi Aabid Ne Ki Jahaan Se Qazaa

Falak Pa Hoor-O- Malak Arsh Ko Hilaane Lage
Zameen Pa Jinn-O- Bashar Sar Pa Qaak Udaane Lage

Mohibbo Daaghe Alam Dil Pa Dhar Gaye Sajjad
Jo Khaya Zaher To Sad Half Margaye Sajjad
Nabi Ki Aal Ko Be Aas Kargaye Sajjad
Yateem Hogaye Baaqer Guzar Gaye Sajjad

Sar Apna Peet The Marqad Se Mustafa Nikle
Kaleja Thaamke Kyun Kar Na Faatema Nikle

Charaaghe Deen-E- Nabi Aaj Bujh Gaya Yaa Rab
Nishaan-E- Panjetan-E- Paak Mitgaya Yaa Rab
Uthaa Jahaan Se Sartaaj Ab Mera Yaa Rab
Qitaab Bewa-E- Aabid Mujhe Mila Yaa Rab

Karoon Mai Kya Meri Qismath Bigadh Gayi Yaa Rab
Chaman Me Faatema Ke Ous Padh Gayi Yaa Rab

Quda Ke Arsh Ka Taara Guzar Gaya Logo
Ghazab Hai Shaah Hamaara Guzar Gaya Logo
Wo Bekasoun Ka Sahaara Guzar Gaya Logo
Hassan Hussain Ka Pyaare Guzar Gaya Logo

Madina Lut Gaya Ya Mustafa Duhaai Hai
Najaf Ujad Gaya Ya Murtaza Duhaai Hai

Page 95 Of 137

Shah-E Waala Ne Shahaadat Ka Sar Anjaam Kiyaa
Shah-E Waala Ne Shahaadat Ka Sar Anjaam Kiyaa
Sar Kata Zulm Sahe Haq Ka Magar Kaam Kiyaa
Sabr Ne Aabid-E- Beemar Ke Itnaam Kiyaa
Baap Aur Bete Ne Islaam Ko Islaam Kiyaa

Waada Tifli Ka Jo Shabbir Wafaa Karte Hain
Haq-E- Farzand Ye Sarwar Ka Adaa Karte Hain

Koun Masoom Huwa Touq-O-Salaasil Me Aser
Koun Hai Wo Jise Pahnaai Hai Dehri Zanjeer
Taaziyaanoun Se Adoo Dete The Kisko Taazeer
Kiske Maa Bahnoun Ki Majme Me Huwi Hai Tashheer

Tai Koi Kar Na Saka Jisko Wo Ye Manzil Hai
Sabr Naamoos Ke Baare Me Bahot Mushkil Hai

Kargaye The Jo Wasiyaath Shah-E- Deen Waqt-E-Aqeer
Sabr Se Kaam Liya Kijiye Baade Shabbir
Shukr Karna Jo Pahnae Tumhen Bhaari Zanjeer
Bad- Duaa Dena Naa Ummat Ko Jo Zainab Ho Aseer

Tum Jo Bigdoge To Qhaaleq Ka Ghazab Aaegaa
Kaam Jo Maine Banaaya Hai Bigad Jaaegaa

Dhyaan Baba Ki Wasiyaath Pa Jo Karthe Hai Imaam
Unke Qaatil Se Bhi Farmaathe Hain Narmi Se Kalaam
Touq Pahnaane Ko Jo Laatha Hai Wo Bad Anjaam
Qud Badhaa Dete Hai Gardan Ko Shainshaah-E- Anaam

Ye Tahammul Hai Ise Shaan-E- Wafaa Kahthe Hain
Kahne Waale Ise Tasleem-O- Razaa Kahthe Hain

Baap Ki Laash Pa Wo Zulm Huwaa Kuch Na Kahaa
Chin Gayi Saaniye Zehra Ki Ridaa Kuch Na Kahaa
Baazu Naamoos Ka Rassi Me Bandhaa Kuch Na Kahaa
Taaziyanoun Ki Sahi Saqt Jafaa Kuch Na Kahaa

Gham Se Maadar Ka Jigar Seene Me Phat The Dekha
Ali Asghar Ka Gala Qabr Me Kat The Dekha

Sar Barahna Sar-E- Darbaar Gaye Sabr Kiya
Dar Badar Kooncha-O- Baazaar Gaye Sabr Kiya
Qudratain Rakh Ke Giraftaar Gaye Sabr Kiya
Be Dawa Qaed Me Beemaar Gaye Sabr Kiya

Qadr Baba Ki Wasiyyath Ki Dikhaai Toone
Qabr Haathoun Se Sakina Ki Banaai Toone

Yaa Ali Dekhlo Pouthe Ki Musibath Dekho
Gham-O- Indowh Ki Tasweer Hai Soorath Dekho
Shiddath-E- Tip Se Ghazab Ki Hai Naqaahat Dekho
Touq Phir Us Pa Gale Me Hai Qayaamat Dekho

Waqf-E- Aalaam Hain Hazrath Ke Gharaane Waale
Kya Sitam Sahthe Hai Ummath Ke Bachaane Waale

Haae Jeethe Hain Teri Qabr Mitaane Waale
Quld Me Ahmed-E- Mursal Ko Rulaane Waale
Chashme Insaaf Se Dekhe To Zamaane Waale
Kaise Hote Hain Mohammed Ke Gharaane Waale

Zaher Paathe Hain Gala Taegh Se Katwaathe Hain
Qabr Me Jaake Bhi Aaraam Nahi Paathe Hain

Qaid Qaane Me Talaatum Hai Ke Hind Aathi Hai
Qaid Qaane Me Talaatum Hai Ke Hind Aathi Hai
Duqtar-E- Faatema Ghirat Se Muee Jaathi Hai
Rooh Qaalib Me Woh Zindaan Me Ghabraathi Hai
Be Hawaasi Se Har Ek Baar Woh Chillaathi Hai

Aasmaan Door Zamin Saqt Khidhar Jaaun Main
Bibiyo Milke Duaa Maango Ke Mar Jaaun Main

Page 96 Of 137

Kya Karoon Kya Na Karoon Jald Bataao Logo
Sadqa Akbar Ka Hiqaarath Se Bachaao Logo
Oatt Karke Ho Khade Mujh Ko Chupaao Logo
Ya Kisi Goshey Me Lejaake Bithaao Logo

Sar Khuli Ho Kisi Hujre Me Mujhe Band H Karo
Hind Aathi Hai Mujhe Khaak Ka Paiwand H Karo

Is Tarha Hind Ke Aane Se Na Ghabraaun Main
Bint-E- Hyder Hoon Na Kyun Qaid Me Sharmaaun Main
Koi Deewaar Jo Shaq Hoto Samaa Jaaun Main
Sedhe Maajaae Ke Maqtal Ko Chali Jaaun Main

Karbala Me Na Yeh Zillat Hai Na Ruswaai Hai
Be Ridaa Main Hoon To Be Gour Mera Bhai Hai

Naagahaa Fizza Ne Di Ahle- Haram Ko Ye Qabar
Hind Aathi Hai Bade Jaaho- Tahammul Se Idhar
Beeraqain Naqra-O- Zar Ki Hain Juloo Ke Andar
Sab Kaneezen To Ridaa Odhi Hain Wo Nange Sar

Par Sawaari Bahut Aahistha Rawaan Hothi Hai
Har Qadam Hind Teharr Jaathi Hai Aur Roti Hai

Kahthi Hai Qaidiyoun Ke Shour-E Bukaa Ne Maara
Mujh Ko Is Haae Hussaina Ki Sadaa Ne Maara
Inke Sardaar Ko Kis Ahl-E- Jafaa Ne Maara
Kya Wo Syed Tha Jise Ahl-E- Dagha Ne Maara

Aik Bijli Si Kaleje Pe Mere Girthi Hai
Nange Sar Faatema Aankhoun Ke Tale Phirthi Hai

Hogaya Zibha Koi Qhaasa-E- Baari Logo
Ins-O- Jin Hoor-O- Malak Karthe Hain Zaari Logo
Lechalo Soo-E- Najaf Meri Sawaari Logo
Hogi Mushkil Wahin Aasan Hamaari Logo

Qair Se Hain Mere Aaqa To Wo Sote Honge
Warna Marqadh Me Ali Betey Ko Rothe Honge

Bar-E- Zindaan Pa Huwa Itne Me Ambouh Kamaal
Boule Darbaan Badhe Doulat-O- Umr-O- Iqbaal
Qaidiyo Uttho Adab Se Karo Sab Isteqbaal
Zan-E- Haakim Ka Hai Zindaan Me Nuzool-O- Ajlaal

Qasr-E- Shaahi Se Jo Tashreet Yahaan Laathi Hain
Parwarish Karne Ko Tum Sab Ki Huzoor Aathi Hain

Loundiyaan Thin Zan-E- Haakim Kay Juloo Me Jo Rawaan
Dekhthi Kya Hain Ke Ek Sher Hai Aahan Me Nihaan
Laaghar-O- Qasta Tan-O- Faaqakash-O- Tishna Dahaan
Mooh Pa Saili Ke Nishaan Pusht Pa Durroun Ke Nishaan

Saaqay Pa Faaqe Se Zanjeer Mey Tharrathi Hai
Istheqanoun Se Larazne Ki Sadaa Aathi Hai

Sab Ne Mu Karke Soo-E- Hind Ye Ki Nouha Giri
Dekhiye Shaam Ke Zindaan Me Chiraaghe Sahari
Yaade Qaaleq Me Jo Hai Qalq Se Hai Be Qabari
Kyun Musalsil Kiya Ye To Hai Adam Ka Safari

Kis Ne Dam Band Kiya Touq-E- Jafaa Se Iska
Silsila Miltha Hai Kuch Shair-E Khuda Se Iska

Gird Aabid Ke Phiri Hind Ba Haal-E- Taagheer
Rakh Diya Paaun Pa Sar Apna Hataakar Zanjeer
Bole Woh Kaun Hai Boli Ke Kaneez-E- Shabbir
Aasalaam Aye Rasan-O- Touq-O- Salaasal Ke Aseer

Hai Wasiyyath Ka Mahal Marne Pa Tayyar Hai Too
Kuch Kafan Ke Liye Rakhtha Hai Ke Naadaar Hai Too

Page 97 Of 137

Gham Na Kar Gour-O- Kafan Mai Tujhe Doongi Lillah
Nange Sar Tere Janaaze Ke Chaloongi Hamraah
Marne Waale Teraa Kya Naam Hai Kab Se Hai Tabaa H
Bole Moula Abhi Chaalees Baras Jeena Hai Aah

Naam Bekas Bhi Hai Qaidi Bhi Hai Beemaar Bhi Hai
Haal Yeh Hai Ke Aseer Bhi Hai Aazaar Bhi Hai

Hind Ne Poocha Maraz Kya Hai Kaha Bepidari
Roke Wo Boli Dawaa Kya Hai Kaha Nouhagiri
Ghar Ko Daryaaft Kiya Kahne Lage Darbadari
Boli Leta Hai Qabar Koun Kaha Be Qabari

Aah Karney Ka Sabab Poocha To Sharmaane Lage
Taaziyaanoun Ke Nashaan Pusht Pa Dikhlaane Lage

Darbaar
Jab Lut Ke Karbala Se Aseer- E- Sitam Chale
Jab Lut Ke Karbala Se Aseer-E- Sitam Chale
Sajjad Sarbarahan Ba Dard-O- Alam Chale
Rote Saroun Ko Peet The Paaband-E- Gham Chale
Zainab Ne Laashe Shah Se Kaha Bhaai Ham Chale

Marne Se Aap Ke Mai Ye Eizaa Uthaathi Hoon
Darbaar Me Yazeed Ke Sar Nange Jaathi Hoon

Hae Hae Mere Musaafir-E Karbobala Hussain
Hae Hae Mere Ghareeb Mere Mahlaqaa Hussain
Hae Hae Tujhe Na Paani Ka Qatraa Mila Hussain
Hae Hae Tamaam Tan Teraa Tukde Huwaa Hussain

Pyaase Gale Pa Qanjar-E- Bedaad Chal Gaya
Hae Hae Tadap Tadapa Ke Tera Dam Nikal Gaya

Le Nainawaa Ali Ki Bizaa- Ath Tujhe Mili
Aye Karbala Quda Ki Amaanath Tujhe Mili
Aye Qhaak Meri Maa Ki Riyaazath Tujhe Mili
Le Aye Zameen Sham-E- Imaamath Tujhe Mili

Daaman Tera Bhara Meri Khethi Ujad Gayi
Sarhad Pa Tere Bhaai Se Zainab Bichad Gayi

Ye Kahke Sar Ko Peet Ke Roi Wo Dil Jali
Aakar Najaf Se Haai Mera Dekho Yaa Ali
Gardan Rasan Me Aapki Beti Ki Hae Bandhi
Kahthi Ye Maariye Se Wo Baa Chashm -E- Tar Chali

Hae Hae Mai Karbalaa-E- Moalla Me Lutgayi
Pardes Me Mai Aake Baradar Se Chutgayi

Kya Lutf Zindagi Ka Jo Nazsha Bigad Gaya
Kyun Kar Na Tadpoon Aah Badaa Paich Padh Gaya
Is Qaafela Ka Qaafile Waala Bichad Gaya
Hae Hae Hamaara Kaisa Bhara Ghar Ujad Gaya

Pardesiyoun Ne Chaauni Jangal Me Chaai Hai
Bhaai Ne Mere Ek Nayi Basthi Basaai Hai

Mehmaan Bulaake Ham Se Dagha Ki Laeenoun Ne
Kya Kya Na Ham Pa Jour-O- Jafaa Ki Laeenoun Ne
Kuch Bhi Zaraa Na Sharm-O- Hayaa Ki Laeenoun Ne
Gardan Qafaa Se Shah Ki Judaa Ki Laeenoun Ne

Qaime Jalaa Ke Ahl-E- Sitam Shaad Hogaye
Ham Karbala Me Aan Ke Barbaad Hogaye

Bhaai Pa Mere Saamne Naize Chalaa Kiye
Taigh-O- Tabar Badan Pa Barabar Lagaa Kiye
Shabbir Shukr Shukr Ye Mu Se Kahaa Kiye
Utraa Na Shimr Seene Se Be Sar Judaa Kiye

Roti Rahi Mai Wo Sar-E- Shabbir Legayaa
Bhaai Ki Mere Khoon Bhari Tasveer Legayaa

Faryaad Ham Ghariboun Ki Suntha Nahi Koi
Kis Se Kahoon Jo Ham Pa Musibath Guzar Gayi
Chaadar Bhi Mu Chupaane Ko Sar Par Nahi Rahi
Sar Khole Shahr-E- Shaam Me Aai Mai Dil Hali

Aada Hamen Dikhaake Sar-E- Shah Rulaathe Hain
Ab Saamne Shaqi Ke Mujhe Leke Jaathe Hain

Page 98 Of 137

Mahsar Ki Subha Aaj Numayaan Hai Shaam Me
Mahsar Ki Subha Aaj Numayaan Hai Shaam Me
Kunbaa Shafee-E- Hashr Ke Hai Izdehaam Me
Sar Nange Rooh-E- Faatema Hai Ahtemaam Me
Khaasaan-E- Zuljalaal Hai Balwaa-E- Aam Me

Jibreel Ki Khuzaadiyaan Tashreef Laayi Hain
Mushkil Kusha Ki Betiyaa’ N Bandi Me Aayi Hain

Hain Beech Me Khule Huwe Aal-E- Abaa Ke Sar
Naizoun Pa Unke Gird Hain Gouj-E- Qhuda Ke Sar
Bachchown Ke Sar, Buzurgoun Ke Sar Aqrobaa Ke Sar
Rote Hain Waarisoun Ke Saroun Ko Dikhaake Sar

Sar Rakh Ke Zaanuoun Pa Jo Waaris Ko Rote Hain
Zaalim Saroun Me Nezoun Ki Nokain Chubhote Hain

Neze Pa Hurmula Ke Chamaktha Hai Ek Hilaal
Bikhre Huwe Hain Chaand Se Mu Par Jhandole Baal
Aulaad Waale Kahthe Hain Aye Rabb-E- Zuljalaal
Is Bezubaan Ke Khoon Ka Kisne Kiya Wabaal

Gardish Me Haae Haae Ye Kiska Sitaara Hai
Lekar Balaaen Kahthi Thi Bano Hamaara Hai

Naagah Huva Yazeed Ka Darwaaza Aashkaar
Haazir Naqeebo Haajibo Darbaano Chobbdaar
Teighe Alam Kiye Huvey Jalladh-E Naabakaar
Mujrayi Beyhisaab Tamaashaayi Beyshumaar

Aiwaan Mey Bhi Raqs Ka Saamaan Tamaam Tha
Par Intezaar-E Ithrath-E Khairul Anaam Tha

Wo Boley Sab Aik Baar Wo Aye Gunaahgaar
Aye Qusoor Waar Wo Aye Gunaahgaar
Jalladoo Hoshiyaar Wo Aaye Gunaahgaar
Wo Aaye Bedayaar Wo Aye Gunaahgaar

Jabse Ke Aasmaan Qhudaa Ne Banaaye Hain
Aal-E- Rasool Aaj Hi Bandi Me Aaye Hain

Rokaa Umar Ney Baddkay Alam Ko Sipaah Ko
Mujraah Par Aa Jamaah Kay Kiya Baargaah Ko
Aur Hanskay Dekha Aal-E Risaalath Panaah Ko
Aawaaz Di Nabeera-E Shair-E Ilaah Ko

Haan Haan Mihaar Rokhnaa Oontoun Ka Thaamnaa
Ab Hai Yazeed Kay Dar-E Doulath Ka Saamnaa

Pahonche Muraad Ko Safar Apna Tamaam Hai
Uthro Aseero Uthra Adab Ka Muqaam Hai
Aage Tho Aasthaana-E- Sultaan-E Shaam Hai
Dekho To Kya Jalaal Hai Kya Ehthemaam Hai

Iski Vilaa Me Arsh Ko Hamne Hilaa Diya
Ghar Panjetan Ka Qhaak Me Bilkul Milaa Diya

Page 99 Of 137

Sun Naa Yeh Tha Kay Sab Kay Jigar Par Churee Chal I
Oontoun Sey Uthri Bibiyaan Keh Keh Kay Ya Ali
Aankhein Phiraakay Rehgayee Baanu Ki Laadli
Roohey Hussain Ko Huvi Jannath Mey Beykali

Taaqath Badhan Ki Ghat Gayee Aur Zouf Badd Gaya
Uthrey Jo Bey Sahaarey Toh Dum Sab Ka Chadd Gaya

Seenay Mey Dam Abhi Na Samaaye They Hai Ghazab
Jo Aaye Reesmaan Liye Haathoun Mey Beyadab
Ghabraakay Poocha Beyvo Ney Tajveez Kya Hai Ab
Bolaa Umar Kay Majlis-E Haakim Mey Hai Talab

Manzoor Hai Kay Roohey Ali Phir Malool Ho
Majmay Mey Rooh Bakaariyeh All-E Rasool Ho

Mazloomiyath Se Roke Ye Mazloomoun Ne Kaha
Haakim Ki Ye Qushi Hai To Phir Uzr Hamko Kya
Baazaar Me To Phir Chuke Be Maqna-O Ridaa
Aasaan Karega Mushkile Darbaar Bhi Qhuda

Haazir Hain Ley Chalo Hamein Gumraaho Ley Chalo
Sar Par Nahi Hussain Jahaan Chaaho Ley Chalo

Naizoun Pa Nasb The Jo Shahidoun Ke Sar Tamaam
Zainab Ne Badh Ke Bhaai Ke Sar Ko Kiya Salaam
Chillaal Kyun Zibh Kiya Fida Shaah -E- Tishna Kaam
Marzi Hai Kya Huzoor Ki Kahthe Hain Kya Imaam

Darbaar Mitgaya Tera Qhoon Ran Me Bah Gaya
Mere Liye Yazeed Ka Darbaar Rah Gaya

Par Itna Tahro Waarisoun Ke Sar Se Pooch Lain
Shah-E- Umam Ke Farq-E- Mutahhar Se Pooch Lain
Darbaar Jaane Ko Ali Akbar Se Pooch Lain
Abbas Ibn-E- Hyder-E- Safdar See Pooch Lain

Murda Na Samjho Zinda Ye Hyder Ke Pyaare Kain
Muqtar Ham Nahi Hain Ye Maalik Hamaare Hain

Aamadh Hai Ahle- Baith-E Payambar Ki Shaam Me
Aamadh Hai Ahlebaith-E Payambar Ki Shaam Me
Gaysu Khule Huwe Hain Azaa-E Imaam Me
Sar Peet-Thi Hai Faatema Daarus Salaam Me
Zainab Ye Nouha Karthi Hai Balwaa-E- Aam Me

Logo Qabar Karo Mere Nana Rasool Ko
Balwe Me Shimr Laaya Hai Binte Batool Ko

Nana Teri Nawasi Ke Sar Par Rida Nahi
Aur Ahle Shaam Dekhthe Hain Kuch Hayaa Nahi
Aabed Gharib Martha Hai Taph Se Dawaa Nahi
Behoush Nanhe Bachche Hain Aab-O Ghiza Nahi

Dil Sab Ke Kaampte Hain Badan Thar Tharaathe Hain
Ab Saamne Yazeed Ke Saadaath Jaathe Hain

Hain Ek Rasan Me Baarah Gale Waa Musibatha
Rote Hain Godhiyoun Ke Pale Waa Musibatha
Bas Me Sitamgaroun Ke Chale Waa Musibatha
Khaake Azaa Hain Mu Pa Maley Waa Musibatha

Mushkil Qadam Uthaana Tha Us Izdihaam Me
Yun Ithrathe Nabi Gayi Balwaa-E Aam Me

Zainab Tadapke Oontt Pa Karthi Thi Ye Bayaan
Darbaar Me Talab Huwe Saadaat Naagahaan
Oontoun Se Utri’n Bibiyaan Kah Kah Ke Al- Amaan
Payshey Yazeed Le Gaya Zaalim Kashaan Kashaan

Saamaan-E- Jashn-E Aam Tha Darbaar-E- Aam Tha
Aur Nange Sar Hussain Ka Kunba Tamaam Tha

Ahley Haram Pey Aaj Qayamat Ki Raat Hai
Ahley Haram Pey Aaj Qayamat Ki Raat Hai
Jungle Darouna Hay Yeh Wehshat Ki Raat Hai
Hai Hai Yateem Rotay Hain Ghurbath Ki Raat Hai
Sar Par Nahin Hussain Yeh Furqath Ki Raat Hai

Khaime Jaley Padein Hain Shahey Mashraqain Kay
Mitti Pey Aaj Sothey Hain Bachchey Hussain Kay

Woh Raat Andheri Aur Woh Maidaan-E Karbala
Laashey Padey Hain Rethi Pey Jinkay Hain Sar Judaa
Ghurbath Yeh Keh Rahi Hai Kay In Par Huvi Jafaa
Chaadar Udaaey Kaun Haram Sab Hain Beyridaa

Sar Dekay Raah-E Haq Mey Yunji Naam Kartey Hain
Din Bhar Kay Hain Thakey Huvey Aaraam Kartey Hain

Shaam-E Ghareeban Karti Hai Zainab Ajab Fugaan
Naalon Sey Hil Rahey Hain Zameen Aur Asmaan
Hai Hai Hussain Kehkay Jo Roti Hai Neemjaan
Run Mey Wahaan Tadapti Hai Laash-E Shahey Zamaan

Aawaaz Aqa Rahi Hai Bahen My Teray Nisaar
Aey Ghamgusaar Mere Yateemou Sey Hoshiyaar

Page 101 Of 137

Zainab Ka Sabr Dekh Kay Hotha Hai Dil Figaar
Bachon Ko Bibiyon Ko Jamaa Kar Kay Sogwaar
Taskeen Dilaasa Deyti Hai Bhaai Ki Ghamgusaar
Lekin Sakina Puchti Hai Rokay Baar Baar

Baba Kab Aayeingay Phupi Baba Kab Aayeingay
Seenay Pey Apney Woh Mujhey Phir Kab Sulaaengay

Zainab Ney Pyaar Kar Kay Yateem-E Hussain Ko
Goudh Mey Apni Ley Liya Is Noor-E Ain Ko
Bibi Zaraa Toh Kijiyo Kam Shor-O Shain Ko
Kal Subha Dekh Lo Gi Shahey Mashraqain Ko

Behlaayi Yoon Phupi Kay Woh Khamoosh Hogayi
Gurbat Sey Maa Kay Zaanu Pey Sar Rakh Kay Sogayi

Guzri Hai Aadhi Raat Falak Bhi Hai Nauhagar
Girtey Hain Taarey Toot Kay Maanind-E Ashk-E Tarr
Aur Chupkay Chupkay Roti Hai Ek Bibi Nangey Sar
Hai Chob-E Khaimaa Haath Mey Baandhi Huvi Kamar

Kaati Hai Raat Ankhon Mey Zehra Ki Gul-E Zaar
Masroof Hai Talaaya Mey Bhaai Ki Sogwaar

Awaaz Aayi Ghodoun Kay Taapoun Ki Naagahaan
Dekha Sawaar Aata Hai Is Simth Bey Takaan
Baddkar Pukaari Kaun Hai Kya Kaam Hai Yahaan
Waaris Humaarey Qatl Huvey Lutt Gaya Makaan

Allah Hai Gawaah Nahin Paas Maal-O Zar
Chaadar Hamari Chinn Gayi Aur Hum Hai Nangey Sar

Lekin Badaaey Aata Tha Ghodey Ko Woh Sawaar
Zainab Kay Paas Rok Liya Aakay Raahwaar
Ultti Naqaab Chehrey Sey Utraa Woh Shehsawaar
Beti Kay Saamney Thay Khadey Sher-E Kirdagaar

Hai Khaak Sar Pa Thaamey Kalejey Ko Aaye Hain
Pursa Bahen Ko Bhaai Ka Deney Ko Aaye Hain

Pehlaa Kay Haath Baap Sey Zainab Lipat Gayi
Ro Ro Kehti Thi Meri Qismat Ulatt Gayi
Baaqi Jo Panjetan Ki Nishaani Thi Mitt Gayi
Baba My Apney Bhaai Sey Jungle Mey Chutt Gayi

Amma Ka Ghar Bharaa Huva Barbaad Hogaya
Sehra Jo Karbala Ka Tha Aabaad Hogaya

Ro Kar Kahaa Ali Ney Ho Qurbaan Yeh Pidar
Soyi-Yoh Thodi Der Kay Hoti Hai Ab Saher
Dar Peish Subhaa Ko Hai Tumhein Shaam Ka Safar
Darbaar Mey Yazeed Kay Jaana Hai Nangey Sar

Mushkilkusha Hoon Zulm Yeh Dekhey Na Jaayengay
Beti Rasan Sey Haath Terey Baandhey Jaayengay

Aayi Sadaa-E Fatima Faryaad Ya Ali
Kheti Hamaari Hogayi Barbaad Ya Ali
Mushkilkusha-E Khalq Ho Rudaad Ya Ali
Bachchon Pey Meray Hogayi Beydaad Ya Ali

Kheti Meri Ujadd Gayi Ghar Mera Lutt Gaya
Zainab Hai Bey Ridaa Sar-E Shabbir Katt Gaya

Azeezo Haadesa Nou Falak Dikhata Hai
Azeezo Haadesa Nou Falak Dikhata Hai
Haram Ka Qaafela Paishe Yazeed Jaatha Hai
Gale Bandhe Hain Badan Sab Ka Thar Tharaatha Hai
Na Saans Lete Hain Qaidi Na Bola Jaatha Hai

Wo Girthe Hain To Sitamgaar Naize Maarthe Hain
Wo Roke Hyder-E- Karrar Ko Oukaarthe Hain

Kahoon Aseeroun Ka Sab Haal Ye Majaal Hai Kya
Ye Haath Bandhne Ka Mazmoon Hai Dast Bastha Khada
Huwa Hai Bediyoun Se Bas Ke Ghulghula Paida
Butool Quid Me Hyder Ko Derahi Hai Sada

Buland Karthi Hai Faryaad Ya Ali Zainab
Chalo Yazeed Ke Darbaar Me Chali Zainab

Page 102 Of 137

Nayi Jafaa Hai Ke Baara Gale Me Aik Rasan
Aur Us Rasan Pa Hai Touq-E- Giraan Ka Ranj-O- Mahan
Kahin Suna Hai Ke Do Teeqh Aur Ek Gardan
Aur Aik Paaun Me Bhaari Do Halqaa-E- Aahan

Jo Paas Aake Laeen Naizoun Se Daraathe Hain
Quda Ke Waasthe Bacche Unhain Dilaathe Hain

Jafaa-E- Raah Ke Kahne Me Kaanpthi Hai Zabaan
Gharz Ke Daaqela Majlis Huwe Ba Aah-O- Fughaan
Magar Kab Aaye Huzoor Yazeed-E- Be Eimaan
Ke Chowb-E- Baid Thi Aur Shaah Ke Lab-O- Dandaan

Chadi To Aik Thi Par Zulm Do Numaayaan Tha
Ba Zair-E- Choub Kabhi Lab The Shah Ke Dandaan The

Ye Zulm Dekh Ke Zainab Ne Karlin Aankhen Band
Pukaara Shimr Ye Darbaar Kya Na Aaya Pasand
Lo Aankhen Kholo Nahi Zulm Howega Dah Chand
Falak Ko Dekh Ke Rone Lagi Wo Gheerath Mand

Kahaa Yazeed Kya Kya Aasmaan Ko Dekha
Wo Roke Boli Ke Qaaleq Ki Shaan Ko Dekha

Kaha Yazeed Ne Tab Shumr Se Ba Taish Tamaam
Ye Koun Hai Ke Jo Badh Badh Ke Kar Rahi Hai Kalaam
Wo Boli Pooch Mujh Se Ye Jaane Kya Mera Naam
Mai Rone Waali Hoon Kunbe Ki Zainab-E- Naakaam

Ali Ki Aai Nidaa Meri Pyaari Duqtar Hai
Sar-E- Hussain Pukaara Hamaari Qwaahar Hai

Yazeed Jaaeza Phir Qaidiyoun Ka Lene Lagaa
Nazar Padi Use Ek Shaashzaadi Maah Laqaa
Ulat Ke Daala Hai Mu Par Phata Huwa Kurthaa
Aur Uspa Haathoun See Parda Kiya Hai Chehre Ka

Hai Sin Me Qurd Buzurgoun Ka Par Qareena Hai
Kaha Ye Ou Hai Bola Umar Sakina Hai

Yazeed Haal-E- Sakina Pa Roya Aur Ye Kahaa
Sakina Tujh Ko Bahot Chaahtha Tha Baap Tera
Woboli Chaahna Kaisa Pidar The Mujh Pa Fidaa
Zabaan Par Tha Sakina Sakina Subh-O- Masaa

Sulaathe The Mujhe Shabbir Apne Daamaan Me
Aur Ab To Khaak Pa Soti Hoon Roz Zindaan Me

Yazeed Ne Kaha Jannat Me Mewe Hain Aakar
Sakina Tum Ko Khilaata Tha Kya Tumhara Piidar
Ratab Ratab Kaha Is Be Pidar Ne Totla Kar
Dekha Ke Neel Tamaanchoun Ke Boli Dekh Idhar

Pidar Ne Tohfe Se Tohfea Ratab Khilaaye Hain
Aur Unke Baad To Hamne Tamaanche Khaae Hain

Yazeed Bola Ratab Doon To Khaaegi Naadaan
Sakina Bhuki To Thi Hoke Qush Pukaari Ke Haan
Magar Sakina Ki Qaatir Wahaan Ratab The Kahaan
Diya Shaqi Ne Tabaq Me Sar-E- Imaame Zamaan

Pukaari Hisse Me Mere Ratab Ye Aaya Hai
Kisi Yateem Ne Logo Ye Mewaa Khaaya Hai

Uthaaya Usne Jo Sarposh Tho Ye Aaya Nazar
Tadap Raha Hai Sar Ek Murde Ka Lahoo Me Tar
Dari Wo Pahle Tho Aur Phir Kaha Ye Roro Kar
Ratab Nahi Hain Ratab Ke Khilaane Waale Ka Sar

Salaam Karke Tabaq Se Uthaa Liyqaa Sar Ko
Lahoo Bhara Huwa Kurta Dikhaa Diya Sar Ko

Page 103 Of 137

Imame Raza-E- Gharib A.S
Mominou Aaj Qurasaan Me Hai Taaza Maatam
Mominou Aaj Qurasaan Me Hai Taaza Maatam
Thar Tharaathe Hai Falak Arsh-E- Zameen Lowh-O-Qalam
Aathe Hain Aal-E- Abaa Khaak Udaathe Baaham
Aabed-O- Baaqer-O- Jaafar Wa Janaab-E- Kaazim

Mu Ko Sab Ye Jazaraat Aansoun Se Dhothe Hain
Jama Mayyath Ke Uthaane Ke Liye Hote Hain

Kya Kiya Qaher Ke Be Jurm-O- Qataa Ko Maara
Dilbar-E- Faatema-O- Shair-E- Quda Ko Maara
Zeher Dilwaake Gharibul Ghuraba Ko Maara
Aaj Maamoon Ne Mazloom Raza Ko Maara

Khaak Me Milgaya Ek Aur Gul-E- Baaghe Zehra
Gul Huwa Aaj Qurasaan Me Charaaghe Zehra

Is Tarha Waaqeya Hai Aaj Ka Raawi Ne Likha
Ibn-E- Haaroon Ne Hazrath Ko Junhi Bulwaaya
Aaye Darbaar Me Jiswaqt Imaam-E- Dosaraa
Taqt Par Apne Qarin Shaah Ko Bhi Bithlaaya

Phir Kaha Shaah Se Farmaaye Tho Paish Karoon
Aap Ke Waasthe Angoor May Le Rakha Hoon

Kaha Mazloom Ne Mujh Ko Nahi Angoor Kin Chaah
Kisi Lihe Saamne Hai Tasht Jo Toone Rakha
Kiya Israar Jo Sne To Imaam-E- Zeejaah
Khake Angoor Ko Kahne Lage Inna Lillah

Poocha Maamoon Ne Kya Baat Hai Farmaaiyega
Sar Jhuka Kar Kaha Masmoom Ne Maloom Huwa

Khake Angoor-E- Dagha Aaye Hain Ghar Ko Apne
Qhae Kiye Jaathe Hain Pakde Huwe Sar Ko Apne
Dard Hotha Hai Dabaathe Hain Jigar Ke Apne
Yaad Farmaathe Hain Hamsheer-O- Pisar Ko Apne

Syed-O- Bekas-O- Mazloom Gharibul Ghuraba
Muztarib Haae Ye Masmoom Gharibul Ghuraba

Mout Ka Aagaya Chere Pa Pasina Yaaro
Ghash Me Hai Waaris-E- Sultaan-E- Madina Yaaro
Aathwaan Mohr-E- Nabuwaath Ka Nagina Yaaro
Qaak Me Milta Hai Ahmed Ka Qazina Yaaro

Dar-O- Deewaar Ko Hasrath Se Raza Dekhthe Hain
Aur Unhen Yaas Se Sab Aal-E- Abaa Dekhthe Hain

Peet Thi Hai Kabhi Sar Ko Kabhi Tharrathi Hai
Faatema Istarha Rone Keliye Aathi Hai
Jaanib-E- Arsh-E- Ulaa Rooh-E- Razaa Jaathi Hain
Bekasi Laash Pa Roro Ke Ye Chillathi Hai

Mout Ki Khichkiyaan Ab Leta Hai Dibar Uske
Chaar Hammaal Uthaae The Janaaza Jiske

Sach Hai Ghurbath Ki Ajab Mout Hai Aye Ahl -E- Azaa
Naa Koi Mounis-O- Yaawar Na Dawaa Hai Na Ghizaa
Bistar-E- Marg Pa The Aap Tawakkal Ba Qudaa
Naa Koi Paani Pilaane Ko Dam-E- Aaqir Thaa

Wahi Bekas Hai Raza Naza Me Inna Lillah
Haae Kya Waqt Hai Mazloom Pe Allah Allah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *